Chapter 13

1.1K 132 7
                                    

New year for college...
Har college ki hi trah punjab ke almost sabhi colleges mein president ke elections start ho gye the... I mean volunteers, promotions and all.
In "CU" Aly stand up for the president of the college this year!!
Arijit ne usko rokne ka boht try kiya.. par Aly kisi ki nahi sunta!!!
Uske against 3 aur ladke rhe, jo president ke liye khade huye the..
Arijit boht gusse tha "Aly!! Yaar tum kyu yeh faaltu ki cheezein karte ho?? Kya mil jayega iss sab se??"

Aly - main tumahari chinta samjhta hoon, par you know me!!! Mujhe yeh sab acha lagta hai!!

Rahul - arre ladne de na elections!! Mazza aayega!! Agar yeh jeet gya toh hamari chandi ho jayegi!!! Soch ke dekh

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Rahul - arre ladne de na elections!! Mazza aayega!! Agar yeh jeet gya toh hamari chandi ho jayegi!!! Soch ke dekh...

Arijit - kya karega?? Yeh sab distractions hain!! Badi mushkil se toh isse vo badmaashi se nikala tha, ab phir se wahi sab???

Aly - dekh brother!!! Uss waqt maine kuch nahi bola tha!! But ab agar tum beech mein aaye toh!!! Acha nahi hoga!!!

Arijit  - why are you doing this?? Ek toh engineering le rakhi hai... ooper se yeh elections??

Aly - I love power. That's the end of fight!!!
Yeh keh kar vo Dean ke office mein chala jata hai...

Rahul in confusion  - tum isse har cheez se rokte kyu ho??

Arijit - tujhe dikhayi nahi deta?? He's !!!!

Arijit - tujhe dikhayi nahi deta?? He's !!!!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Khair jaane do....
Tujhe uska sath dena hai, toh de... main toh chala!!!
Yeh keh kar Arijit bhi chala jata hai....

Wahin doosri or Jasmin ke college (CGC) mein bhi elections ka kaam start ho gya tha.. par Jasmin ko iss sab se koi lena-dena nahi tha!! Uska kaam sirf padhna tha!!!
Iss saal 2 ladke presidency ke liye khade huye the!!! Jin mein se ek ladka Vansh tha!!!
Jasmin was not much happy about this!! Usse bad boys shyed zyada pasand nahi the!!!

 par Jasmin ko iss sab se koi lena-dena nahi tha!! Uska kaam sirf padhna tha!!!Iss saal 2 ladke presidency ke liye khade huye the!!! Jin mein se ek ladka Vansh tha!!!Jasmin was not much happy about this!! Usse bad boys shyed zyada pasand nahi the!!!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Uss din ke baad Aly, Jasmin se nahi mila tha.. usse kyi baar craving hoti thi.. par vo nahi mila!!!
Jasmin ke toh vo mind se bhi nikal gya tha ke koi ladka uska peecha bhi kar raha tha!!!
It's been 1 month

Jasmin kuch kapde lene ke liye aaj mall chali jati hai..
And guess what?? Aly aur Rahul bhi aaj mall aaye the... movie dekhne ke liye!!!

Maybe this is how nature works...

Ek hi shehar mein rehte huye, vo pehle bhi hazaron baar takraaye honge, par kabhi ek-doosre ko notice nahi kar paye!!! Until the right time.

Khud ke kiye ek-do t-shirts lene ke baad Jasmin seedha mall ke bahar bane cafe mein aa jati hai.. she loves coffee!!
Ussi cafe mein Aly aur Rahul pehle se hi baithe the!!!
Jaise hi vo cafe mein enter karti hai, Aly ki pehli nazar ussi par jati hai.. vo usko dekh kar thoda nahi, kafi hairaan tha!!! Vo uske chalne ka dhang note karta hai, jo ab almost sahi tha!!!
Aaj Jasmin ne green t-shirt pehli huyi thi, jis par yellow color ki smiley thi!!!
Usne normal braid ki huyi thi, aaj bhi pairon mein wahi same same shoe the!!! Aur hamesha ki trah chehre par ek tension thi, ek khoyapan sa!!!
Vo itni door baithe huye bhi usko itne kareeb se dekh paa raha tha!!! Aly ka mann kar raha tha ke vo uske paas jaye... par no!!
He had made a promise to himself, not going after Jasmin ever again!! No matter what!!!
Jasmin usse thodi hi doori par baithi thi, vo apna order de chuki thi!!
Aly ki nazar barabar uss par thi... usne aaj tak kisi bhi ladki ko aise akele nahi dekha tha!! Uske aas-paas jitni bhi ladkiyan baithi thi, ya jitno ko vo dekh paa raha tha.. har ek ladki ke sath ek company thi, except Jasmin!!

Why??? Asked Aly to himself!!

Rahul jo lays khaa raha tha, Aly ko sunta hai 'kya huya??'

Aly ka dheyaan suddenly Rahul par aa jata hai "kuch nahi"

Rahul - are you okay??

Aly - absolutely
Aur phir se vo Jasmin ko dekhne lag jata hai, vo usse sab se alg lagti thi..

Aly to Rahul - tumne kabhi kisi ladki ko cafe mein ya mall mein akele dekha hai??

Rahul haste huye - never... ladkiyan toh bathroom jaane ke liye bhi sath ek ladki lekar jati hain!!! I remember my school time!! Even apne college mein bhi toh aisa hai!!

Aly - agar koi ladki sach mein akele aaye??

Rahul - pehli baat yeh kabhi ho hi nahi sakta..
Doosri baat... aisa nahi ho sakta!!

Aly - phir bhi maan lo!!!

Rahul sochte huye - phir toh vo ladki Super Girl hogi!!!

Aly iss par koi jawaab nahi deta... vo mann mein hi sochta hai (han... the most strong minded girl!!!   Par jo ladkon ko apne hisaab judge kare!!!)

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now