Chapter 82

727 171 14
                                    

Jasmin ko dil se bura lag raha tha!!!
Ke yeh kya ho gya!!!
Abhi, Jasmin ko daant pad hi rahi thi, ke tabhi unke ghar Yuvraj aur Vansh aa jate hain!!!!

Aur sab log unko dekh kar chup ho jate hain..

Jasmin ke papa - arre Yuvraj puttar???
Tu??
Enni raat nu ethe!!!

Yuvraj aage badhkar unke pair choohta hai.. aur Vansh bhi!!!
Aur Jasmin ke papa, Jasmin ko dekhte hain.. "kitne bhi vadde shehar mein chale jao.. sanskar toh aakhir sanskar hote hain!!!"

Jasmin ko yaad aata hai ke Aly ne toh namastey kiya tha😂

Papa - te eh munda kaun hai???

Yuvraj - uncle ek Jasmin de naal padh-da!! Ehnu koi notes chahide c...
Tan main ehnu ethe lai aaya!!

Papa - acha???
Kinna da munda ??

Vansh - uncle main Balawinder sarpanch da beta!!!

Papa - oeee balle oe puttra!!!
Kamaal karti...
Mnu ajj pta laggya tu Jasmin naal padh-da!!
Aao... baitho..

Jasmin,ki maa - ki naam dssya puttar tu??

Vansh - vansh!!!!

Yuvraj - poora naam Vanshpreet Singh Grewal!!!!

Aur sab ke chehron par smile aa jati hai..
Par Jasmin mann mein yeh soch rahi thi ke yeh yahan kyu aaya hai??
Isse toh break up kar liya tha!!

Thodi der baad bahaane se Vansh aur Jasmin paas wale kamre mein jate hain..
Aur vansh andar aate hi Jasmin ko zor se gale lagata hai.. "ohhh God... I missed you so much!!!
I know tum mujhse gusse ho .
Iss liye mere calls, texts ka reply nahi kiya na!!!
I am really really sorry!!!
Par yaar chandigarh mein kaam pad gya tha!!! Iss liye 9 din late ho gya!!!
Sach mein sorry!!!"

Jasmin usko gusse se apne se door karti hai "tum yeh kya kar rahe ho??"

Vansh - maafi maang raha hoon!!

Jasmin - kyu??

Vansh - because you are angry!!!

Jasmin - main kyu gussa karoongi??

Vansh - kyon main 9 din late ho gya!!!

Jasmin - par hum dono ka toh break up ho gya na!!!

Vansh hairaani se "kab???"

Jasmin - jis din main yahan aayi thi!!!

Vansh - kab?? 19 din pehle????
Mujhe toh aisa kuch yaad nahi!!!

Jasmin - tum bus stand par aaye the.. 2 ghante ki lambi ladayi ke baad hum alg ho gye the!!!

Vansh haste huye "tum mazzak kar rahi ho na???"

Jasmin - nahi!!!!

Vansh - toh kya tym pagal ho gyi ho???
Main bus stand par nahi aaya!! In fact uss din toh hum mile hi nahi!!!
Bas phone pe thodi si baat huyi thi!!!
Bhool gyi kya???

Jasmin usko gaur se dekh rahi thi..

Vansh - aur break up???
Vo kyu karogi tum??

Jasmin - Because I don't love you!!!

Vansh hairaani se usko dekhta hai "tum mazzak kar rahi ho na??? Kyon ke I hate this joke!!!"

Jasmin - am serious!!!

Vansh - kya huya???

Jasmin - kuch nahi, bas I don't love you!!
Agar uss din break up nahi huya, toh aaj kar leti hoon!!!
Am sorry...
But I don't!!!

Vansh usko chup-chap dekh raha tha ke yeh kya ho gya?? Aur teh kyu??
Vo toh usse surprise dene aaya tha...
Aur yahan aakar khud ko surprise mil gya!!!

Vansh - toh uss din haan kyu ki???

Jasmin - bola toh tha, dimaag kharaab hai mera!!!

Vansh ko ab gussa aa jata hai "tum samjhti kya ho khud ko??? Jab mann karta hai dil tod deti ho... jab mann karta hai haan kar deti ho???
Chal kya raha hai??
Main joker lagta hoon tumhe??
Why me??
Meri feelings ka kyu jaloos nikaal rahi ho??
Why are playing with my fucking FEELINGS???.
Why????
Kya bigaada hai maine tumahara???
Why????
Jawaab do!!!!

Jasmin usko gusse mein dekh kar darr jati hai... uski zubaan se kuch nikal hi nahi raha tha!!!

Vansh - answer me Jasmin!!!

Jasmin - vo.... vo.... a..... I..... like..... a.... Al .... Aly!!!

Vansh - ohhhhhhhhhhhh
Now I get it!!!!
Tumne acha nahi kiya Jasmin..
You hurt me more than once!!!!
And I hate.. when somebody play aur use my FEELINGS..
Am sorry...
Agar tum Aly ki jagah kisi aur ka naam leti toh shyed main soch leta ...
But ab nahi..
That bastard Aly!!!!
Yahan bhi.... vo bhi doosri baar!!!
I cannot bear this insult!!!
I am not your puopet Jasmin!!!
Ab tum dekhna main kya karta hoon!!!

Vansh wahan se jane hi lagta hai ke vo palat kar Jasmin ko dekhta hai "meri taraf se abhi break up nahi huya hai..."
And he leave!!!

Jasmin apne maathe par hath rakhti hai aur yaad karne ki koshish karti hai ke usse yaad kyu nahi aa raha??
Aur tabhi uski ring vibration start karti hai.. aur iss jhatke se Jasmin ka mind clear ho jata hai...
Uss din Vansh toh aaya hi nahi!!!
Vo break up vgera sab usne hallucinate kiya tha!!!
Aur ab Jasmin ko boht zyada guilty feel ho raha tha ke yeh usne kya kar diya???
Yeh toh boht badi mistake ho gyi!!!
Ab Vansh kya karega???,
Jasmin ki aankhon se aansu chalkane lag jate hain!!!

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now