Episode 9

57 5 16
                                    


"Chehra to dikhaye na...." is se pehlay Fayaz rajpoot ka dost agay barhta... zoya ne chadar mei chupaya hua pathar usae day mara tha.

"Oye hoye... yeh to shairni nikli...ab to chehra daikhna banta hai...fikar na karo mun dikhai b dain gaye..tm ne meray aik saathi ko jaise di usae achiiiiiii dain gaye" Fayaz or uska dusra dost aik saath uski taraf bharay is sae pehlay unka haath zoya tk pohanchta, lohay ka danda us k haath pr laga.

Aik dost ko Danish ne sambhal lia tha.
Abi fayaz rajpoot is waar se sambhla hi tha, Shaheer ne usae do teen or lagaye. Woh uski fazul bakwas phone pr sun kr shadeed mushtael ho chuka tha.  usko mar mar kr woh adh-mua kr chuka tha.

Shaheer unlogon k or zoya k bech mei khara tha. Zoya uski peth k pechay chup se gaye thi. Zoya ne apni shawl ko mazeed lapait lia.

Woh unki taraf murra, zoya ne jaisae hi us k chehray ko daikha woh ghabra gaye thi..... Us k chehray ki sakhti or uski ankhon mei dehshat daikh kr woh khofzada ho gaye..... Isi khof mei woh aik qadam pechay hui thi..... Us k jarehana tewar daikh kr zoya per ghabrahat tari hui wi thi.

Kuch paal k lye Shaheer us se nazar ni hata paya woh yakeen krna chahta tha woh salamat hai.

Shaheer ne sameer ko bula kr un dono ko chornay ki taqeed ki. Sameer se baat krtae huae b woh uski nazron k hisar mei hi thi, Jo ab Anshara ko sahara day rhe thi.

"Chalain..gari bs do qadam k faslay pr hai" Sameer unki taraf daikhtae huae narmi se goya hua

"Lakin ap log..." zoya jo Shaheer ki taraf daikh kr un ka puchane lagi thi. Usae ghabrahat ho rhe thi. Woh ni chahti thi k uski waja se un mei se kisi ko chot aye

Lakin woh Shaheer ki nighahon se nazrain na mila pai..... isi lye sameer ki taraf murr gaye.

"Hmain yahan se jaldi nikalna hai, university k guards b pohanchnae lagay hn gaye. Or ap ladkiun ka hona aik tamasha khara kr sakta hai" Sameer ne chaltae huae usae wazahat di.

Shaheer jo unhain jatae huae daikh rha tha jaisae hi uski nazar Zoya k paon pr pari....... us ne sakhti se apnae hont bhech liye.  Us ne usi waqt sameer ko message kr dia tha..

Fayaz rajpoot or us k dono saathiyon ki buri halat ho chuki thi....

==*==
Anshara ki halat daikhtae huae zoya ne sameer ko hospital ki taraf janay ka kaha tha.
Anshara ne apna sir zoya k kandhay pr rakha hua tha, zoya us k mathay k se nikalnae walay khoon ko roknae ki koshish kr rhe thi.

"Ap please phone kr k puchain, pata ni security team pohanchi b ho gi yah ni, hmari waja se ap k kisi dost ko chot na lag jaye" zoya kuch dair baad sameer se mukhatib hui..us k lehjae mein bechaini numayan thi

"Ap fikar na karain, un logon ki halat aise thi k ab woh kuch dair uth b nai payin gaye" sameer ne usae tasali daitae huae kaha

"Allah karay aisa hi ho...." zoya ahista se boli

"Yh ap pehan lijye. Hain to Shaheer k... apko size b pura ni ho ga lakin is tarah janay se behtar hai" Sameer ne usae trunk mei se shoes nikal kr diye

Itni dair mein pehli dafa zoya ko ehsas hua k woh us waqt ki bagair shoes k hai. Ab usae apnae paon mei takleef mehsoos hui thi jo kuch pathar or kantae lagnae k baad us k paon mei zakham kr gaye thay.

woh Anshara ko lay kr building wali jaga se nikal rhe thi tb zoya ne daikha tha k Anshara ne paon mei kuch ni pehna hua. Uski halat daikh kr zoya ne usae apni sandals pehna di thi.

Anshara hmesha wedges yah heels pehnti thi, fayaz rajpoot or us k doston  se bhagnae k doran us ne apni sandals utar diye thay.

Itni dair mei tension or ghabrahat ki waja se zoya ko apnae paon pr lagnae walay zakhmon ka ehsas hi ni hua tha.

Umeed-e-SeherOù les histoires vivent. Découvrez maintenant