Chapter 20: Realization & Confession

782 44 25
                                    

In the evening both Kriya & Rey had calm down & were rewinding the scenario of the day, they came on to the conclusion stupid it was of them to fight when the matter could've been solved in a peaceful way.

Kriya: Rey sahi keh rahe the... mujhe itna overprotective nahin hona chahiye tha... Taani koyi bachchi nahin hai.

Rey: Bachchi hai woh... issliye meri har baat affect karti hai... overreact kardiya maine... kya zaroorat thi mujhe yeh breakup wali baat kehni ki?! UGH!!

Kriya: Breakup wali baat jhut nahin hai... agar maine Rey se apni har insecurities ke baare pehle baat karli hoti toh aaj joh hua woh nahin hota.

Rey: Ab joh hogaya so hogaya... but kaise manaun Kriya ko.... mujhe usse baat karni padegi.

Kriya: Baat toh karni padegi... but kaise... mujhe pata hai ke woh abhi guilty feel kar rahe honge.

She was pacing back & fro in the room when suddenly her hand brushed her desk & made fall the calendar. She went to pick it up but the date made her surprised & she started to think deeply about it.

Kriya: So Rey be ready tomorrow for some "K effect".

Next day, Rey was searching for Kriya everywhere but couldn't find her. Actually, she was hiding from him.

Rey to student: Tumne Kriya ko dekha?

Student: Nahin toh.

Kriya on the other side behind the pillar is trying hard to control her laugh.

Kriya: Really sorry Rey but iss baar mujhe aapko manana hai so I won't let the cat out of the bag so fast.

She starts to walk out from there but Rey sees her & calls her over & over again. She quickly fastens her speed but Rey paces with her & stops her just in front of the canteen. She fake glares him while he makes a helpless face. She gets her way trough the canteen & walks over to a table were a group students were chilling.

Kriya to a boy (showing her cute smile): Hi, kya tum mujhe apne ECO ke notes de sakte ho please?

The boys smiles wide & nods quickly were as Rey... uske chehre ki toh hawaiyaan udd gayi.

Rey (thinks): Damn! Mujhe aankhein dikha kar chali gayi aur kisi random boy ko kitne pyaar se notes ke liye pooch rahi hai... Huh. Reyaansh beta tu toh gaya samajh.

Taani who was present in the canteen noticed their behavior, she was sure something was up with both of them. The mischievous twinkling eyes of Kriya was not gone unnoticed by her. She shook her head at their craziness. But as soon as she saw Shivam entering the canteen, she got up from her seat alarmed & walked towards him. He was about to open his mouth when she dragged him out from there till the basket ball court.

Shivam: Taani tum mujhe yahan

Taani: Shivam isse pehle ke aap kuch kaho maine yeh kehna chahti thi ke yeh sab joh aap kar rahe hain woh sahi nahin hai... I understand ke aap change hogaye hain but problem yeh hai ke yahan koi aap par trust nahi karta at least tab tak nahin jab tak aap unka trust jeet nahin jaate... aur haan please Kriya aur Rey ke beech pehle hi misunderstanding ho chuki hai aur ab aap mere paas na rahe toh behtar hoga.

Shivam: OK... I.. I understand... but if you don't can I ask you something.

Taani: Sure!

Shivam: Hum couple nahin but at least friends toh bann hi sakte hain na? Tumhe meri feelings ko reciprocate karne ki koi zaroorat nahi hai but at least iss friendship se awkwardness thodi kam hojaye aur main Gang ka trust pe jeet paaun.

Taani (smiles): Yahan pe maine sirf ek cheez seekhi hai Shivam... ke enemies bane ya na bane but friends zaroor banane chahiye.... so yes, friends!

Shivam: Friends! Aur ab kya tum apne iss naye friend ke liye ek favor kar sakti ho?

Taani: Friends se favor nahin maangte... boliye kya baat hai.

Shivam: Woh.. kal Valentine's Day ki party hai aur

Taani (smirks): Date nahin mili?

Shivam (sheepish grin): Umm haan... so kya tum?

Taani: Friend hun toh ek friend dusre friend ke liye itna toh kar hi sakte hain. Alright, I'll be your date.

Both smile wide & leave in the opposite directions, but in some classroom someone was in a depressed mood.

Nil: Hey Rey! Tune Kriya se pucha kya?

Rey: Kya poochun? Kuch poochna tha kya?

Vicky: Dude! Tujhe yaad nahin ke kal Valentine's Day hai?

Rey: Haan toh? Oh Freak!

Amar: Matlab nahin putha.

Rey: Yaar mere dimaag se nikal gaya. Ek toh kal humare beech fight hui aur ab woh mujhse baat nahin kar rahi.

Bharat: Bhai isse kehte hain khud hi apne pairon mein kulhadi maarna.

Rey (to Swayam): Dude! Please tu Kriya ko date ke liye puch... woh mujhe puchne tak ko door baat tak nahin karne degi. Aur puchne jaaunga bhi toh darwaza muh pe bandh kar degi. Tu Kriya ko sambhal main Sharon ko sambhal lunga.

Swayam: Mere dost... jitna main tujhe janta hun utna main Kriya ko bhi janta hun... main tere behalf pe toh Kriya ko puchlunga but I can guarantee ke woh nahin aayegi. 1st woh mere aur Sharon ke beech nahin aana chahti. 2nd usse achcha nahin lagega ke tune bina try kiye usse judge kar liya & 3rd she might not be interested to attend after the fact that you bought had fought.

Rey: Tab ki tab dekhenge tu bas phone toh kar usse!

Swayam gives a hopeless expression & dials her number while the screen focuses on Rey's expression (D3 trouble tune in bg).

Precap: Valentine's Day party celebrations.

------------------------------------------------------------------------------------------

Yeah yeah I said 17th aur aaj update de rahi hun but reason tha mere paas ke I wanted to update for today only. HAPPY DIWALI MY CRAZY SISTERS & READERS!!! Yeh update meri dono jaan ki dushman SheuliBhattacharyya Dida & ShreyaSingh_ Behna ke liye tha.

So, how was it? Comment, Share & Vote also don't forget Follow this story so I can keep you guys posted. Next update will be on Sunday, 22nd October till then keep reading other KriYaansh/Arsha FF stories. LOVE YOU ALL KRIYAANSH FANS & HAPPY DIPAWALI EVERYONE!

@SarafWasima

Saathiyaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें