Chapter Nine

629 20 1
                                    

Anirudh or bindita dono ek dusre se door hoye , or ek ajib si awkwardness agayi dino ke beech mei...

"Thankyou"
"Sorry"
Bondita or anirudh ne sath mei kaha .. or phir ek dusrr ko dekha , bondita ky liye to yeh do pal ka sath bhi bht ehem tha , usky liye yh chaar lamhe ese thy jese saal .. salon usny intezar kiya tha is pal ka ..

Anirudh ky dil mei bhi jo bechaini thi bondita ko dekh kar wo usy samajh nahi parha tha , aj tak kabhi bhi kisi ladki ke sath esa mehsoos nahi kiya tha usne , suadimini ke sath bhi nahi .. ese jese uski dil ki dhadkan extra dhadakne lagi ho ..

"Ap yahan , i mean , are you here for your internship miss das " anirudh ne pucha  , khamoshi se bahar ane ke liye ..

Bondita muskurayi "aditi kehsakty hain ap mujhy " uski smile ko dekh kar , anirudh jese pighal raha ho , itni masoom itni pyaari.  

Anirudh ne apne khayalo se apne ap ko nikala , or uski taraf muskura kar han kaha.  

"Mujhy hindi ati hai wese , " bondita ne apni halki si hansi ko rok kar kaha "ji , internship ke liye hi aye hain , Barrister Anurag , ke sath " bondita ne btaya

"Ohh , i think aplog , deenpur ki zameen ke case ke liye aye hain ?" Anirudh ne yad karte hoye kaha ..

"Deenpur ka hi case hai , lekin details abhi hamein forward nahi ki gayi .. " bondita ne btaya

"Miss. Das -" usny apni baat shroo ki per ruk gaya , or muskuraya "i mean , Aditi , ap student hai london ki , appointed by the british government for a case against people of this country ... apne case ko ache se study kijiyega " anirudh ne yeh kaha or age chalne laga , bondita wahin khari rehgayi , kya matlab tha anirudh ka . 

"Rukiye " bondita ne awaz lagayi , per anirudh ne suna nahi , or wo chalta gaya

"Rukiye barrister babu " bondita ne zor se pukara ..

Or jese anirudh ke qadam theher gaye apni jagah pe , najane kun , usy acha nahi laga

* " Lekin aona pan to berristera babu kehne mei hi ata hai " *

Bondita ke yeh shabd usky kano mei gunj gye , najane kun , usny esa mehsus kiya jesa us din kiya tha , jab bondita ke pass kehne ke liye anirudh ke liye koi naam nahi tha . 

Bondita bhagti hoi anirudh ke pass ayi "ap kehna kya chahte hain ,mei galat ki taraf se ladh rhi hun ?" Bondita ne anirudh ke samne khare hokar yeh sawal kiya

Anirudh ne apne khayalo ko side pr rakha , "nahi aditi , mei is case ke bare mei bohut kam janta hun , isliye yeh nahi kehsakta ke kon sa paksh sahi hai or konsa galat , isliye bus yeh kehrha hun , ke apne case ko ache se study karna " anirudh ne apni baat bondita ko samjhayi ..

Thik wese hi jese bachpan mei har sawal ka jawab dediya karta tha anirudh usy ,, har baat ese samjha deta tha jo bondita kabhi nahi bhoolti . 

"I will " bondita ne kaha , ab bondita ke dil mei is case ko lekar bht se sawal khare horahy thy , wo jald se jald is case ki details janna chahti thi .. ..

"Mujhy chalna chahiye , meri hearing hai , kuch hi ghanton mei " anirudh ne apni watch mei time dekhte hoye kaha

"All the best " bondita ne thumbs up karte hoye usy kaha

"Ap to janti bhi nahi ke kya karne jarha hun mei ، phir bhi wish karengi mujhy?" Anirudh ne hanske pucha

"Ap jo bhi karne jarahy hain. Mera dil kehta hai ke wo ek dum sahi hai , isliye All the Best , " bondita ne kaha ..

Uski ankhon mei jo wishwas or sachai thi , anirudh usko dekh kar heran rehgaya.   "Thankyou " usny kaha or muskura kar wahan se chala gaya .. ..

Anirudh apne kamre tak gaya , or apne kamo mei khud ko busy kardiya , lekin phir bhi aditi ka khayal usky dil or dimagh se nahi jarha tha , usky dil se wo ehsas nahi jarha tha jo anirudh ko aditi ke sath rehkar feel hoa ..

Usy aditi se mily hoye abhi ek ghanta tak nahi hoa tha , lekin phir bhi dubara milna chahta tha wo usse , or batein karna chahta tha , uski khilkhilati hoi hansi ko sunna chahta tha , uski sachi ankho mein apny kiye bharosa dekhna chahta tha ..

Lekin yeh kya sochrha tha anirudh , yeh galat hai , wo ek student hai , kam se kam 10 saal choti hai wo ussy   , kun ese ehsaas usky dil mei arahy hain ..

Anirudh bus ek hi chiz repeat karrha tha ke , yeh galat hai , or us ladki ke bare mei sochna band karde.....


You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jul 12, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Barrister Babu Bondita 💖Where stories live. Discover now