Episode 10

46 5 23
                                    

Javed Shahbaz Shah kay betay Momin ki shadi ki tareekh rakh di gaye thi... jaisae jaisae shadi k din nazdeek a rhae thay Javed manshion mei gehma gehmi barh gaye thi....

Sham k time sb wahin chalay jatay thay.....Shaheer b aj idhar hi aya hua tha, apni masrufiat ki waja  se kafi dino se wahan ka chakar na laga saka.

Marij jisae Shaheer se kuch kaam tha isi lye udhar aya tha. Lakin Momin wagaira ne usae zabardast rok lia tha. Marij or Shaheer ki dosti kafi purani thi, isi lye un sb ki b Marij se achi Salam dua thi is k allawa Suleiman Afridi or Mehtab Shahbaz Shah college friends b reh chukay thay....

"Marij bhai...ap b apnae dost ko manain na, ab inki umer ho gaye hai haath peelay honay ki....mera matlab hai sehra bandhnae ki" Nabeel ki baat pr Marij ne ba-mushkil apnae qehkay ko roka

Shaheer uski is baat pr zach ho kr reh gaya tha..

"Tm sb mil kr zabardasti yh kaam kr saktae ho"

"Mei nae socha tha inhain university  mei koi mil jaye....lakin meray sources k mutabiq bechari itni sanf-e-nazuk in k bharkeelay andaz ki waja se apnae armano ka qatal kr k in se beess meel dur hi rehti hain.... Inko daikhnae k lye b durbeen ka istemal krti hain" Ahsan ne sard aah bhar pr kaha

Shaheer jisae is tarah ki guftugu bilkul pasand ni thi woh b jb Badi Amma or Maa k allawa  ghar ki baki khawateen b yahin bethi thi...

Us ne apnae ghuse ko qabu krtae huae Nabeel or Ahsan ko kuch or bolnae se sakhti se toka tha......

Marij kuch or dair wahan beth kr Shaheer se ijazat lay kr nikal gya tha ....

****************************

"Tmharae saray khandan ko ab tmhari shaadi ka intezar hai....apni Badi Amma kay to tm ladlay ho...unko buhat hi armaan hain tmhari shaadi kay" Marij kuch haftay pehlay javed mansion mein honae wali baatain yaad anay per bola...woh dono university k qareeb aik coffee shop pr bethay huae thay...

"Mei tm se isi silsalay mei baat krna chahta tha..lakin pehlay mouqa koi munasib mila ni"  us k wajeeha chehray pr gehri sanjeedgi chaye hui thi

"Tmhain meri madad chahye...khairiat to hai...
Khandan ka chahehta or ladla pota
Jis k mun se nikalnae wali hr baat puri ho jati haii...usae meri sifarish chahye" Marij hairan hotay huae bola

"Mera kehnae ka yh matlab ni tha"  Shaheer sanjeedgi se bola

"kon hai woh azeem ladki...jis ne tm jaisae shaks kooo....."

Is se pehlay Marij apni baat mukamal krta, Shaheer k kahay gaye aglay alfaz sun kr woh aik lamhay k lye thatak gya tha.

"Mei Zoya ko apni zindagi mei shamil krna chahta hn" Shaheer ne baghair koi tamheed banday apni baat kahi..

Shaheer Sikander Shah k ziddi dil ne Zoya fatima ko apni zindagi mei shamil krnae ka soch lia tha isi lye woh pehlay Marij se baat krna chahta tha

"Mei apne baron ko bhejnae se pehlay tm se baat krna chahta tha" Marij ko khamosh daikh kr Shaheer ne apni baat jari rakhi...

Marij ko yh sb sun kr khushi hui thi.. woh Shaheer ko kafi arsay se janta tha..uska mazbut kirdar, uski family sb us k samnae tha...
Us ne Shaheer se sochnae k lye kuch waqt manga tha.

****************************
Kuch din sochnay k baad Marij usae dubara mila or usae btaya k Zoya ka uski Mausi Maa or Marij ki family k allawa koi ni hai...agar baki kuch anay walay proposals ki tarah un hn ne b us k khandan k baray mei sawalat uthanay hai to behtar hai woh abi bta dae...woh zoya ko takleef mei ni daikhna chahta

Umeed-e-SeherWhere stories live. Discover now