chapter 75

769 158 25
                                    

Aly - Alia.... tum yahan kya kar rahi ho?? Sona nahi kya??

Alia - hum toh sone chale the.. par aapki ammi jaan ne bheja hai...
Vo aapko bula rahi hain!!!

Aly - mujhe??

Alia - han keh rahi thi, boht laazmi kaam hai!!!

Aly tabhi neeche chala jata hai...
Alia bhi jane hi lagti hai par Arijit usse rok leta hai...
"Tum kaunsa course kar rahi ho??"

Alia - maine apni padhayi 2 saal pehle chod di!!!

Rahul - kyu??

Alia - hamare yahan.. bas 12 tak padhaya jata hai...

Arijit - uske baad??

Alia - Nikaah!!!
Hamein sab kaam aate hain...

Rahul - tumhe kuch banna nahi tha kya??

Alia - banna hai na!!!
Ek aadarsh begam!!!

Rahul haste huye "saravgun sappan!!!"

Arijit - tumahara nikaah kab hoga???

Alia - khuda jaane!!!

Rahul - hamein invite karogi na??

Alia - aap ko toh aana hi hoga!!! Aly invite karenge na!!!

Arijit - vo kyu??

Alia - un hi se toh hamara nikaah hoga... jab hoga... tab vo aap logon ko bula lenge!!!

Rahul aur Arijit ek-doosre ko aise dekhte hain, jaise dinosaur dekh liya ho!!!
"Kya?????" Both asked in shock."

Alia - ji..... Aly aur hamara nikaah!!!

Arijit - tum toh uski behan ho!!!!

Alia - yeh kya bol rahe hain aap??
Hamare yahan aisa nahi hota....
Vo aapke kaayde hain!!!

Rahul - par tumhe Aly se shaadi kyu karni hai???

Alia - kyon ke vo hamein pasand bhi hain, aur hamare abbu bhi yahi chahte hain!!!

Arijit - tumhe yeh baat kisne batayi?

Alia - abhi neeche wahi toh baat chal rahi thi.. humne apne kaano se suna!!

Rahul - Aly.... ko toh shehri ladkiyan pasand hain...

Alia - toh??? Ismein kya???
Aap dono boht dillagi karte hain!!!
Ab hum chale.....
Aur vo chali jaati hai.....

Rahul chidte huye "mama ki ladki se shaadi..
Ewwwwwwww....
Vo toh behan hoti hai!!!!"

Arijit - han... Idhar yahi rule hota hai.

Rahul - han shyed...

Aur tabhi Aly aa jata hai, uska chehra utra huya tha!!!
Rahul - Mubarak ho janab.... Mama ki beti se shaadi ho rahi hai..

Arijit - laddu toh khila!!!!

Aly - abbe yaar....... kya karoon main???
Mar jaaoon????

Arijit - marna kyu hai?? Itni sundar toh ladki hai...

Rahul - ooper se family se hi hai, kya dikkat hai.

Aly - han par... I don't love her.

Arijit - toh kya faisla liya??

Aly - maine mana kar diya...
Aur Alia ab ro rahi hai....
Uske abbu, mere Abbu ko suna rahe hain!!!
Ammi ne vada kar diya.. ke vo mujhe mana lengi....
Sab ult gya!!!!

Rahul - fantastic.....
Aur vo teeno ek baar phir se lait jaate hain, aur aasmaan ko dekhte hain!
Aly kafi preshaan tha!!

Aur vo teeno ek baar phir se lait jaate hain, aur aasmaan ko dekhte hain!Aly kafi preshaan tha!!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Rahul - mujhe toh sab ajeeb lag raha hai, par Aly tum chinta mat karo.. jo bhi huya ache ke liye huya...

Arijit - han....

Rahul (baat ko taalte huye)- Acha ek sawaal ka jawaab do

Arijit - han bol

Rahul - Aly...
Yeh dillagi kya hota hai.? Tumahare yahan..

Aly - mazzak karna!!

Arijit - yeh toh sabko maaloom hai...

Rahul - mujhe nahi pta tha!!!
Vo Alia bol ke gyi na... ke...

Arijit (sone ki koshish kar raha tha)- shut up!!!!

Rahul (chidate huye) - okay... good night...

Aly and Arijit - Good night!!!

Subah hote hi vo teeno ready hone mein lag jaate hain...
Aaj koi bhi Aly se dhang se baat nahi kar raha tha.. sab naraz the...
Par Aly ko koi farak nahi pad raha tha!!!
Uske mind sirf Jasmin thi....

10 bjje tak Jasmin bus stand par aa jati hai.. aur himachal jaane wali bus ka wait karne lag jati hai....

Aly, Arijit aur Rahul bhi... nikal padte hain!!!
Back to chandigarh

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now