love never dies

80 5 1
                                    

#loveneverdies
#supershortstory
#endlesslove

Chalte Chalte girte padte mein pahunchi us samander kinaare jahan wo betha hua tha lehron ko ek tak niharte huye. Usko dekhkar esa laga jaise saari kaaynaat ruk gae ho, esa lag raha tha jaise ye hawa, ye manzar, or ye saare jahan ke log but ban gae hon, or lehron ka shorogul hi Kaanon me jaise sukoon pahuncha raha tha. Geeli ret par dabe paon rakhte huye mein uske kareeb jaa bedhi or use ehsaas bhi nae hua. Na jane kab meri dhadkon ne ghudsavaari karna shuru kar diya or daudte -daudte jab meri nazaron ne uska rukh kiya, to ehsaas huye ki usne mera haath thaama hua tha. Pani me uchallte huye patthar ki awaaz se meine haqikat ki dehleej par kadam rakha to meri aankhein chaka chaundh gae kuonki uski nazarein mujhe hi ghoor rahi thi, usne mujhe isharon se hi samander kee maujon ki taraf chalne ko kaha, me haste huye uske kadamon k sath do char kadam aage badi, wo lambe- lambe peiron se samander ki taraf bhaga, mein usko apne se alag na hone dene ki chahat me bhaagi or jakar samander me chalang laga di.

Gehraiyon me jakar use na dekhpaane se meri saanse foolne lagi, or zhatpatane lagi, esa laga jaise koi mujhe or gehraiyon me kheechein ja raha tha, k achanak meri nigaah uspar tiki, jise dekhkar mere zehen ne harkat karna band kar diya tha, or wo tha ki mere haal se bekhabar, mujhe samander ki khoobsoorti se robaroo karane ki jaddojahad me tha. Kuch der baad jab hum dono hi Satah k upar aaye to gehri saans lete hi hansi k gubaar foot pada, wo mujhe fir se gehraiyon me le gaya jahan usne seep ke andar ka moti taras kar diya, jo meri liye uski taraf se zindagi k behtreen tofa tha. Terte-terte duniya se bekhabar hum bahut door aa gae. Satah par pahunch kar mene use rukne ko kaha k mein thak chuki hon, chounkte huye usne mujhe dekha or sar haan me hilaya. Ice cream khane ka mann hua to mene usse pocha tum konsa flavor pasand karoge, badale me wo sirf hans diya. Mein daudi-daudi stoll par pahunchkar do raspberry flavor ki ice-cream lekar wapas aae to wo nae dikha. Har taraf dekha mene or kaha dekho mein ye dono hi ice-cream kha longi, par koi awaaz nae aae. Kuch der ice-cream ka maaza lete huye idhar udhar dekha wo kahin nae dikha. Dil ghabraahat ke kaaran zoron se dhadakne laga meine uska naam pukara, kae martaba pukara lekin har baar niraasha hi haath lagi. Har kisi se uske baare me poocha, lekin kuch hasil nae hua. Afra tafri me mein us ice-cream wale se hi pooch bedhi "kya aapne us ladke ko dekha jo mere saath wahan samander kinaare bedha tha,jiske liye meine avi ice-cream li thi", jo kaafi der se humhe hi dekh raha tha. Wo kuch der sochne laga or uska jawab sunte hi mere hoshon hawaas hi ud gae. Kanon me jaise kisi ne pighala hua seesha daal diya ho.

"Konsa ladka Aap to kae der se akele hi apne aap se baat kar rahi h or dono ice-cream bhi aap ne akele hi khae h".

Mein daudi-daudi us ret k dher par jaa giri jahan usne apne peiron k nishaan chode the. Na chahate huye bhi meri aankhein bhojh sambhaal na pae or aansu moti ki tarah meri hatheli me aaya gira. Badi himmat karke jab mene apni hatheli ko dekha to aansuon k saath wo 'moti' bhi chamak raha tha.

©️copyright disclaimer : No parts of this written piece are to be copied and reproduced without permission and credit.

Crazy LoveWhere stories live. Discover now