AS: haseena aaj hum hospital gay thy doctor nay Kaha hai k Ammi ki tabiyat kafi behtar hai, jald hi Ammi commay say bahir hun gi.
HM: sach.
AS: ha.
HM: ya Allah tera shukar hai hum buhat jald Ammi say milain gay phir
AS: ha zaroor. Haseena ek baat pochain ap say
HM: ha pochain.
AS: Kal SHO Rohit aaey thy HQ.
HM: acha kyun?
AS: woh ek case k baray mei discuss karnay.
HM: Kaun sa case Anubhav.
AS: ek factory hai G E road k pass mei illegal weapon ki dealing ho rhi hai wahan.
HM: oh acha
AS: haseena agar ap is case ko dekhain humara matlab hai k ap is case ko personally lead karen
HM: ok hum or Rohit Sath mei yeh case solve Karen ap yeh chahtay hain.
AS: ha. Apko koi problem toh nahi hai na.
HM: nahi humain kiya problem hogi is mei.
AS: waisay SHO Rohit ap k best friend hai na.
HM: nahi par ap kyun poch rhy hain.
AS: woh humain laga k ap dono best friend hai.
HM: bus dost hain or kuch nahi.
AS: oh acha.
__________________________
Maa: haseena tere pass toh buhat hi achay achay kapray hain yeh kab liay tu nay.
HM: maa Anubhav ki pasand hai yeh sab, achay hain na maa.
Maa: ha buhat sundar hai. Ek baat bata kiyà waqai Anu tujhe shopping par lay gaya tha
HM: ha maa unhon nay hum say khud hi Kaha tha k hum un k sath shopping par chalen or yeh sari dresses unhi ki pasand ki hain
Maa: humain yaqeen nahi aata k Anu itna badal bhi sakta hai, tere liay woh sab karta hai jo usay pasand nahi tha karna.
HM: maa hum nay apko vichan diya tha k hum ap k Anu ko badal dyn gay dekha hum nay unhain badal diya maa.
Maa: sach mei haseena hum buhat khush hain Anu ko is tarha khush dekh k, yeh sab tumhari wajah say hai.
He is on the doctor r and listening their conversation, her cellphone rings.
Maa: kis ki call hai beta.
HM: maa khushi ki call hai.
Maa: Kaun woh tumhari dost.
HM: ha maa wohi.
Maa: theek hai tum dono batein karo jab tak hum apnay or tere liay chai bana k laytay hain.
HM: maa ap kyun banao gi hum hain na.
Maa: nahi beta hum bana daytay hain tu baat kar roz roz doston ki call kahan aati hai. Hum aatay hain.
Hm: ji maa.
Maa exit and found Anubhav outside.
Maa: aray Anu tu kab aaya.
AS: maa bus abhi aaey hum.
Maa: acha chal mun hath dho k kapray badal lay hum tere liay bhi chai lay k aatay hain, buhat thak gaya hoga tu.
AS: ji maa thak toh buhat gay hain hum.