Episode 2

84 5 3
                                    

Recap:
Zoya got collided with someone in university. He rudely confronted her .
Aleem and others were trying to convince Badi Amma to give him permission to pursue his ambition but Badi Amma didnot agree.
Aleem send someone message..

**********************
"Dus min mei pohanch rha hn"
Aleem read his reply.

"Ab is k baad koi dubara is topic ko ni duhraye " Badi Amma warned every one ..

"Asslam Alaikum" He greeted everyone.

"Shahu beta" Badi Amma k chehray pe hmesha ki tarah usko daikh kr muskarahat a gae...

Badi Amma loves all her grandchildren. But he is apple of her eye.
Badi Amma ka ladla pota..Jaan thi Badi Amma ki us mein... woh sirf unka hi ni baki sb ko b buhat zayada azeez tha..

woh tha hi aisa chahae janay k laiq...kisi ko jatae bagair sb k maslay hal krne ki koshish krta...
Ghar k nokar, chokidar or mali tk, usko sb behad pasand krtae thay.. woh puri koshish krta tha k un ko ehsas dilay bagahir koi b masla ho to unki madad karay.... Sb k dil se us k lye hmesha duain hi nikalti thi...

"Kia hua Badi Amma, koi masla ho gya jo sb yahan khamosh bethay hain" us ne sb per aik nazar daal kr Badi Amma se pucha, jaisae woh bilkul anjaan tha.

"Hmaray pas kis cheez ki kaami hai jo yh dusray mulk mei ja kr khawar hona chahta hai" Badi Amma Aleem ko daikh kr boli

"Oh han yaad aya, Aleem congratulations, itni achi opportunity buhat kam logon ko milti hai" He congratulated Aleem with serious expressions.

"Shahu..." Badi Amma ne usae mukhatib kia...

"Badi Amma mazrat k saath, mei apki baat kaat rha hn...mei janta hn ap hm sb se buhat pyar krti hain.. hmari fikar krti hain..ap hmain apni ankhon k samnae daikhna chahti hain..or ap ghalat ni hain hmain jo krna chahye, apnae mulk mei reh kr is k lye krna chahye..
Lakin us k lye hmain kuch cheezain seekhni hain jo hm yahan reh kr ni seekh saktae.. Aleem jis project k lye ja rha hai us se woh buhat kuch seekh kr aye ga, jo yahan ni seekh sakta..
Apko fakhar hona chahye k apka pota itnae logon mei se select hua..Shamsa Amma k lye b to kitna mushkil hai lakin daikhain woh janti hain un k betay k jaane ka maqsad" us ne Shamsa ki taraf daikhtae huae kaha

"ab bs teyari karain isko bhejnae ki, apni duaon mei bhejain.."
Us ne dubara unki taraf daikhtae huae apni baat khatam ki.

"Kb jana hai tm ne" kuch dair baad Badi Amma ne Aleem ki taraf daikhtae huae usae pucha..

Baron k chehron per itmenan bhari muskarhat a gaye..
Nojawan party ne b khushi se "yahuu" ka naraa lagaya ( kuch bahair darwazay se sun rhae thi, kuch rooms mei beth kr sunnae ki koshish kr rhae thay).

"Thankyou..Thankyou.. Badi Amma" Aleem Badi Amma k galay lag gya. He mouthed thanks to Shaheer...

"Badi Amma ap ne Aleem bhai ko already nakeel dalwai hui hai, islye apko wohhhh wali tension in k lye, ni honi chahye"

"Han na Badi Amma, phr b apko shak hai to hm kuch arsay baad inki report lay aya karain gaye"

"Haina shaheer bhai"

Ahsan or nabeel jo kafi dair se under bethay thay. Jaisae hi taya abba and Chacha wagaira uth kr gaye. Dono bahair a kr shuru ho gaye. Waisae b yh dono itni dair chup thay, yh b aik buhat bari baat thi..

"Tm dono se fazul goi k allawa kuch tawaqu ki ja sakti hai" Shaheer ne un dono ko mukhatib krtae huae kaha.

"Shaheer bhai ap b na-mumkin baat krtae hain" Maida sb ko chae serve krtae huae boli..

Umeed-e-SeherKde žijí příběhy. Začni objevovat