Chapter 11: Kriya In Danger

1.6K 67 70
                                    

Later in the day, Rey was furiously playing basket ball but he was continuously missing shots. He tried once again but missed to hit the basket and the ball rolled behind him to someone else.

Voice: Bad shot!

Rey: Leave me alone Swayam.

Who thought it might be Kriya or Mayur? 

Swayam: Nahi chodunga... aaj ka maha samachar... Reyaansh Singhania ek bhi basket score nahi ho paya. Aisa toh sirf tab hi hota hai jab usse koi baat pareshan kar rahi ho. Tu jaanta hai ke tu mujhse kuch bhi nahi chupa sakta toh bata... kya baat hai?

Rey: Mujhe Kriya ko lekar bohot se insecurities feel ho rahi hai.

Swayam: Sirf Kriya se ya Mayur aur uski dosti ko lekar?

Rey: Haan wahi... pata nahi kya karun... ek taraf usne toh keh diya ke woh usse pyaar karti hai aur dusri taraf they behave only like buddies, secondly ab sabko lagne laga hai ke woh dono ek perfect couple hain.

Swayam: Hold on, sabko lagta hai as in?

Rey: Taani, she thinks ke they are made for each other.

Swayam: God Rey, tu firse wahi galti karna chahta hai joh ek saal pehle kiya tha? Taani ko toh aisa lage kyun ki woh Kriya ke aane se tujhe lekar insecure hai because she still loves you. Aur raha sawal Kriya ka toh agar woh ek saal pehle jhoot bol sakti thi toh aaj bhi bol sakti hai, apne emotions ko chupana usse aa chuka hai.

Rey: Your right dude, main firse Kriya ki banawati baaton pe dhyaan nahi de sakta. Isse pehle woh khudko hum sab se aur bhi durr karle main aaj hi infact abhi Taani se breakup karlunga. Kriya ke saath saath woh bhi hurt ho rahi hogi mere behavior ke wajeh se.

Both left the BB court but someone was getting really angry listening to their convo, that person immediately called on someone's number.

Respondent: Tum? Kyun phone kiya?

Caller: Mujhe aap se milna hai abhi!

Meanwhile

ReYam were inside the boys locker room, when Mayur entered. The boys had a plan in mind to figure how does he felt about Kriya. Rey decides to talk to him but is stopped by Swayam as he knew that Rey will not be able to control himself, so he himself went to Mayur to start a conversation.

Swayam: Hey buddy, kaisi chal rahi hai rehearsals?

Mayur: FYI I'm not your buddy, main sirf aur sirf Kriya ka dost hoon. Secondly, humari rehearsals ki tension lene ki zaroorat toh tumhe bilkul bhi nahi, we can manage.

Rey: Of course, dono ek chaad ke neeche jo reh rahe ho.

Mayur had turned his hand into a fist and his face was clearly showing that the iron was getting hot. Swayam sensed trouble towards them so tried to tackle the situation.

Swayam: Umm... actually your right, Kriya ko kisi zaroorat nahi hai, she's an all rounder. Just a small piece of advice, agar woh kabhi bhi hyper ya bohot zyada nervous dikhe toh usse pep talks de dena, she always needs them akhir best friend hoon mein uska.

Mayur: Best Friend! Yeah right, toh kahan tha yeh best friend jab uski dost ko kamre mein lock kar diya gaya tha? Kahan tha yeh best friend jab usse eliminations mein aane se roka jaa raha tha? Kahan tha yeh best friend jab usse apne Dost aur Rey ke beech mein se kisi ek ko choose karna tha? Kahan tha yeh best friend jab uski mom ne usse yahan se wapas lekar chaligayi? Kahan tha yeh best friend jab usse uski sab zyaada zaroorat thi? Bolo! Hai koi jawab?!

Saathiyaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें