chapter 10

196 17 217
                                    


Aaima ko sehat e yab hove aj dusra din tha. Do din qabal docter ne Aaima ko injection deya tha or sat hi Zaviyar ki hadayat ke mutabik Taimur ko bi hidayati duwai deta Zaviyar ko Aaima ke hosh ki khabr de chuka tha.

Do din se to Amma bi ne ussy kamre se nikalne hi nai deya..or aj teesre din kafi minto ke saat hospital ja rahi thi.
Teyar hoti wo niche ko ai...to samne dining table nasthe se bharha hova dekha tha..

Wo aishta se qadam bharhati dining table ki taraf bhari...jis kursi pe wo aa bheti thi...uske ain samne Taimur bheta tha...or Aaima ke anne se phele jo bhot sukoon se nashta kar raha tha...uski Amaad par kafi dair rukka raha shahid uski taraf se aati demhi par khubsurat kushbu ka assr tha...hafta ya shahid us se zada ho chuka tha Aaima ko us ghar main ae ko...takreeban wo usse har subha hi dhekta tha..par phir bi dil tha ke bharta hi nai...har subha Aaima ki khobsurti ko wo nae sire se dhekta tha...jese usne usko pheli dafa dekha ho...

Dining table pe un dono ke siwa or koi na tha..Amma bi nashta kar chukien thi..or ab apne kamre main kuch aram karne ke leye gain thi.

Taweel khamoshi ke bad Aaima ke haat main pakre chamach (spoon) ki awaaz us khamosh si jaga main gonji.

"Ap sahi kehte thy!!"

Aaima ke yiun achanak bolne par usne uski janib dekha..wahan koi tesra mojood na tha to yakeenan wo usse hi mukhatib thi.
Taimur ne sawaliya nazron se dekha.

"Barish kuch paal ke leye hi sukoon deti he....or phir roog ka sabab banti he!!"

Taimur dimah sa muskuraya.

"Nai....ma galat tha..or tum sahi...bhigjane main koi burai to nai he...barish aksar sukoon deti he!!"

Or is bar Aaima muskurai thi...dono hi ak dusre ke leye khud ko badal rahe thy...wo ak dusre ke kahe ko ahmiyat dete thy...jis se ak dusre ki izaat karne ka ehsas dikhai de raha tha.

Kuch hi dair main nashta mukamal keya or dono hi apne apne kaam ki taraf ruwana hove.

_____

Shaam ka waqat maloom hota tha...jab moblie phone koi tessri bar baja tha.

Taimur ne mazrat karte hove mobile uthya or meeting room se bahir ko barha.

"Assalmu alikum."

"Walaikum asalam....phone kiun nai chuk reha c tu?"

"Amma bi meeting main tha."

"Ak ghante de andar ghar pounch!!"

Amma bi ke lehje pe Taimur ne bhawein uchkaien.

"Amma bi kuch hova he??"

"Ghar pounch bus!!"

Taimur unke kehne par fikarmandi ki halat main apne assistant ko btata wahan se ruwana hova.

Adh ghante ke andar wo ghar ke bahir mojood tha gari ki chabiyan pass khare guard ko pakrain or andar ko bhar gya.

Andruni darwaza khola to samne bus Amma bi sofey pe araam se bhetti saat tv dhekti milen.
Taimur ne unki is bachkani harkat pe sir ko jhatka or unke samne aa bheta.

Dil e Nashad Where stories live. Discover now