11

7.2K 337 124
                                    

Kaya POV :

I sighed when I heard jingling of keys on the main door of apartment and looked at my mobile..it was 1.00 am. Ek lambi saas lene ke baad I thanked God that Shiv is back home.

Pichle teen dino se jabse he got to know about my pregnancy tabse yahi chal raha hai. Ghar lautne ka unka koi time nahi raha hai. Roz late aate hain. Na mere haath ka kuch khaate hain na hi mere se koi matlab rakhna chahte hain.

Haan ek kaam hai jo unhone pichle teen dino mein ek baar bhi karna nahi bhoola.....wo hai mujhe timely beizzat karna aur mujhe humiliate karne ka koi mauka nahi chodna... mauke to wo apne aap hi generate kar lete hain to aur kya kahoon mai.

Yakeen hi nahi hota ye wohi Shiv hai jinke saath baith kar mai apne school, college ke kisse share kara karti thi. Kitna haste the mere saath, mujhe hasaate the. Hum dost the. Aur aaj...aaj kitna different shade dekhne ko mila hai unka. He is acting like a completely betrayed maniac husband these days.

Being a husband mai unka state of mind samajh sakti hoon par fir bhi...fir bhi unki baatein, unke ke ye taane itne chubhte hain.

Mai jaanti hoon ki meri unki zindagi mein kya jagah hai aur sach mein..sach mein maine khud ko kaafi hadd tak samjha liya hai ki mai unse kuch bhi umeed na karoon...unka pyaar, unka attention, kuch bhi. Par phir bhi...jab hum itna time kisi ke saath bitaaye aur wo humare saath achhe se pesh aaye to na chahte hue bhi kuch lagaav ho hi jaata hai..its basic human nature. Isiliye mujhe unki baatein hurt karti hain, gussa aata hai. Kitna rude behave kar rahe hain.....Abhi parso ki hi baat to thi jab....

Flashback 1

I was in kitchen when he called me. Mai thoda surprise ho gayi kyunki mujhe laga nahi ki raat ke incident ke baad wo itni jaldi mujhse baat karenge. But anyways mai daud ke unke paas pahuchi

"Ji aapne bulaya !"

"Haan. I want your father's contact number." He said without looking at me.

Ab aap poochenge ki aisa kaise ho sakta hai shaadi ke ek saal hone ko aaye and unke paas mere parents ka number nahi hai. Haan....aisa hi hai..shuruat mein to wo khadoos se the to mere parents se koi matlab rakhte nahi the. Jab mujhse baat nahi karte the to mere parents ko to chodd hi do.
Ab haal filhaal jabse mere saath normal hue hain tabse thodi bahut occasional baat hoti bhi hai to wo mere hi phone se ho jaati thi.
Mere parents ko bhi lagta hai ki wo typical wo puraane time mein damaad hote hain na..attention seeker..khud ko sabse uncha samjahne waale....Shiv waise hi hain, to wo log unpar kisi bhi baat ka zor nahi daalte aur mai bhi un logon ka ye bhram todna nahi chahti.

Koi aur din hota to mai unhe turant number de deti par aaj situation pahle jaisi nahi thi.

"Papa ka number Kyun ?"

"Kyun ka kya matlab ? Arey itni badi good news hai. I am sure tumne to unhe kuch bataya nahi hoga to maine socha mai hi good news de doon."

Itni nafrat bhari thi unki aankhon mein which literally shooked me to core. Moreover telling my parents...

"Nahi please.." I pleaded. "Papa Mummy ko kuch nahi pata chalna chahiye."

"Kyun ? Unki beti pregnant hai unlogon ko to pata hona chahiye na." He was smiling all throughout. An evil smile.

"Nahi please aap aisa kuch nahi kariye. Mere Mummy Papa ko kuch nahi batana hai."

"But Why Kaya ?" He asked innocently.

"Aap jaante hain kyun ? Meri Mummy heart ki patient hai. Unko pata chala to
....Please...aap samajhne ki koshish kariye."

In a flash of second he stood in front of me.

Being Your Second Wife (SLOW UPDATES)Where stories live. Discover now