3~Bondita's Education

1.9K 73 8
                                    

After 2-3 days Bondita again started doing all household chores as usual.

Anirudh ( in his mind)- Kaafi wakt ho gaya hai,maine Bondita ki padhai par dhyan hi nahi diya,case ke chakkar mein bhul hi gaya ki Bondita ki pariksha (exam) aane wali hai.

After this, Anirudh goes to Bondita where she is cooking food for lunch.

Anirudh ( ask to Bondita) - Bondita tum yeh kya kar rahi ho?

Bondita - pati babu aapki ankhein👀 toh thik hai nah?

Anirudh-haan, lekin tum yeh kyu puch rahi ho?

Bondita- agar aapki ankhein thik hai toh phir aap kyu puch rahe hai ki mein kya kar rahi hu......

Anirudh-tum hamesha tedha jawab kyu deti ho?

Bondita- aap hamesha aisa sawal kyu puchthe hai ki mujhe tedha jawab dena padta hai

Anirudh- hey Dugga ma! Bondita tum aur tumhare tarkh......chalo thik hai maine har maani

Bondita- dekh lena pati babu tarkh se hi toh farkh mitega na

Anirudh- yeh sab chodo aur mujhe yeh batao ki tum yahan kyu ho m..
Mera matlab hai ki tumhari pariksha aane wali hai na,phir tum uski taiyaari karo na

Bondita- ji pati babu mujhe pata hai mein bas khana banake ja hi rahi hu

Anirudh-khana banakar nahi tum abhi ja rahi ho...aur main bhi tumhare saath chal raha hu,chalo..

Bondita- pati babu aap chaliye main aa rahi hu
Anirudh- tum abhi mere saath chal rahi ho
Bondita- pati babu aap meri koi baat kyu nahi sunte
Anirudh- Bondita tum meri koi baat kyu nahi sunti......
And they start fighting.....
Listening their fight, everyone come in kitchen

Batuk- dada boudi aap dono kyu lad rahe hai
Som - Haan kya hua......
Binoy- Bondita, tum mujhe batao ki kya hua

Bondita- sasurji meri pariksha aa rahi hai toh pati babu bol rahe hai ki main sare kaam chod kar pariksha ki taiyaari Karu

Anirudh- Haan toh kya galat bol raha hu main baba, aap hi mujhe bataiye

Bondita- Haan toh maine kab bola ki aap galat bol rahe hai, maine toh yahi bola na ki khana banakar main padhai kar lungi

Kaka - Anirudh bahu thik toh bol rahi hai, woh phele khana bana le phir taiyaari kar legi woh pariksha ki

Bondita- Dekha pati babu, aap aise hi mujhe daat rahe the

Anirudh- wah (and he start clapping👏👏) dhanyavad dugga maa! Mujhe aisa anokha parivaar dene ke liye... Ek taraf sab ush Greenwood aur Betty ko harana chahte the taki Bondita padh sake vidyalaya 🏫 ja sake aur dusri taraf ushe padhne se rok rahe hai......

Kaka - hum Kahan rok rahe hai bahu ko padhne se, hum toh bas yahi keh rahe hai ki ek baar bahu ghar ka sara kaam karde phir padh legi

Anirudh- yahi toh dikkat hai na Kaka....ghar ka sara kaam karne ke baad jab tak ushe samay milta hai tab tak toh woh thak jati hai..... Aur thakne ke baad koi insan man lagakar padh sakta hai kya

Binoy- yeh baat toh tumne sahi kahi Anirudh..... Iss baat mein main tumhare saath hu
Kaka - binoy tum bhi
Binoy- Da, Anirudh sahi keh Raha hai

Kaka - thik hai , thik hai ....... Bahu ab se tum keval apni padhai par dhyan dogi

Bondita- par kakasasurji agar main ghar ka kaam nahi karungi toh kon karega

Batuk- Arey boudi Koyli didi hai na.....
Kaka ( in Batuk's ear) - tumhe bolna zaruri tha....😂

Anirudh- Bondita.....ab chale ya phir ab bhi tumhe aur ladai karni hai ab toh tumhari samasya ka hal bhi nikal aaya......
Bondita- pati babu main pehle khana.....
Anirudh - Bondita agar tum abhi mere saath nahi chali nah toh......
Bondita- toh??
Anirudh- toh main tumhe aaj ke baad kabhi roshugulle nahi Dunga
Bondita- nahi nahi pati babu main abhi aapke saath chalti hu

Bondita (in her mind)- main kya karu inka kabhi bhi kuch bhi ban jate hai kabhi pyare pati babu,kabhi rakshak babu Lekin iss wakt toh rakshas 👿 babu bane huye hai ( 🤣🤣)

Anirudh-tum chalti ho ya.......

Bondita- nahi nahi chalti hu

They go to study and Bondita start studying for her exams.
After 3 weeks Bondita's exams are over and she is happy that she wouldn't study anymore. And suddenly a letter comes to RC mansion🏤

Aap sab ko kya lagta hai 🤔 woh letter kisne bheja hoga?

Thankyou
I hope you like it 😇
Please vote

Anidita- Pride and Prejudice (On Hold)Where stories live. Discover now