PART# 15

1.1K 106 15
                                    

KS: aaen bhabhi ji apka hi ghar hai

Maa: karishma beta tum bataein band karo in dono ko sonay do.

KS: ji chachiji.

KS: aray MS ap wahan kahan ja rhi hai ab apka room woh nahi yeh hai.

HM: lekin humara room toh woh hai.

KS: par ab ap humari bhabhi Jan hai or aaj say any bhaiya ka kamra hi apka hai.

AS: chalen haseena humain neend aa rhi hai

HM: ji.

_________________________

AS: haseena hum jantay hai k jo hua woh Sahi nahi hai or yaqeen manain hum bhi yeh nahi chahtay thy, par koi baat nahi ap jab tak chahean humaray Sath us rishtay mei bandh k reh sakti hai, bus ek bar Ammi theek ho k ghar aa Jaen phir Sara faisala apka hoga, agar ap chahean toh hum is rishtay ko umar bhar bhi nibhanay ko tyar hain, par hum apko har qisim ka ikhtiyar daytay ap jab chahean is rishtay ko toar k ja sakti hain jis say chahean shadi Kar sakti hain hum kabhi ap k kisi bhi faisalay ki rukawat nahi banain gay, har kisi ko apna maan pasand jeevan sathi chunay ka haq hai or yeh haq hum ap say cheen nahi saktay, hum jantay hain k humari umaron ka yeh antar shaid kabhi humain ek dosray ka honay na day, par Jo bhi faisala hai woh sirf apka hoga or hum ap k Sath dyn gay ap k har faisaly mei, chahean toh ap humain apna lyn ya chahean kisi or ko , haseena ap khamosh kyun hain bol kyun nahi rhi.

HM: Anubhav ap nay sab say sab ki marzi pochi par ap nay hum say humari anumati kyun nahi li, yeh humari zindagi ka itnay bara faisala ap nay lay liya or hum say ek bar bhi nahi pocha. Agar ap khush nahi hai is rishtay say toh ha kyun kiyà maa ko.

AS: kia nay Kaha k hum khush nahi hai. Par ap khush hain.

HM: jab sab faisala ap nay hi Karna tha toh hum hotay Kaun hain kuch kehnay walay.

AS: haseena sorry humain maaf kar dyn.

HM: Anubhav ji humain koi bhi faisala laynay k liay thora waqt chaheay.

AS: theek hai.

HM to herself: Anubhav ap hum ijazat k bina humain apni zindagi mei shamil toh Kar saktay hain par humari ijazat k bina hum apko humari zindagi say nahi janay dyn gay.

__________________________

Next day:

AS: haseena uth Jaen subha ho gae hai.

HM: 5 min please.

AS: breakfast thanda ho rha hai

HM: hum uth rhy hain na Kaha na bus 5 min.

AS: theek hai phir hum Jaen HQ ap uth hai toh nashta Kar layna

HM: nahi hum uth gay

AS: good aa Jaen neechay.

HM: Anubhav humara uniform ap nay press kiyà hai.

AS: ji.

HM; kyun hum Kar laytay na.

AS: ta k ap pichli bar ki tarha is say bhi jala dayti , dosri uniform bhi ap k pass nahi hai.

HM: ha hum nay tailor ko dosray uniform ka Kaha hua hai bus ek do din mei aa jaey ga new uniform.

AS: shoes bhi polish kar diay hain.

HM: Anubhav yeh sab humain karnay chaheay yeh sab ap kyun kar rhy hain humaray liay

AS: haseena jab tak ap or hum is rishtay mei hain ap humari responsibility hain samjhi.

HM: ji.

Anuseena: Dar say dil takWhere stories live. Discover now