Episode 13

121 6 6
                                    


Shariq shah ki tbyat ab qadray behtar thi..
woh apni room ki khirki k pas beth kr kisi kitab k mutalay mei masruf thay..

Marij ko kamray k undr atay daikh kr usay milnae k lye woh apni jaga se kharay huae, Lakin jaisae hi us k saath kharay wujood pr unki nazar pari, beyakini ki kaifiat mei agay barhay.

Apni badqismati pr unki ankhain chalak uthi thi.
Apnae khoon ko aj zindagi mei woh pehli bar daikh rhae thay. Jis ka nam b unhain kuch waqt pehlay hi pata chala.. aj jb woh samnay thi unhain lag rha tha yh khawab toot jaye ga..
Isi lye usay nazrain ni hatta pa rhae thay..

Zoya k salam krnae pr unhain andaza hua yh khawab ni haqeqat thi.
agay barh kr usae seenay se laga lia...na janay kitnay aanso unki ankhon se nikal kr zoya k dupattae pr jazb huae thay..kitni dair woh usae isi tarah lagaye kharay rhae..

"Uncle aj to ap mje no lift ka board dikha rhae hain" Marij mahol mei mojood tanao ko kaam krnae ki koshish krtae huae bola

==*==
Zoya ko yh sb khawab ki kafiat lagi.  us ne kabhi ni socha tha jis insan ko aj tk woh newspaper pr yah internet pr hi daikhti aye usae is tarah kabhi apni zindagi mei mil paye gi.
jb jb us ki paidaish pr unglian uthae gaye us ne kabhi unka naam tk na lia.
Usae hmesha se yhe lagta tha k us ka hona yah na hona, un k lye kuch maini ni rakhta ho ga.
Isi lye to itnay din woh marij ki baaton pr yakeen ni kr paa rhe thi..woh jb jb usay un k tarapnae ka btata, woh isay jhoot samjhti thi..

Andr anay tk usae yhe laga tha k woh apnae faislay pr pachtai gi lakin yahan a kr usae marij ki baaton pr yakeen anay laga tha..

Jb se woh log yahan aye tb se un ka bartao usae aik ajeeb se sharmindagi or dukh k ehsas se do char kr rha tha...

Ghar k baki afrad b usae buhat khalos se milay thay. Maimona begum usae jis tarah mili thi lag hi ni rha tha woh unki sautan ki beti hai.

Shamsa or Aleema b usae mili. Shah khandan ki nojawan nasal b bari bari usae milnae aye. Un sb ka to bs ni chal rha tha zoya ko darwazay pr welcome krtae.. Marij ne mana kia tha k darwazay pr zoya ko shock maat daina.. Ahsan ne zoya se sb ka taruf krwaya tha...

Woh sb k sawalon k jawab achi tarah day rhe thi..bawajud is k woh khud pur sakun ni ho pa rhe thi is hujoom mein.

sb usae buhat achi tarah paish a rhae thay or agar woh yahan se aik dam utnae ka kehti to shaid un sb ko bura lagta or na janay woh kia sochtae.. woh un sb k jazbaton ko thais ni pohanchana chahti thi.

"Phopo hain apki, jao milo un se, yh ap k saath apki favorite game b khailain gi" marij jisae zoya ki kafiat ka andaza tha isi lye jaisae hi umer(umaima and raheel son) andar aya Shaheer k saath usae kehnae laga

Umer kuch dair to zoya ko daikhta rha. us k is tarah jaiza lainae pr aik haseen muskurahat ne zoya kay labon ka ahata kia tha..

Thori dair mei umer us k saath ghul mil gaya tha.. uski masoomana baatain sun kr zoya k chehray se muskurahat ja hi ni rhi thi..
==*==
"Meri to chalo khair hai. is kamray mei meray allawa us k do bhai or aik adad baap b mojood hain.. achi tarah janta hn dartae to un sb se b ni ho.......lakin agar meri behan ne tmhain is tarah TARTAE huae daikh lia to us ne aik second b yahan or ni bethna"  Marij jo kafi dair se Shaheer ki mehwiat ko daikh rha tha bola.
Jawaban shaheer ne us k lafz tarnae pr usae sakht ghouri se nawaza

Marij k allawa kamray mei mojood aik or nafoos ne b uski yh mehwiat notice ki thi

==*==
Marij ne jb ijazat chahi, Shariq ka bs ni chal rha tha woh zoya ko kisi tarah rok lain.

Lakin shaid abi munasib waqt aya ni tha or woh koi zabardasti ni krna chahtae thay..
Marij ne unse phr saath lanay ka wada kia tha
==*==
Woh sb zoya se mil kr khush huae thay kun k yhe soch kr woh pareshan thay k shaid woh un sb se apnay saath ki gaye ziyadtion ki waja se buri tarah paish aye gi..

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Dec 25, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Umeed-e-SeherWhere stories live. Discover now