Chapter 102

594 147 16
                                    

Aly bina ek pal gawaye wapis apne apartment mein aa jata hai.. vo ab aur baat aage nahi badhana chahta tha...
Baar-baar Jasmin ko yaad nahi dilana chahta tha, ke vo uska boyfriend hai.... give some attention and all!!!
Arijit usko itni jaldi aate dekh thoda soch mein pad jata hai "itni jaldi??"

Aly - han... cheezein sahi nahi hain Arijit..

Rahul jo paas baitha, icecream khaa raha tha, box ko side pe rakh ke bolta hai "kyu??"

Aly - yeh Jasmin ke friends ache nahi hain, kuch toh gadbad hai..

Arijit - trying to apart both of you??

Aly - hmmm

Rahul - kiske liye???

Aly - vo Vansh ke liye!!! Wahi toh Main hai...

Rahul - mujhe toh vo Debu lagta hai!!!

Arijit - point... Vansh hi hai!!! Wahi Jasmin se pyar karta hai...
Par yaar maine usko boht closely dekha hai.. uska ab mujhe Jasmin mein interest nahi lagta!!!

Rahul - mtlb???

Arijit - vo usne club mein bhi Jasmin ko kuch khas attention ni di.. maine 1-2 baar baat bhi ki... nothing!!!
Woh nahi lagta!!

Aly - Yuvraj toh ho hi nahi sakta, He's Gay!!!

Rahul ka mooh khul jata hai automatically "WTF???"

Arijit haste huye "han, iska mtlb vo Jasmin ka dost hai... vo aisa nahi ho sakta!!!"

Aly - no... I'm serious... He is a Gay!!!

Rahul - lagta toh nahi!!!

Aly - gaur se dekhna!!! Aaj maine notice kiya!!! Maine sarcastically kuch point bola.. toh Jasmin bhadak gyi.. mtlb usse pta hai.. aur tabhi vo usko le gyi!! I mean vo le gya!!!

Arijit - main ni maan sakta!!! Club mein toh bda thumak kar naach raha tha.. manly!!!

Aly - han.. with boys... mtlb tum log!!!

Rahul - hey bhagwaan.......

Aly - anyway.. vo dikkat nhi hai... toh ab bacha Debu...
Uska kya scene hai... kahan se aaya hai.. kuch ni pta!!

Arijit - toh ab kya hum CID karein???

Aly - exactly... do it...

Rahul khush hote huye "wow... mazza aa jayega.. main Abhijit ka role play karoonga!!"

Aly - oe.....

Arijit - yeh kuch bhi sochta hai yaar!!!
Tu yeh sab chod, Jasmin se baat kar na!!

Aly - vo nahi sunegi.. I know!! Filhal woh dosti ke nashe mein choor hai!!

Yeh sunte hi Rahul ki hasi nikal jati hai "yeh sahi hai!!"

Aly - anyway... un teeno mein se jo bhi hai, doesn't matter...
Bas itna btao ke kya kiya jaye?? Jasmin mujhe pyar karti hai yeh confirm hai!!!
Par vo usko manipulate kar sakte hain!!!
Any solution, ke main bura bhi na banoon, aur woh mujhse door bhi na ho!!!

Arijit - let everything happen!!!

Aly - mtlb??

Arijit - chup-chap dekh bas.. ke ab aage vo kya karte hain?? Tum dono ka break up karwane ke liye...

Aly - jab break up ho gya toh??

Arijit - toh.... Jasmin tumse sa mein pyar karti hai toh vo break up karegi hi nahi!!

Rahul - wahhhh what a plan!!!

Arijit - exactly... kuch karna hi kya hai.. be honest, be normal!!!
That's it... bas tu kuch aur mat karna!!!

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now