Chapter Three

671 27 3
                                    

Info: jis guest house mei bondita thehri hai uska nam st.Ann's Guest House hai.

"pati babu bombay arahi hain?" Yehi soch soch kar hondita andar hi andar jhoom rahi thi .. kese milegi wo anirudh se kya kahegi , kese kahegi , itny salon mei kya kuch badla hoga , kya aj bhi anirudh utna hi pyar karta hoga use ?

Pati ... Pyaar...?

Pyaar ke bare mei kese soch sakti hai wo , ab to unky beech koi rishta nahi raha to kese hoye wi tere pati ..  , usky or anirudh ke beech mei pyaar nahi hai , samman hai , ehsas hai , ek dusre ki parwaah ka ehsas  , ek dusre ka dard mehsoos krne ka ka ehsaas .. ywh pyar beech mei kahan se le ai wo ..

Ek dum se usny apne khayalon ki gari pee break lagaya ,. " Kya hogaya hai tujhy bondita , yeh kya sochrhi hai , na hi wo tere pati hai or na hi koi " wo apni zaban se pyar ka lafz nikal hi nahi parahi thi ..

"Nahi bondita , fucus kar , wo barrister babu hain , shikshak babu hain , rakshak babu hain ... Pati babu nahi wo to ,. Sakha babu hai tere " bondita khud se muskurati hai , or yad karti hai wonpyqre pyare lamhe jo usny anirudh ke sath guzary ,

"Mere sabse ache dost " khud se garv se kehti hai , or isi khayal mei age chalte chalte

Ek dum se ek dhakke ko feel karti hai... Apne hi khayalon mei khoyi hoi bondita takra jati hai corridor mei kisi se. "ahh" wo itni khoyi hoi hoti hai ke aone apko balance hi nahi karpati or neeche girjati hai

"What the " usky muh se achanak hi nikalta hai ke wo ek dumse upar dekhti hai ..

"Tum?" Dono ek sath ek dusre ko dekh ke bolte hain. 

*With Anirudh"

Anirudh station pe utarta hai ,  wo bombay pohunch gaya hai , wo apne black and white suit mei bht hi handsome lgraha hai , anirudh kuch lagh bhag 32 years ka hogaya hai , lkin uska chehra abhi bhi utna hi massoom utna hi saral hai jitna ajse 11 saal pehly tha jab wo laut ki aya tha apny desh , jis laksh ky liye wo apne desh wapis aya , wo us laksh p qadam pe qadam barhaye jaraha tha , uski manzil kya thi shyd wo bhool chuka tha , lkin usja rasta kya hai wo yeh kabhi nhi bhula ..

Ab desh ka badlav  uska fitoor nahi tha uska irada tha ek esa pakka irada jo wo zarur pura karega ...

Station se bahar ja kar wo ek rikshaw pakarleta hai or use guest house ka address btadeta hai .
uska dil or dimagh abhi bhi wahin hai ke kab wo london jayega or bondita se milega 10 saal ke
Bad , kesi dikhti hogi bondita , kese bat karti hogi , abhi bhi muh phulati hogi ya nahi , abhi bhi roshogulle pasand hongy usy ya london mei rehkar creamy delight pasand agya hoga. . .. isi soch mei khoya hoa muskurate hoye wo apny guest house mei pohunch jata hai .. 

"Lijiye babu agya apka St.Ann's guest house" rikshaw wala use apny khayalon se bahar nikalta hai wo muskurata hai lkin usko maloom hi nhi h ky usy kya milny wala hai yahan ...

Wo rikshaw waly ko pese dedeta hai or apna suitcase Leke , andar hall mei chala jata hai ..

*With Bondita"

Bondita uthne ki koshish karti hai lekin uski sandle phisalti hai , samne khara insaan usy hath deta hai "lelo , help lene se choti nahi hojaogi tum " muskurate hoye wo kehta hai

Bondita hath deti hai or khari hojati hai aone kapron per se dhool jharti hai "isi liye kehte hain ke ankhon ko asmaan pe charha ke nahi chalna chahiye " wo hansta hai

"Bus kardo hassan , galti tumhari bhu thi " bondita uske tany bhary lehje se chirjati hai , kya wo asmaan pe dekh ke chalti hai ,kya kehna chahta hai wo

"Meri galti , mei to bechara ,, shareef , masoom , seedhe seedhe araha tha " hasaan ek masoom si shakak banake apne baat kehna shroo karta haj

"Or chalte chalte train ki tarah takkar mardi mujhy " bondita is bar uski bat katkar gusse mei kehti hai

"Jo khayalon ki train tum muskura muskura ke chala rahi thi na apne man mei , shayd usy hi crash karane aya tha mei " yeh kehkar wo ese muskurata hai jese koi jang usny jeetli ho

Or yeh sunke bondita ek dum se chup hi hojati hai , wo yeh sochrhi hoti hai ke kya wo sach mei muskura rahi thi ..

"Jane do mujhy " wo yeh kehkar hassan ko side oe hata deti hai

"Are sunoo bondita , sir Stefan ka phone aya tha " wo yeh kehta hai or bondita foran uski taraf ati hai

"Kyun , kab ,, kya kaha unhone ?" Wo excited hoke puchti hai , kunky usy pata hai ke case ki sari details unky pass hi hai ..

"Apna msg dene ke kiye ,,, adhe ghante pehle ,, or unhone ne yeh kaha ke aj National Law of Ordinance Conference hai , yahin bombay mei , wahan hum invited hain , or humein wahan hamare Barrister Associate leke jayengg jo neeche hall mei hamara wait karrahy hain , to ap or seema please 10 minute mei neeche ajayein " hassan ne apne baat khatam ki

"National Law of Ordinance Conference " bondita ne repeat kiya ,. "wahan to desh ke jane mane barristers hi ate ,. Hum sach mei invited hai ?" Usny phir ek bar hassan se pucha

"Nahi hum deewaron pe se chalangei marke ander jayengy " usny ek jhooti si muskurahat apne chehre pr sajali "obviously invited hai bondita ،  hum UK ki prestigious university se aye hain , thora protocol to milega na " is bar jo proud smile uske face pe ai wo real thi..

"To 10 minute kun , abhi chalty hain " usny kaha or age barhne lagi

"Are , seema ko to le ao " hassan ne yad dilaya usy "oh han mei abhi usko leke ayi " dono ne ek dusre ko dekh ke han kaha or alag alag direction mei chale gaye

"Seema , jaldi chalo neeche hamare associate hamara wait karrahy hain " seema almost tayyar hoi wi thi , jese ke usy pata ho ke usy kahin jana hai .. bondita usy dekh kar chonk gayi "tumhei kisne bataya ke hamei nneeche jana hai ?"

"Neeche? Mei to bahar ghoomne jarahi thi " usklny apne balon ko lehraty hoye kaha ,

Bondita apni eyes roll ki , or phir ussy kaha " neeche chalo someone is waiting for us " usny seema ka hath pakra or dono jaldi se neeche ki tarafa jane lage

"Pata nahi kese hongy hamare associate , khadoos nq hon bus " seema barbarane lagi
"Unka naam bhi nahi pata hamein to "
Bondita ne kaha

"Ary meine unka naam parha tha sir ki file mei ,something like ANNA , ANNU , ANNI kuch esa hi tha "

Yeh sunte hi bondita ke per freeze hogaye ... Kya esa bhi hosakta ?

"Kya hoa bondita ,. Please yar don't waste anymore time , i wanna go out later " is bar seema ne bondita ka hath pakra or use age lejane lagi

Kya esa hosakta hai ke anirudh hi ho bondita ka associate. Kya woi hoga wo barrister jisky case ke liye bondita ko yahan bheja gaya hai , kya qismat itni mazakiya bhi hosakti hai ... 

Bondita ke dimagh mei bus yehi chale jarha tha , usky chehre ka rang urh sa gaya tha ...

Jab wo neeche pohunchi to hassan ek admi ke sath neeche khara tha , jo black and white suit mei ek brifcase hath mei lekar tha , unki peeth bondita ki taraf thi ,. Bondita unka chehra to nahi dekh parahi thi .. isliye uska dil bus zor zor se dhak dhak karraha tha , 10 sàal ke bad kya ese milna likha tha bondita or anirdh ka

Kya anirudh hi hoga wo barrister jise assist karne bombay  ai hai bondita....

---_---------------------------_--------------------------------------------------

Hi guys , I'm sorry ,, yeh writing style thora sa change kardiya meine , ismein aplog ab bht zyada english ke minor words dekhrhy hongy , wo isliye kunky meri hindi thori week hai , kuch words ke hindi translation samjh nahi aty., I hope you dont mind ...

Lekin yeh words sirf out of diaologues yani ke context mei ho help karengy mujhu ..

I hoe you guys still enjoy this ... 

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now