Chapter 25

1.1K 159 18
                                    

Aaj Sunday tha.. toh koi bhi jaldi nahi uth-ta.. teeno araam se so rahe the..

Doosri or Jasmin uth gyi thi, vo ready hokar shehar ki library mein chali jati hai.. she's kinda stick to study type!!
Jasmin apne most of Sunday's aise hi spend karti thi, koi ek novel padh ke!!

Aise hi kab dopehar ho jati hai usse pta hi nahi chalta!! Aaj vo padh rahi hai
"pride and prejudice" novel

Tabhi library mein Aly enter karta hai, Jasmin ki randomly uss par nazar jati hai.. vo aankhein badi karke dekhti hai.. ke kya vo sach mein yahin hai, ya phir sapna?
Aly idhar-udhar dekh hi raha tha ke uski nazrien Jasmin par aakar ruk jati hain, jo ussi ko ghoor ke dekh rahi thi..
Aly haste huye uski or badhta hai..
Jasmin bhi apni seat se khadi ho jati hai
Aly - what a pleasure surprise? Tum yahan bhi? Mtlb Arijit galat nahi tha!

Jasmin - I can't believe! Yeh sach mein ho raha hai!!!

Aly - what?

Jasmin - itni baar coincidence kaise?

Aly - maybe we are each-other's destiny! Issi liye baar-baar takraa jate hain!!

Jasmin fake smile karti hai - main yahan almost 3 saal se hoon, toh yeh destiny abhi kyu jaagi? Achanak se?

Aly - mujhe kya pta??

Jasmin haste huye - toh pta karo

Aly haste huye - shyed yeh sahi samay hai.. hamare milne ka!!

Jasmin - sachi batao, follow kar rahe ho??

Aly apne maathe par hath rakhta hai 'tumse na ho payega!!'
Yeh keh kar vo wahan se alg rack ki or badh jata hai... Jasmin confusion mein usko dekh rahi thi...
Aise hi kuch der dekhne ke baad vo Aly ke paas jaati hai "am sorry..."

Aly - it's alright, miss insecure!!!

Jasmin - oh.. yeh mat kaho..

Aly - toh aur kya kahoon??

Jasmin - anyway... tum yahan kaise??

Aly - well main tab yahan aata hoon, jab mujhe book se related sahi jawaab nahi milte!!
Vo usko ek book dikhata hai, jo uske subject se related thi...

Jasmin - oh...phir toh mujhe sach mein maaf kardo yr...

Aly - kar diya!! Ab tum batao.. yahan kaise??

Jasmin - har Sunday aati hoon... vo usko novel dikhaati hai...

Aly - good... padho....
Yeh keh kar vo apni book mein busy ho jata hai.. Jasmin kuch der usko dekhti hai phir apni seat par chali jati hai...
Usse boht bura lag raha tha, ke vo itna galat kyu sochti hai?? Itna zyada bura bartaaw!!!
Ab Aly uske saamne tha... Jasmin ek line padhti thi, toh 2 baar Aly ki or dekhti thi... jisne ek baar bhi usko nahi dekha tha!!!
Jasmin ka dheyaan naa chahte huye, bhi ussi par atka huya tha!!!
Jasmin - kal park mein kyu nahi aaye??

Aly yeh sunte hi ek mysterious si smile karta hai, aur bina usko dekhe jawaab deta hai 'tum intezaar kar rahi thi??'

Jasmin - nahi.. aise hi poocha!!

Aly - well, main regular toh nahi hoon, jo roz aaoonga...

Jasmin - kya huya? Gusse ho kya??

Aly - nahi toh!!!

Jasmin - today, you are different!!!

Aly usko finally dekhta hai, Jasmin hamesha ki trah aaj bhi simple and beautiful lag rahi thi... "different mtlb??"

Jasmin - tum aaj se pehle tak.. kuch zyada hi available the... par aaj nahi ho!!!

Aly - available kis way mein???

Jasmin - baaton mein, jawaab dene mein,  sawaal poochne mein!!!

Aly - kyon ke aaj mere paas na koi sawaal hai, na koi jawaab hai... aur naa hi koi baat hai!!!
But ek sawaal zaroor poochoonga.... why do you care??

Jasmin usko dekhti hai aur apni nazar kitaab mein laati hai "why do I care?? Just asking!!!"

Aly - han, hum sawaal tabhi karte hain, jab hamein kuch lena-dena hota hai!!

Aly - han, hum sawaal tabhi karte hain, jab hamein kuch lena-dena hota hai!!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jasmin - okay... mujhe tumahari iss side ki aadat nahi hai, iss lyi ajeeb laga, toh pooch liya

Aly haste huye - ohhh... toh tumhe meri kis side ki aadat hai??

Jasmin usko dekhti hai aur hasti hai - han, ab aaye na apni line par!! Flirt!!!!
Aly - kya dikkat hai?? Baat karta hoon, toh preshaani hai... nahi karta toh...

Jasmin - nahi, aisa kuch khaas nahi... bas don't be rude aur quiet... specially in front me!! That's all.

Aly usko dekh kar smile karta hai... "tum bhi koshish kiya karo"

Feelings (Jasly)Where stories live. Discover now