1

15.5K 349 33
                                    

"I am sorry but aap clearly kahna kya chahte hain ?" Kya jo mai sun rahi hoon wohi ye kahna chahte hain.

"See its simple actually mujhe ek wife ki nahi apne bete ke liye sirf ek maa ki zaroorat hai. Mai already apni wife se bahut pyaar karta tha, karta hoon aur karta rahoonga." Shiv said.

I don't believe this man but at the same time jealous of his dead wife. Inke tarah k aadmi ab bhi is planet pe hain. I am surprised.

"Hello! Are you there ?" Shiv asked snapping me out of my thoughts.

"Yeah, I am sorry I got sidetracked." I said on which he made an awful face.

"Listen I don't have full day for this so I'll cut it short. If you agree to marry me you'll get the status of Mrs Shiv Singh, you'll be the daughter in law of Singh family, most importantly mother of my child but please never ever expect anything from me as your husband." He explained.

"So you mean to say we'll be husband and wife in front of people but in real you -" Maine apna sentence beech mein hi chodd diya.

"Yeah exactly. Dekho mai sab kuch pahle hi din clear kar dena chahta hoon taaki future mein agar tum mujhse shaadi karti ho to tum koi false hopes mat paalo. Mai ek baar shaadi kar chuka hoon jisse mai pyaar karta tha, agar mere bas mein hota to mai kabhi dobara shaadi k liye haan na karta par mere bete ko ma ki zaroorat hai aur yahi baat mujhe majboor kar deti hai so I am here in front of you."

Mai bilkul shaant thi maine aisa kuch expect hi nahi kiya tha. After sometime he said

"Do you think we should leave ?"

"Umm...you go I'll stay here for sometime." I whispered.

He nodded, called waiter, paid bill and after saying a formal goodbye to me left.

Phewww.......to ye the Mr Shiv Singh jinki taarifon k pull mere parents karte nahi thak rahe the. Life mein pahli baar aisa wedding proposal dekha hai. Isse pahle bhi mai do ladkon se mil chuki hoon fir se shaadi karne ke liye but aisa kuch pahle kabhi nahi hua.

Is bande ko sirf apni bete k liye maa chahiye, agar mai inse shaadi k liye ready bhi hoti hoon to humari shaadi mein pyaar nahi hoga ye to pucca hai kyunki clearly dikhta hai wo aaj bhi apni pahli wife se bahut pyaar karte hain but do I really want love in my life now ? Now when I know love is nothing but just an illusion.

Par Shiv ka proposal par socha ja sakta hai. Maine apni poori life mein pyaar and all pe kabhi vishwas nahi kiya kyunki shayad maine apne aas pass kabhi pyaar mein doobe log dekhe nahi, jab meri shaadi hui joki ek arrange marriage thi maine apne taraf se apni shaadi ko apna 100% diya but again sab kuch humaare according kahan hota hai I was divorced after only two year of our marriage. Mere divorce k baad yeh belief ki pyaar jaisi koi cheez nahi hoti pe mere vishwaas aur pucca ho gaya.

Ab agar mai Shiv se shaadi karti hoon to ye to sure hai ki mera dil kabhi nahi tootega kyunki wo kabhi mujhe pyaar hi nahi karenge.

But what about his kid ? I love kids but kya mai use sambhal paungi kyunki mujhe is field mein koi experience nahi hai.

But Shiv kitne rude the. Kya mai........God I am so confused its better I should leave for home now.

"Beta aa gayi tum. Kaisa laga ladka ? Kya kya baatein hui ?" Aate hi maa k questions shuru.

"Haan ji maa mil aayi. Ladka theek tha aapka." I said rolling eyes.

"Kaya I am being serious here. Tumhe pata bhi hai kitna mushkil hai aise ladke milna jo tumhe----" Ma apna sentence poora kar paati isse pahle hi mai bol uthi.

"Maa mai divorced hoon HIV positive nahi, aap log to mujhe aise treat karte hai jaise mai kitni badi burden hoon aap logon par. I agree shayad hoon par divorce maine khud to nahi chuna tha na ma." Tears were falling down from my eyes.

"Beta mera wo matlab nahi tha." Ma said.

"Let it be Mom. Mujhe shaam tak ka time dijiye tab tak mai aapko apna decision bata dungi." I said and went to my room ignoring her calls from behind.

Shaayad humari society mein ek criminal hona jaada easy hai ek divorcee hone se.

Shaam tak mai apna decision le chuki thi. Mujhe pyaar nahi chahiye sach poocho to mujhe kabhi zindagi mein pyaar milega iski mujhe koi umeed bhi nahi hai.

Ma ki heart condition dekhte hue aur ma papa dono ki constant nagging se bachne ke liye abhi ye shaadi hi best decision lagti hai. Fir shayad Shiv k bete ko hi shayad meri aur mujhe uski sabse jaada zaroorat ho.

Par kya Shiv mujhse shaadi karna chahenge. I mean unki baaton se to clear tha ki unki koi khaas demand nahi hai apni wife ko lekar but fir bhi.
Hum dono kitne different hain, he looks so handsome, he is tall at 6'2" maybe, ma ne bataya tha he is 30 but still he looks like he is in his late 20s, mai ye nahi kah rahi ki he is Greek God or something like that but he is good looking and here I am mai first of all bilkul bhi patli dubli wali ladki nahi hoon, I am curvy , mere pass flat stomach nahi hai, sleek figure nahi hai dekhne mein bhi bahut simple si hoon kuch khaas nahi, how can a man like him can marry a woman like me.

"Ma...Ma...where are you ?"

"I am in store room beta. Come here." She called from store room.

"Aap yahan kya kar rahe ho ?" I askeed peeping in store room.

"Nothing. Tum batao kyun dhoond rahi thi mujhe?"

"Umm...ma if Shiv is okay I am ready to marry him." I said in one line.

Ma jo bhi kaam kar rahi thi wo rok kar mujhe dekhne lagi " Really beta. Are you sure ?"

"Yes ma. I am sure."

Oh God ! Mataji tera lakh lakh shukriya. Mom started thanking Almighty God.

"Mai abhi tumhare papa se baat karti hoon unse kahti hoon wo Mr and Mrs Singh ko bata de ki humari taraf se haan hai. I hope wo log bhi haan kar de. Oh mai itni khush ----"

Mai Ma ko akele hi chod kar aa gayi, chalo mai kabhi kabhi to logon ko khushi de pati hoon.

I came back to my room, locked the door and landed myself on my bed. I hope maine sahi decision liya hai, mai ek aisi shaadi mein enter karne jaa rahi hoon jahan pyaar nahi hoga but mere past experiences se maine yahi seekha hai ki pyaar hi sab kuch nahi hota. Khair ab to jo hona tha ho gaya ab bas Shiv ke decision ka intezaar hai.

Being Your Second Wife (SLOW UPDATES)Where stories live. Discover now