Chapter Four

625 26 1
                                    

Bondita ka focus usi insaan ki taraf tha jisse hansty hansty batein karraha tha hassan , black and white suit mei hath mei breifcase liye , side mei suitcase bhi tha , shayed kisi or sheher se aye thy yeh barrister bhi , kya yehi barrister babu hongy , wo to ye bhi nahi janti thi ,, ke kya wo tayyar bhi thi barrister babu se milne ke liye , usne to hamesha yehi socha tha ke degree hathon mei leke , graduation ki cap pehenke , ek barrister banke milegi apne barrister babu se ..

Lekin kya qismat yehi chahti thi ke wo ese mily anirudh se , kya un dono ka ek sath court mei khara hona likha tha qismat mei ...

Uska dil dhak dhak karraha tha , jese jese wo stairs se neeche qadam barharahi thi usy feel horaha tha ke jese anirudh kahin ass pass hai .. wo 90% sure hogayi thi ke shayd yeh associate anirudh hi hai .. warna uska dil usy itne galat isharey kabhi nahi desakta .. apni barrister babu ki ahat ko bhi pehchanti hai bomdita , to kya hoa jo bht saal guzar gaye , saal guzre hain ehsaas nahi ..

Bohut nervous thi wo , kya barrister babu ko pata hoga ke mein hi hun jo assist karne ai hun unhei UK se , jante hi hongy shayd wo , hosakta hai isiliye ghar mei sab se larh kar aye hain is conference ke liye ...

Ese hi 10 hazaar sawal or unky 50 hazaar jawab usky dinagh mei ghum rahy thy ..

"Finally , here they are " hassan ne seema or Bondita ko dekh kar sukoon ki saas li , shayd akele akele barrister se baat karte hoye wo bhi thak gaya tha , bhaly hi kitna hi confident kun na ho , hai to wo bhi un ki tarah student hi na ...

"Sir , these are the two girls who came with me for the case " hassan ne barrister sahb ko bataya or yeh sunte hi wo turn hone lage , bondita ka dil to jese usky muh mei hi agaya tha , jese ke abhi ek jhonka ayega or uska dil uske mu se hi bahar ajayega ..

Barrister sahb jese hi palty , bondita ke dil ne ek ajib se saans li

"Hello , I'm Barrister Anurag Sinha " Barrister sahb ne apne apko introduce karwaya .. or apne hath jorke namaste kiya unko , anurag ki age kuch lagh bhag 50+ hogi , wo kafi strong body rakhty thy , or glasses bhi lagaty thy , wese to unky baal black the lekin ears ki side se halke halke safaid horahy thy .. unko dekh kar bondita ne socha , ke kese sochliya tuny ke yeh tere barrister babu hongy , esa bhi sanyog hota hai kya zindagi mei .. wo khud mei hi apne apko budhu keh rahi thi .. lekin wo is ehsaas ko nahi khatam kar parahi thi ke anirudh hai ass pass kahin ,

Anurag ke reply mei dono ladkiyo ne bhi same chiz ki .. lekin farq itna tha ke seema ke chehre pe jo muskurahat thi wo bondita ke chehre se ja chuki thi 

Wo bondita ke Barrister babu nahi thy , bondita samjh nahi parahi thi ke yeh jan kar usky man ko shanti mili hai ya ashanti , wo khush hai ya dukhi ..

"This is seema " hassan ne seema ki taraf ishara kiya , seema ne bhi smile pass ki...

"This is Bondita " hassan ne is bar bondita ki taraf ishara kiya .. bondita apne khayalo se or dukh se bahar ai or usny muskura kar hello kaha barrister sahb ko ..

"Sorry , i came late , but my last case had an emergency hearing " anurag babu ne apne late ane ka reason bataya ..

"It's okay sir " un teeno ny ek sath kaha

"We'll get To the case kal se , but now you gotta get ready for the conference that you've to attend today ? " anurag ne smile ki or teeno se kaha ..

"Is it a black tie event ?" Seema ne excited hoky pucha

"Yes , men will be wearing suits , but there really haven't been any women who ever attended , to ap dono , chahein to saree ya dress kuch bhi traditional pehensakti hain , jo bhi ap decide karein meri assistant julia ka number hai , she will get the dresses for you " wo apni assistant ka card dete hain seema ke hath mei dedete hain

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now