Part # 18

1.1K 105 7
                                    

HM: Anubhav aaj hum Rohit k Sath dinner par ja rhy hain agar ap bhi humaray Sath chalen toh aacha hoga.

AS: hum kiyà karen gay ap dono doston k beech ap Jaen enjoy karen

HM: par hum ap k bina kaisay ja sakty hain.

AS: haseena ap Jaen ap kahen toh hum apko drop kar dyn gay

HM: aaisi baat nahi hai humain acha lagta hai jab ap humaray sath hotay hain.

AS: haseena hum on duty bhi Sath rehtay hain or ghar par bhi Sath hi rehtay hain , kuch pal doston k liay bhi honay chaheay isliay ap Jaen.

HM: are you sure?

AS: yes.

HM: ok. Apko burai toh nahi lagay ga.

AS: nahi humain kyun bura lagay ga haseena.

HM: theek hai. Bye.

AS: bye. Cuts the call.

As in HQ: haseena or Rohit Sath mei buhat achay lagtay hain humain kuch Karna hoga un dono ko qareeb lanay k liay. Woh dono same age k hain dono ki kaafi achi understanding bhi hai or shaid Rohit haseena ko pasand bhi karta hai, hum nay yeh baat academy mei bhi note ki thi jab bhi woh haseena ko dekhta hai kahen kho sa Jata hai, unki jori ek dum perfect hai , chalo Anubhav kuch karo un k liay.

__________________

HM: Rohit buhat maza aaya tumharay Sath dinner par, humain toh pata hi nahi tha k tum itni achi batein bhi bana layty ho humaray toh Hans hans k pait mei dard ho gaya, I hope k tumhari wife buhat lucky hogi.

Rohit: ha really woh buhat kismat wali hogi. Haseena shadi k baray mei tumhara kiyà khayal hai.

They are talking outside the restaurant she feels that AS is there for pick her and staring both of them.
She decided to make him realize that he did wrong.

HM : shadi k baray mei humaray vichar kuch achay nahi hain, hum kisi par trust nahi Kar saktay, pata hai shadi k rishtay mei understanding or pyar zaroor hona chaheay, yahan toh log bina ijazat k shadi bhi kar layty hain or phir dour janay ki baat bhi kartay hain, yeh pochtay bhi nahi hain k kiya koi khushi say un ki zindagi mei shamil hona chahta bhi hai ya nahi phir dour janay ki batein Kar k or zayda hurt kartay hain.

Roh: Kaun hai woh jis nay tumhain hurt kiyà hai?

HM: humain Kaun hurt karay ga hum toh kuch logon ki baat kar rhy thy.

Roh: haseena shadi ek buhat hi acha or pavitar rishta hai.

HM: tumharay liay ek acha or pavitar rishta hai har kisi k liay nahi, kuch logon k liay yeh sirf ek bojh hai or kuch nahi

Roh: shadi or bojh Kaun hai woh pagal, ek bar woh shadi Kar lay phir usay pata chalay ga k shadi say achi life kuch nahi, kisi ka honay or kisi ko apnany mei hi maza hai, thori larai thora pyar, thori care, thori nok jhook, life partner say acha koi nahi hota ek wohi hai jo humain samjh sakta hai.

HM: ek dum perfect Kaha tum nay.

Roh: sir tumhara wait Kar rhy hain tumhain ab Jana chaheay.

They hugged each other and say good bye

_________________________

KS enters in thanee and throw all stuff if her table.

PS: shant ho Jaen har jagha bhaukal dekhana zaroori nahi hota, thora Shanti rakhain.

KS: Amma hum bata rhy hain hum ap kay lalla ko maaf nahi karnay walay, unhon nay aaj jo kiyà hai woh buhat ghalat hai.

PS: hum mantay hain k humaray lalla nay aaj jo kiyà woh ghalat hai, par yeh kaisay ho sakta hai k woh ap dono ki marriage anniversary bhool jaey woh bhi apni kisi college friend k Sath ghomnay chala jaey.

Anuseena: Dar say dil takWhere stories live. Discover now