chapter 4

122 26 37
                                    

" magar many nhi suna apke bary main ya dhekah apko unki wafat se phele ya bad main."

"Usman ap phele London main thy or .... family main kisi or ny uska saat kabi deya hi kahan tha jo mujy wo jante. Ma uske dost k saat uska bhara bhai b tha . Phele Islamabad hi rehta tha ma phir shadi ke bad ma Lahore shift ho gaya.lahore se phir Australia chal so chal me humari dosti ak phone call tak reh gai thi . Mera business loss ki taraf jane laga , or Aziz ka taraki ki taraf apne business ko samhalte sambhalte hum apni dosti na sambhal saky."

Ansun jo rohke behte thy ab behne lage thy .

"phir Jab ma dubara islamabad aya to muje uske ak employee sy pata chala k uski wafat ko 6 maheny ho gae hen. Or muje phir samaj aya ke 6 mahine se uska phone off kiun jata tha. Ya sun kar ma bhot tension ma aa gaya tha."

Ansun ko saaf karte unho ne apni bat dubra jari ki.

"Ma us k ghar jana chata tha magr kis muh sy jaata. 6 mahene bad....kase jata ma. mere mein hemat hi nhi hovi us k ghar jane ki. Itne saal ki yari thi or bebasi to dheko usy khandah tak na de saka ma."

Purane shikwe bayan karne lage thy.

"Kafi himmat ke bad mane socha k ma Taiba ko saat le jaun ga zainab bhabi k ghar. Ussi mahine taiba ki wafat ho gai. Wo mahina mere leye Qayamat ke nazdeeq tha. Ak kehhar mere bhaiyon jese dost ka muj se joda ho jana or dusra meri biwi ka .Ma or tension or depression main jataa gaya.phir ma kabi zainab bhabi ya aaima se nhi mila. ye zindagi bas mre bacho or business tak mehdod rhe gai thi."

Taimur ne zia k khandhe par apna haat rhakha tha . Taimur ne apne baba ko pheli bar itna kamzur or bhebas paya dhekha tha .

Kuch yaad aya tha is sab zikar se Usman ko.

"Zia sahab bhabi ne muj se ap k bary main zikar kiya tha muje ab yaad aya he. Magr wo waqat hamari family ke leya bhot mushkil tha jis ki waja se ma ap se rabta nhi kr saka or apko unki wafat ke bary main nhi bata saka . Galti meri bi he mujy maaf kar dian . "

Usman ko zia k leya bhoot bura lag raha tha .

" nhi nhi koi baat nhi . Magar muje apki ab ak madat chaiya . "

" je je bolien. Agar mare bhaas main hova to ma zarur karun ga."

"Usman muje Aaima sy milwa do ma usy dhek na chata hun. Us se mafi mang na chata hun."

" g zaror Zia shahab. Balke meri beti ka nikka he is jummy ko ap aai je ga or apne dono beto ko be saat laije ga . Is hi bahane ap Aaima se bi mill lije ga."

"Je zarur or mubarak ho apko."

Zia or Usman ab dubra aziz ki batein krne lag gae thy.Tab hi Arhan ko yaad aya tha k usy aaima ko shopping pe le kar jana he. Arhan ne kuch file k bary main taimur ko bataya tha or kaha tha k raat tak apko email kar dun ga. Ye kehta wo waha sy chala gaya tha. Taimur ko samj hi nhi aai thi aj itne saal bad us ne apne baba ko asy dheka tha. Kuch dair bad Taimur or Zia meeting room se Zia k cabin main aa gae thy.Usman wapis chale gae thy . Taimur ne Zia se Aziz k bary main koi baat nhi kahi ya pochi thi wo zia ko or upset nhi krna chata tha.Magar wo nikka ke function k bary main pareshan tha.

" Baba ap or Zaviyar chale jaiye ga. Muje is project k mutallik kuch kaam he."

Taimur is nikka k function mian nhi jana chata tha.

Dil e Nashad حيث تعيش القصص. اكتشف الآن