you and me....❤️❤️

3.7K 514 33
                                    

Next day...

Papa- Sana...uss Ajay ka kya hua kuch pata chala...

He asked sitting on the couch with a news paper..

Sana- papa...woh bahar aa chuka hai...aur mujhe laga woh idhar aayega par woh toh seedha gaon gaya hai...Rihaan bhaiyya ne bola..

Papa- beta pata tha mujhe wahan jaa kar ab paison ke liye humara Zameen sab le lega woh..pehle se hi keh raha tha agar tujhse shaadi nahi hui toh humara saara Zameen aur ghar sab uska ho jaayega...

Sana- par papa ye toh sahi nahi hai...hum iske bhi case file kar sakte hai..aisa nahi hum paise vapas nahi dene wale hai..maine dho din pehle bhi kuch amount transfer kiya aur har mahine transfer kar rahi... hopefully...ek aada saal mein main pura kar dungi sab kuch...

Papa- beta mujhe maaf kardo..ab tere Zindagi dekhni hai tujhe isliye aage ka jo bhi paisa hoga hum Zameen aur ghar dono ko bhej kar main usse de dunga...

Sana- papa woh humara ghar hai...usse kyun bhejenge hum...mera aakhri memory hai maa ki...main usse nahi kho sakti...

She shouted...

Papa- beta tum abhi shaant raho..

Sana- papa...

Sid entered their flat...

Sana stopped and went inside the kitchen...

He realised something is not cool...

Her dad kept the newspaper aside and walked towards the balcony..

Sid stood in the living room deciding whether to go to Sana or her dad...

Then he walked towards the balcony...

Sid stood beside him...

Her dad just gave a smile and then continued to stare the sky...

Papa- bahut choti thi Sana ...jab uske maa ne hum sab ko chod ke chali gayi thi...uske baad meri bachchi ne bahut kuch Saha...maine apne zimmedari thik se nahi nibhaya...

Sid- uncle...

Papa- Smrita...Smrita naam tha uski...bahut sundar ...bahut samajhdar aur dil ki saaf thi woh...mere duniya thi woh...love marriage thi humari...

He giggled...

Sid smiled...

But suddenly his smile changed to tears..

Papa- bahut khush the hum..jab Sana aayi hamare zindagi mein usse bhi zyada khushiyan aa chuki hai...phir achanak...uske tabiyat kharab hoti gayi.. bahut koshish kiya maine....

His voice choked...

Sid kept his palm on his shoulder...

Papa- par usse...bacha nahi paaya...

Sid- uncle... please..

Papa- uske baad main aage badh nahi paaya... zindagi badal gayi...bahut kharab ho chuki thi sab kuch..business mein loss ho gayi...aur main peene lag gaya...ek baap ki farz bhul gaya main ..uss bachchi ke dil ko bahut tez pahunchaya maine...mere behen ne usko bada kiya...uske dyaan rakha...maine kuch nahi kiya mere Sana ke liye...aur toh aur uske sar par itna bada bhoj bhi rakh diya maine...

He took a deep breath..

Papa- agar woh chahti toh insab cheezon se dur reh sakti thi...par sab kuch apne sar par daal kar...mere liye bhaag rahi hai...mujhe apne aap par sharam ho raha hai...

Sid- uncle aisa mat sochiye.

Papa- beta main tumse ye sab isliye keh raha hun..kyun ki uski aage ki zindagi tere saath hai...main tumhe pehle nahi jaanta ...par Sana ke aankhon mein bahut pyaar dekha tere liye..uske dil kabhi mat todna...usko bahut khushiyan aur pyaar dena..itne saalon se taras rahi hai pyaar ke liye...aur ab usko mil bhi gayi...mujhe vaada karo tum uska dil kabhi nahi todega...

Just Neighbours....जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें