CHAPTER 55 - GAINING THEIR PERMISSION

513 53 10
                                    

"Hunn...MS, aap sahi keh rahi hain...Police ka kaam sabko insaaf dilaana hai aur ye karne ke liye jo bhi karna pade main karoongi...Aur usse zyaada important baat ye hai ki mujhe apni badi behan par 100 % kya 1000% vishwaas hai...Isliye main bhi aapka saath doongi..."

HM- "Ye hui na HM ki behan hone waali baat..."

SS gave a wide smile.

HM- Moving towards CC, "Hmph !!! CC !!! Hum aapki baat samajhte hain lekin ek baar tum meri baat bhi samajhne ki koshish karo...Tum maante hain ki Rakhi ke din tumne waada kiya tha ki meri suraksha karoge, behan maankar...Lekin kya woh sab ladkiyaan tumhaari behan nahi hai jo har roz is se ladti hain...Aur humne wardi pehente waqt bhi ye hi kasam khaayi thi ki kuchh bhi ho jaaye nainsaafi ko nahi sahenge..."

SS- "Aur Cheete...Ab toh main bhi maan gayi...Meri request hai ki tu MS ko support kar...Plzzzzzzzzzz"

CC- "MS, aap sahi keh rahi hain...Hum aapki baat samajh gaye...Iss duniyaa ki woh saari ladkiyaan humaari behne hain...Aur chahe woh hume rakhi bandhe ya nahi humaara kartavy hai ki hum unki suraksha karen...Aur wardi ka maan hum kabhi jhukne nahi denge...Aur Santuji dekhiye humne aapka request accept kar liya..."

HM- "Good CC."

AS and KS could sense that they were loosing the battle. The number of people on their side had reduced to two from four. Their power was decreasing but not their will-power. They were still firm about their decision. They were aware of HM's convincing capability but they had mentally noted that whatever happened they won't change their final decision.

HM- "Ab KS aapki baari...KS, ek baat bataiye jab hum Mission Jeet ke liye jaa rahe the, aapko yaad hai aapne ek chhota sa naatak kiya tha ?? Ki ammi ki tabiyat kharab ho gayi hai...Aur aapke us naatak karne ka maksad tha ki hum aapko mission mein jaane ki permission den...Kyun den ?? Kyunki hum koi nahi hote Bharat maata aur aapke beech aane waale...Hum aapki baat samajh gaye...Aur aapko mission par appoint bhi kar liya...Abhi hum aapki baatein aapke liye hi dohraayenge...Maana ki aapko humaari bahut zyaada fikr hai, aap humaara samman karti hain aur usse zyaada important baat ki aap humaari best friend hain lekin iska matlab ye nahi ki aap hume Bharat mata ki seva karne ka mauka na den...Aakhir Bharat mata hai kya ?? Nadi, pahaad woh sab toh thik hai lekin hum sab bharteey hi Bharat mata hain...Shaayad Pt. Jawaharlal Nehru ne bhi yahi kaha tha...Ab bataiye kya faisla hai aapka ??"

KS's thoughts took a wild 360 degree turn. HM for sure was the queen in changing the mindset of people. Matlab HM ne KS ki patti unhe hi padha di. She was epic. KS thoughts were now switching modes. 

KS's POV- "He bhagwaan !! MS kahaan se laati hain aap taakat...Kuchh bhi karke hume mana hi leti hain...Pata nahi kaise...Bhagwaan ne zaroor aapko fursat se banaaya hoga...Ab na kar nahi sakte...Haan hi karna padega...Varna hume is baat ki glaani hogi ki humne desh se gaddari ki aur ye galat hai..."

HM- "KS, toh kya faisla hai aapka ??"

KS- Stern expression, "HM humaara toh na hi hota..."

HM looked down with hopeless eyes.

KS- "Lekin-lekin aapki ye lambi si speech sunkar aur jazbaaton ki patti padhkar humaari haan hai...Varna hum desh se gaddari kar baithe aur hume aap par zyaada bharosa hai...Lekin ek sharth hai..."

HM- Puzzled look, "Kya sharth hai ??"

KS- Angered tone,"Ki agar usne koi batameezi ki toh aap hume rokengi nahi...Hum use nark tak pahuncha ke rahenge..."

HM- "Accha baba !! Thik hai KS...Itna toh hum maan hi sakte hain...Lekin KS sirf hospital tak ka raasta dikhaana use nark tak ka nahi...Thik hai ??"

Always and Forever; Anuseena 💖💖(MPT)Where stories live. Discover now