Chapter Two

833 29 4
                                    

Hey guys , I'm so overwhelmed with the response , you guys are so great for voting and commenting , it's making me motivated to write as sooon as i can ,

Keep votong and keep commenting , do share it with more anidita lovers .... everything is appreciated .. 💖

You guys can also share your suggestions and requests , msg me if you have any .. :)
_--------------------------------------------------------------------------------_

Akhir a hi gaya wo din , jab bondita wapis apne desh agayi .. 10 saal ke bad ,. Usny socha tha ke jab wo ayegi to badal gya hoga , per kuch nahi badla tha , na airport ky bahar ka rikshaw or tangy walon ja rash badka , na hi har sadak ky kony p khare hoye ice cream waly chacha ki cycle badli ... Sab kuch wesa ka wesa hi tha , ek alag si khushboo thi is hawa mei , ek alag sa apnapan ..

Koi kitna bhi door rehly ,, apna desh apna hi hota Hai .. usny yehi socha jab apna pehla qadam hindustan ki zameen per rakha ...

"It's exactly how my mom described it " hasaan ny hansty hoye kaha ,

"And what was that ?" Bondita ny usse pucha

"Over crowded " usny muskuraky jaha jispe bondita ky chehre p ek ajibsa gussa araha tha lkin isse pehly ky wo kuch kehpati hasaan ny age kaha "and magical " or ek pyari si hansi usky chehre p agyi ,,

Bondita yeh sun kr muskuradi or ek gehri si saans li , "akhir kar mein ghar agai " usny apny apse kaha or khushi se jhoom gayi ..

Seema apna passport check in karwany peeche hi ruk gayi thi ..

"So , bondita ?" Hasaan ny uski attention apni traf krty hoye kaha

"Hmm" bondita palti ..

"Where did you live ? " Usny pucha bondita se ,

Bondita ke chehre pe ek pyari si smile agayi "Tulsipur "
"Tulsipur? Which city is this ?" Usny pucha .. kunky shayed tulsipur ka nam history mei unhei kabhi parhaya nahi jata .

"It's a village near kolkatta " bondita ny agy kaha "so when are you planning to go there ?"

Bondita ek dum se thori si udas hogayi , najane kun usko laga ke shayd wo tulsipur ja bhi sakti hai ya nahi ? Ab barriater babu usky pati nahi rahy , to kya tulsipur uska ghar hoa bhi ? Kun usny apne gaun ka namm na leke tulsipur ka hi naam liya ..

Uska jawab bhi shayd wo janti thi , ke itny baraa beet gaye lekim aj tak usny roy chaudhry parivaar ko apna parivar samjha , apna samjha hai ... Or chahy koi rishta ho ya na ho , mann se woi log bondita ka parivaar hain..

"Pehley case to jeet jayein " bondita ny apni udaasi ko chupaty hoye muskura kar kaha .. or age jakar seema ki help krni lagi

"Kuch to hai bondita , jo tumhei itna khas banata hai , akhir kya hai tumhari story " hasaan khud se hi kehta hai or muskurakar apni class fellows ko join karleTa hai ..

Hassan ko hamesha se hi bondita mei kuch alag lagta tha , lekin bondita ke zyada apne past ke bare mei apni family ke bare mei batein na karne ke karan kabhi wo usy achy se samjh hi nahi paya , or shayd yehi wajah usy bondita ki taraf khenchti hai ..

*In TulsiPur*

"Kaka mein bondita ke agle patr ane se bhi pehle wapis ajaunga " anirudh kakaji to samjha raha tha jo naraz bethe hoye thy ke anirudh gaun se bahar jaraha hai wo bhi us waqt jab bondita ko lene jane ka un sab ka dil hai ..

"Hum kuch nahi jante anirudh , tum kun jana chahte ho , wo bhi tab jab hamein bondita ke ane ki tayyari karni chahiye " kaka ne hathon ko kamar per rakh kar anirudh ki taraf gusse se dekha

Anirudh hansate hoye bola "ary kaka , apne suna tha na bondita ki internship abhi shroo hoi hai , usy kam se kam 1 mahina lagega khatam hone mei , or mein to kuch hi dino mei wapis ajaunga , yeh conference bus 1 hafte ki hi hai " anirudh ny kaha or khara hogya

"Tab tak ap bondita ky pass jane ki sab tayyariyan kijiye , or bondita ka jese hi koi patr aye mujhy zarur khabar kijiyega "

"Lekim ek hafta matlab ek hafta anirudh " kaka ne dant ke kaha

Anirudh muskuraya "ji kaka "

Usny apna bag uthaya "ab mei chalun " yeh kehte hoye usny kaka ky per choye or kaaka ne bhi usy ashirwad diya , wo ghar ke baqi logon se mila or phir apni gari mei beth kar nikal gaya ..

*In mumbai"

"Hello barristers " seema , bondita or hassan jis guest house mei rehne waly thy uski maiden ne unhei greet kiya ,, wo maiden hindustani thi , or ek hindustani ladki ko english bolta dekh kar bondita bht khush hoi ..

"Hi " sabny usy kawab diya ..

"Ap sab ke rooms mei apko dikhadeti hun " usy age ka raata dikhate hoye kaha , guest house ek ghar jesa hi tha .. neeche ground floor per kitchen , hall, garden
Or ek choti si library bhi thi .. or upar ky florr p bht sare kamre , bahar se jo jagah itni choti si lgrahi thi wo kitni bari nikli . .

Maiden ek 25 saal ki ladki thi , wo bombay ki un kuch girls mei se thi jo parhi likhi thi ..

Usny sabko apna room dikagay or teeno apny apny qamreh mei jake rest krne lagy .. kamrey mei ek telephone bhi tha , jise dekh kar bondita khil uthi , or usny foran apne ghar mei phone miladiya ..

"Halooo" phone ke us taraf bihari ne phone uthaliya tha

"Bhari babu " bondita ne hansty hoye unka nam liya

Bihari bhi sunte hi samjh gaya ke phone pe kon hai "choti malkin , app , kesi hain appp" bihari ne khushi se pucha ussy

Bihari ke muh se choti malkin sunna , usy khushi bhi deta tha or dard bhi .. "mein bilkul thik ap kese hain bhari babu ? Kahan hai sab gharwaly " bondita be apne khayalat ko side pe rakha or pucha

"Mein abhi bulata hun" yeh kehkr bihari ne sab ko awazein nikalna shroo kardi. ..

"Ary kya hogaya hai bihari , hamei dil ka dohra padwaogy tum " kaka bhagte hoye aye

"Choti malkin ka phone hai" bihari ne phone dikhate hoye kaha

"Ary baudi ka " batuk bhagta hoa aya "pehle mei bat karunga " or usny bihari ke age se phone lete hoye bethgaa

"Helloo baudiiii " usny muskurate hoye kah "kesi hain ?"

Bindita hansti rahi "han batuk m thik hun ، kaka ji , som dada, baba sabb kese hain batai na batuk tum kese ho .. "

" Oho baudi , yahn sab thik hain , jabse apki convocation ki khabar mili hai , sabb bht zyada khush hain or hum sabb se to intezar nahi horha ..

"Mera patr milgaya aplogon ko , barrister babu ne kya kaha ?

"Han dada to bht excited ha london ane ke liye . " Batuk ne khushi se kaha

"Thankyou batuk , "

"Wese wo hain kaha ? Awaz nahi arahi isliye puch rahi hun ..
",Ary humko do batuk " kaka ne phone usky hath se leliya

"Kesi go bondita ?" Kaka ji ne pyaar se pucha , kaka ki awaz sunke to shyd bondita ki ankhon mei pani agaya .

"Bht achi kakaji , ap kes hain , barrister babu se zyada lar to nahi rahy " yeh kehke bondita khilkhilake hasi.

"Ary tumhare barrister babu ke kam hi ese hain .. dekho na hum usy kehrhy thy ke ghar mei rahy jab tak tum nahi ajati lkin, dekho nikal para kisi safar per ek hafte kw liye..

"Wo kahan gaye hain kakaji.

"Bombay gaya hai pagal " bindita yeh sun kar heran hpgaye or phir hansne lagi ."ap fikr nahi kijiyega kakaji , hum sab jald hi sath hongy !

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now