Part 7

1.1K 59 3
                                    

Mr. Faisu : Jannat tum aisa kyun kar rhi ho??

Jannat : Maine kya kiya Faisu?

Mr. Faisu : Oh really? Tumne nhi maaloom?? Chalo main bata deta hoon. Tum kyun vapas khudko hurt karne pe tuli hui ho? Ek baar already hurt hone ke bawajoot tum phir ushi raste pe chal rhi ho! Kyun??

Jannat sighs

Jannat : Tumhe pata hai Faisu....... Pichle do-teen saal mein mujhe bahut kuch bola gaya. Kaafi kuch accha kaafi kuch bura. Ek comment mujhe aaj bhi yaad hai "Jannat aur Avneet mein mein utna hi farak hai jitna ki ret (sand) aur patthar (stone) mein. Jannat bahut matlabi hai pathar dil hai. Beech mein aa rhi hai and what not.

Mr. Faisu : Jannat tum topic change kar rhi ho.......

Jannat : Nahi change nhi kar rhi hoon. Aur rahi baat jo tumne kaha uski toh vapas uss raaste pe toh tab jaaungi na jab vo raasta kabhi chordha ho maine.......

Mr. Faisu : Kya matlab?

Jannat : Matlab Siddharth se dosti maine apni taraf se kabhi todi hi nhi toh vapas dosti ka toh sawal hi nhi banta na.

Mr. Faisu : Dosti? Accah chalo ek baar ke liye ki Siddharth se tumhari sirf "dosti" hai. Toh don't you know ki hume uss hi ka dost banna chahiye jo hume priority de?

Jannat : Phir toh tumhe bhi mera dost nhi hona chahiye since you very well know ki meri priority kaun hai😶😶 Phir bhi ho na tum mere dost.  Jab ki tumhe maaloom hai ki meri priority 5 saal se ek hi hai aur aage bhi vohi rahega.

Mr. Faisu was speechless hearing this.

Mr. Faisu : Par Jannat tumhe toh hazaaron log apni priority banane ki liye taraste hai! Jo insaan tumhe priority nhi de rha tum kyun uss hi ke.......

Jannat cut him off : Aur agar mein kahoon ki  hazaron ki "haan" sunne se zyada sukoon mujhe uski "na" sunne mein milta hai toh tum kya kahoge?

Mr. Faisu : Uhh....... Main...... Main..... yeh kahoonga.... kahoonga ki...

Jannat (with tears in her eyes) : Rehne do Faisu. Nahi keh paoge kuch. Aur vaise bhi main toh pathar dil hoon na??

Mr. Faisu  : Arre pagal ho kya Jannat! Koi kuch bhi kahega aur tum vaisi ho jaogi?? Main jaanta hoon tum dil se kitni acchi ho! In fact main kya tumhare sab dost jaante hai.

Jannat : Nhi Faisu main hoon pathar dil! Ban gayi hoon 2018 ke baad. Aur kya hi karti haan?? Abhi yeh sab log Siddharth aur Avneet ke break up pe itna dukhi ho rhe hai! Sochte hai ki break up se zyaada hurting kuch nhi hota! GALAT!!

Main batati hoon kya hota hai sabse zyada hurting! Jab aapke do sabse closest friends achanak aapse door ho jate hai vo bhi bina kisi actual valid reason ke! When your childhood friend chooses someone who he met THROUGH YOU OVER YOU that's what hurts! Jab aapka dost jo aapko raat mein 12:00 baje wish karta ho birthday pe vo aapko bas formality ke liye wish karde before your birthday ends..... Jab aap apne aap ko apne best friend ki priority se bas ek formality bante dekho! THAT'S WHAT HURTS!!

Saying this Jannat started crying.

Mr. Faisu : Jannat.... Jannat ro mat please

Jannat : Jab relationship toot ti hai toh sabko pata chal jata hai. Sab sides choose kar lete hai. Sab aapko console karne ke liye pahuch jaate hai. Par Jab dosti ka break up hota hai toh kisi ko pata tak nhi chalta.

Mr. Faisu : Aur itna sab hone ke baad bhi tum usse pyaar karti ho Jannat??

Jannat : Pyaar......

She smiled

Jannat : Pyaar bolenge ya dosti yeh mujhe nhi pata....... All I want is his happiness. I can bear anything to see my Bawla happy. Yes maybe I do love him. I don't know if I love him as a friend or in what way. But All  I know  is that I love him enough to let him go after Avneet and follow his heart. I loved him enough to agree to be just his "friend" from his best friend just so that he still remains a part of my life!

Mr. Faisu : But if he chose someone else why don't you Jannat?? Tumhe aise nhi dekh sakta main. Birthday ke din ro dhi ho tum.......

Jannat : Kaash kar paati Faisu. Par unn do saalon mein maine itna zaroor jaan liye ki Pyaar vo nhi jo mujhe uska bana de. Pyaar toh vo hai jo mujhe kisi aur ka hone na de
(Love isn't something that makes me his. Rather, love is that which doesn't let me be anyone else's except his)

Mr. Faisu : Woah!😲😲

After a few seconds of silence
Mr. Faisu : Par ab kya karogi tum Jannat?

Jannat : Kya karoongi matlab? Agar vo dono ek doosre ke saath khush hai toh main kaun hoti hoon beech mein aane wali. Na pehle aayi thi beech mein na 
ab aaoongi.

Jannat : Aur Haan hoon main patthar dil

Mr. Faisu : Arre Jannat tum phir.......

Jannat cuts him off : Par meri ek baat yaad rakhna Faisu. Ret pe likhe naam kabhi tikte nahi aur Pattar pe likhe naam kabhi mit te nahi
( Names written on the sand are wiped out very easily but names written on a stone are imprinted forever)

While saying this Jannat looks at Mr. Faisu in the eye and then leaves from there. He is shocked by her words. All the lines she spoke reflected her pain. But above all it reflected her true friendship towards Siddharth.

Ashi couldn't believe her ears! All that she heard right now seemed unreal. But it actually made sense if she retrospected on the reactions of Jannat, Siddharth and Avneet. She was dumbstruck. Jannat's lines left her in awe and surprise.

Complicated Feelings - Dil Dosti EtcWhere stories live. Discover now