5

6.1K 308 34
                                    

After 6 Months :

Kitna ajeeb baat hai na hum hamesha khud ko samjhaate hain ki kisi se kuch expect na karo but at the end expectations ho hi jaati hain.

Jaise ki mujhe ho jaati hai Shiv ji se.

Shaadi ke 6 mahine baad ab mai ye to kah sakti hoon ki Shiv ek bahut achhe insaan hai. Wo ek bahut achhe bete, bhai and pita hain. Hamesha apne mummy daddy k saath, Niti aur Aman ke saath itne khush dikhte hain. Ansh ke saath jo Shiv hote hain unhe to aap pehchaan hi nahi sakte.

Bas mere saamne aate hi unki saari hasi, saari khushi kahin udd jaati hai. And at that moment I feel nothing more than a burden. I just want ki wo mere saath bhi aise hi khush rahe jaise wo baaki gharwalon ke saath rahte hain...but I guess wo bhi bahut jaada soch leti hoon mai.

"Bhabhi Ma ko chai kamre mein de dijiyega."

"Par Niti agar tum de deti to...." Mai mummyji ke saamne kam se kam hi jaana prefer karti hoon.

"Bhabhi...aap unhe face nahi karengi to kaisey chalega !?" Niti said raising her head from her mobile. I knew she was right so I took the cup gave her a smile and proceeded towards mummyji's room.

Mummy ji and Papaji along with Niti abhi yahan Delhi aaye hue hain kuch dino k liye Niti k college ki chuttiyon pe. Aman bhi jab tak poori family yahan hai yahin pe shift ho gaya hai so is samay humari poori family ek saath hai.

Waise Niti sahi kah rahi thi. Mummyji mujhe kuch khaas pasand nhi karti and is baat ko har koi dekh sakta hai but maine kabhi iske peeche ka reason jaane ka try hi nahi kara instead mai jitna ho sake unhe avoid karti hoon taaki humare beeche koi clash ho hi na....childish I know...but what to do I am coward you can say it like that.

Chai leke mai mummyji k room k door k paas hi pahuchi thi ki mujhe andar se Shiv aur Ma ki awaazein aane lagi jaise wo kisi baat par argue kar rahe ho. Door aadha hi khula tha and mere haath mein chai ka tray tha so I thought ki unhe disturb karoon ya nahi par isse pahle ki mai kuch bol paati mera naam sun kar mai shaant ho gayi, wo log mujhe bula nahi rahe the par zaroor discussion kuch mujhse hi related tha.

"Mujhe pata hai Shiv tu us Kaya k saath khush nahi hai, teri ma hoon mai sab dekh sakti hoon."

"Maa please mujhe is topic par koi discussion nhi karna. Aap har baar yahi topic kyun le aati hain."Shiv bahut irritated lag rahe the.

"Achaa to ab mai kuch bolun bhi na....sahi hai.....meri hi galti hai.....saza to mujhe milni hi chahiye."

"Maa kaisi baatein kar rahi hain aap !?" Shiv said.

"Aur nahi to kya...mujhe tumhari is ladki se shaadi ke liye haami hi nahi bharni chahiye thi. Pahle mai na kah rahi thi na wohi sahi tha." Mummyji said.

Iska matlab mummyji pahle hum logon ki shaadi k khilaaf thi.

"Ma aap kab ki baat utha rahe ho."

Mummyji angrily stood up.

"Tu to kuch bol hi mat. Tu bhool gaya hoga par mujhe tere ek ek shabd aaj tak yaad hai.
Tu is Kaya se sirf isliye shaadi karna chahta tha kyunki wo bahut khoobsurat nahi hai, teri jitni educated ya tere standards ki nahi hai, tere circle mein kabhi fit nahi hogi, Tu usse kabhi pyaar nahi kar payega...
Bol.....kaha tha ki nahi tune....bol mujhe..!?"

"Haan...ma....haan....kaha tha maine ye sab....par...." Shiv ne chillate hue kaha aur ye sunte hi mere dil mein pata nahi kya par ajeeb sa kuch toota.

"Maine tujhe tere papa se baat karte hue suna tha...tu kah raha tha ki ye tujhse sirf ek secure life ke liye shaadi kar rahi hai." Mummyji continued. Wo bahut naraaz lag rahi thi and mere pairon se zameen khiski jaa rahi thi. Shiv mere baare mein aisa sab sochte hain.

Being Your Second Wife (SLOW UPDATES)Where stories live. Discover now