7

6.8K 334 72
                                    

Kaya POV

Yakeen hi nahi hota ki kuch mahino mein meri shaadi ko ek saal ho jaayenge, aur thoda time aur and phir humara Ansh bhi school jaana shuru kar dega. Time sach mein par laga kar udd jaata hai.

Shiv and mere beech ab halaat pahle se kaafi behtar hai. Ab hum ek doosre se baat karte hain although mai abhi bhi ye nahi kahungi ki kuch bhi aur kaisi bhi baat karte hain par yahi badi baat nahi ki ab baatein karte hain atleast.

Shiv jab se mere friend bane hain tabse unme kaafi changes aaye hain. Ab wo jaada gussa nahi karte, batein karte hain and ab mai almost sab kuch jaanti hoon unke baare mein, unke school days, unki college life, unka aur Suman ke baare mein. Wo sab kuch bahut khul kar batate hain ab.

Sab kuch theek hai ab par phir bhi ek kami hai aur wo kami shayad mere hi side se hai. Mai jaanti hoon ki Shiv mujhe apne saath bahut comfortable mehsoos karana chahte hain par na jaane kyun mai unke saath apne real self mein aa hi nahi paati. Mai hamesha unke saath alert rehti hoon ki na jaane kab unhe meri koi baat buri lag jaaye.

Hum dono ki pasand napasand completely different hai and ye baat bhi ek major point hai humare beech ke differences ka. Unhe party pasand hai, adventure pasand hai, shor sharaba pasand hai and mujhe shanti aur akelapan. Many times he offered me to go to clubs or other events but everytime I declined his offer politely. Pahle pahle wo baar baar puchte the and eventually he also understood and left it.

Mujhe sach mein bahut ajeeb lagta hai ki mai unki lifestyle ka ya unke friends circle ka hissa kaise ban paungi, dar lagta hai ki kahin kuch aisa bol ya kar na doon jisse unhe aur sharmindagi ho.

Wo jitne high-fi hain mai utni hi desi. Mera confidence level unke saamne negative mein chala jaata hai. Unhe har field aur har area ki itni knowledge hai and mai.....
Wo itne multi talented hai itni saari to hobbies hai unki and mujhe..mujhe aaj tak yahi nahi pata chala ki mera area of interest hai kis cheez mein.

For god sake...jab unka koi dost mujhse meri education hi pooch lega to mai kya kahungi...ek private college se B.Sc graduate and he...he is an IITn. Pata nahi Shiv ne mujhse shaadi kyun ki.....mere andar to khoobsurti bhi nahi hai.

Mujhe nahi pata mai aisi kyun hoon !? Itni low confidence and insecure si but I knew ek din mujhe zaroor mere is nature ki wajah se bahut problem hone wali hai.

There was a knock on the main door and as expected Shiv was there.

"Hey" I said and he smiled in return.

Wo sofe par baith kar freshen up hone chale gaye and mai unke liye paani laane chali gayi.

"Kaya Aman aaya hai kya ?"

"Haan. Aapko kaise pata chala ?" I gave him glass of cold water which he gladly took.

"Arey wo shoes rakhte samay shoerack par uske shoes dekhe. Kahan hai wo ?" He asked looking around.

"Jee wo Aman bhai shaam mein office ke baad aaye the bol rahe the raat ko unhe kisi friend ki party mein jaana hai. Unka sar dard ho raha tha to abhi wo kamre mein rest kar rahe hain."

"Hmmmm......sar to aaj mera bhi dard ho raha hai." Shiv apne maathe ko ungliyon se dabane lage.

"Aapke liye strong chai le aaon ? Ya fir koi medicine lenge ?" Mai sar dabaane ka bhi offer deti but obviously wo aap accept nahi karte and baad mein mujhe hi odd feel hota.

"Nahi...I think mai bhi thoda araam kar lunga but pahle apne Anshu ke saath to khel loon."Shiv ne Ansh ko god mein uthate hue bola jo apne papa ki awaaz sunkar Pa...Pa...kehta hua aa gaya tha.

-----------

After making dinner I was sitting in the hall flipping channels on the tv when I heard some commotion from room where Amar bhai was taking rest.

Being Your Second Wife (SLOW UPDATES)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें