PART#10

1.1K 120 12
                                    

Sum: aapi baji nay faisala Kar liya hai , hum Barat wapis lay k ja rhy hain.

Ammi: Allah ka wasta hai tumhain aaisa mat kaho humari bachi ki zindagi barbad ho jaey gi, hum zamanay ko kiyà mun dekhain gay.

Ma: woh humara masla nahi hai, him aaisi larki ko kabhi apni bahu nahi bana saktay jus ka character itnay kharab ho.

Ammi: ap aaisa na kahen.

Ma: bhalay Kaun larki apni shadi k din ghar say bhagti hai, woh bhi kisi larkay k Sath.

KS: ap yeh kaisi batein Kar rhi hain humari MS ka character kharab... Pagal ho gaen hai kiyà ap sab kuch bhi bolay ja rhi hain humaray anu bhaiya aa rhy hain na MS ko lay k thori dyar mei aaty hi hun gay.

Ma: Anu bhaiya unhain kaisay pata k haseena kahan hai

Sum: baji kaisay pata nahi hoga Kal mehindi mei dekha nahi tha kaisay hand hans k dono batein Kar rhy thy, or kyun na karen adha bachpan toh dono nay Sath guzara hai, pyar the h hoga hi na.

Maa: aaisa kuch nahi hai in dono k beech.

Ma: toh ap hi bataein dono phir Sath mei kiyà kar rhy thy.

KS: dekhain ap log apni hadain par Kar rhy hain Anu bhaiya sirf unhain dhondnay gay thy bus, ek senior honay k natay unhain MS ki fikar hai bus...

Sum: humain toh tum yeh samjha dogi par baqaiyun ko Kaun samjhay ga.

Ma: bus faisala ho gaya hum Zaid ko sab batanay ja rhy hain.

______________________

Zaid: Ammi pehlay in ki batein toh sun lyn ap panic kyun kar rhi hai, shaid yeh log jo keh rhy ho wohi sach ho.

Ma: Zaid chalo yahan say humain nahi karni shadi yahen, yeh India hai or tumhain is jaisi ek nahi hazaron mil Jaen gi.

AS: dekhain jald bazi mei koi faisala na lyn, ap Shanti say baith k baat karen.

Ma: Shanti say baat karen tum is waqt humari honay wali bahu k Sath aa rhy ho or hum shant rahen.

AS: dekhain MS mallik ko kuch dundon nay kidnapped Kar lay tha hum toh bus unhain bachanay gay thy.

Haseena is unconscious in his arms he still holds her to support her.

Sum: baji besharmi ki had hai dekho abhi tak kaisay pakra hua hai isay.

Ma: Sahi Kaha tum nay, Zaid apni aankhain kholo sach pehchano abhi bhi kuch kehna baqi hai tumhain...

AS: shouted ap logon ko jo samjhana hai samjhain, hum ap logon ki yeh ghatiya soch nahi badal saktay na hi ab humain ap logon ko koi or safai dayni hai , kyun k ap jaisay logon ko jitni safai di jaey ap ki yeh giri hui soch nahi badal sakti, Barat wapis lay jana chahtay hain toh shoq say Jaen , MS mallik k liay rishton ki kami nahi hai.

Maa: Anu yeh tu kiyà keh rha hai

KS: chachi ji bhaiya ek dum Shai keh rhy hain, agar yeh log shadi k liay tyar bhi ho gay toh hum hargiz humari MS ko in k ghar nahi janay dyn gay, warna yeh log humari MS ki zindagi barbad kar dyn gay.

PS: pehli bar zindagi mei humari bahu rani nay Sahi baat ki hai.

Ma: Kaun karay ga is say shadi ab hum tyar hain isay apni bahu bananay k liay par humari bhi k ek shart hai.

Maa: kaisi shart humain apki har shart manzoor hai.

AS: maa ap yeh kiyà keh rhi hain ek bar toh ap Ammi ko hosh mei aanay dyn in k bina ap yeh faisala kaisay lay sakti hain.

Maa: chup kar Anu haseena humari bhi beti hai, or humain pata hai Salma agar hosh mei hoti toh yahi faisala layti. Ap apni shart bataein.

Sum: humari yeh shart hain k Salma aapi apni sare property Zaid k naam Karen gi. Ta k kabhi dobara haseena aaisa kuch karnay ka sochay bhi nahi

Anuseena: Dar say dil takМесто, где живут истории. Откройте их для себя