Chapter one

2K 41 3
                                    

Bondita POV.

Kehte hain jode asmaan pe bante hain , mein sochti thi shayd sach hi kehte hain , per agar esa hota to hamein alag nahi hona parhta Barrister babu ... Kitna dil karta hai mera ke mein apko pati babu kahun , barristera babu kahun .. per janti hun ke ab koi haq nahi banta mera ..

Koi esa din nahi jata barrister babu jab mein apko yad nahi karti apke bare mei nahi sochti apke liye pratna nahi karti .. mein janti hun ke hamari baat nahi hoti hum ek dusre ko dekh nahi pate per ap hamesha mere dil mei rehte hain .. mere Shikshak babu , mere rakshak babu ..

End of POV.

Bondita apne ansoo pochty hoye bed se uthti hai , bht saal hogaye hain .. jabse wo london ayi hai .. bht samay guzargaya akele esi jagah pe jahan koi apna nahi , jahan bondita ko koi nahi pehchanta , jahan bondita ne kuch esa kam nahi kiya jo samaj ke samne himaqat ho ..

10 saal guzar gaye , delhoisy se siri guni or wahan se london , bht lamba safar tay karliya hai bondita ne .

Ab yeh akhri pedhav hai bondita ke laksh ka usky barrister babu ke laksh ka , bondita ne law ke final exams dediye , or ab bus wait hai results ka ..

Per itne salon ke bad aj bondita yeh sab kun yad karrahi hai. Apna samaj , wahan ke qaide wahan ke tor tariqe wahan ke log sabbyad arahy hain bondita ko , aj tak kabhi usny apny dil ko peeche dekhne nahi diya sird age barhti gayi ,

Aj kuch esi news mili use subah jebwo majboor hogayi yeh sab sochne per ,  bondita ko london se bombay bheja jaraha hai , uski pehle case ko assist karne ke liye , bondita ke ek paralegal ki tarah bht internships ki thi london mei , jiski wajah se kafi impressed hai  usky teachers ussy , or isiliye uske thesis ke liye usy khud unhone ek case assign kiya hai jo bombay ke ek court mei lara jaraha hai , yeh wo pehla case hoga jismei bondita as a barrister assist karegi .. wo janti hai ke yeh manzil nahi hai lekin wo yeh bhi janti hai ke us manzil tak pohunchne ka ek bohut ehem qadam hai yeh ..

Usky tickets uska rehne ka intezam sab usky liye usky college ne kiya hai , is case pe akeli bondita nahi balky uskey do brilliant class fellows Hassan or Seema bhi jarahy hain ...

Hassan ka talluq Hyderabad se hai , jab wo 10 saal ka tha tab usky gharwaly london shift hogaye thy , tabse wo yahin pala bara hai , or seema wo to peda hi london mei hoi per uski roots judi hoi hain maharashtra se ..

In teeno ko isliye chuna gaya kunky yeh teeno bht brilliant students hain , or inka talluq india se hai , yeh us mahol ko behtar samjh sakty hain or usmein rehkar kam karsakty hain ..

Kahin kahin shyd angrezon ki soch yeh bhi ho ke hum aone brilliant students india mei bhejke shyd kuch faida uthasakein ..

Bondita , seema or hassan itny khas dost nahi thy , han competition bht hai teeno mei top three positions ke liye hamesha fight mei rehte hain teeno ..

Bondita apne writing table ke samne bethke sochti rahi , or usne apna pen nikala or apne notepad pe likhne lagi.   Teen char pages ese hi kuch likha or phek diya , phir finally usne ek lambi si saas linor apne dil se likhna shroo kiya .. letter likhny ky bad wo apny cupboard ki taraf gyi or ek box mein se usny woi camera nikala jo barrister babu ny usy diya tha , or usy table pe rakh kar ek tasweer apni banali . Us tasweer ke nikalte hi , uske peeche apna naam , "Bondita" likh kar ,  apne letter ke sath ek envelop mei dalkar maiden ky hathon bhijwadiya post office .  Wo janti h ky jab yh letter usky ghar pohunchega to khushi se jhoom jayengy sab .. isi bat ko sochkar wo muskurati hai or bahar chali jati hai ..

*In TulsiPur*

Aj najane kun anirudh ka dil bht baichain hain , usy apne case ki hearing mei kuch esa sunne ko mile shyd jisse usy bht yad agayi bondita ki or us waqt ki jo usny ir bondita ne sath guzara tha ... 10 saal beet gye lkin aj bhi eda lgta hai ky kal hi ki bat ho jab anirudh bondita ko hostel chor kar aya tha ..

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now