chapter 8

147 23 101
                                    


"Thori duri akhteyar karain gi!!."

"Je??"

Taimur ke phele or ab ke jumle main khasa farak tha.Samne bheti heran kon Aaima ko kuch samj na aya.

Taimur ne apne tasurat ko kabu karte hove is puri bat ko ak ishare se suljana bhetar samja or apne haat se khirki ki taraf ishara keya.
Aaima bi uske haat ke ishare ko dhekte hove khirki ki taraf dhekne lagi wo ab bulandiyon pe thi or taimur ki baat ko bakhubi samjte ak muskurahat ke sat use dhekne lagi.

"Thanks.but apko..."

"Muj se kisi ne kaha tha ke ak dar ko khatam karne ke leye us waqat dusre daar ka sochna chaiye is se phela dar kaam ho jata he ...or mane srif yahi keya.

Aaima abi bi apne chere pe muskhurahat saje hove thi.
Or phir apne haat ke janib dheka jo abi bi Taimur ke grift main tha.
Nazrein phir Taimur ki taraf gain thi.

"Mera haat!!"

Wo jo abi bi uski muskurahat ke zere asar tha uske harkat karte labo ko dhekta furan sahi se bheta phir jese Aaima ke ilfaaz uske dimag main ghonje apne haat ki janeeb dhekte hove furan apna haat uthaya or Aaima ne bi utni hi raftar se apna haat piche keya.

Khamoshi taveel khamoshi.

Kuch dair or yuhin bhetne ke bad Aaima ko jese ab phir hawa main hone se khof ane lga tha.saat bhete shakhs ki janeeb dheka jo apne moblie main masruf tha.

"Ap acting achi kar lete hain!!"

Aaima ne apne khof se najat chahi to agy ak hi rasta nazar aya. Apne ap ko bataon main magan rhakna!.

"Acting??"

Taimur ne besakta pocha jese ke is ilfaaz se na wakif ho.

"Jee Acting...ya phir jhoot."

Aaima ne muskhrate hove kaha.
Taimur kuch dair phele ke hove jane wale wakiye ko jese ab yaad karne laga or yaad aaty hi sida ho kar bheta.

Aj muskurahat ka mukhuta phenna mushkil sa laga tha. Uske leye to kabi jhoti muskurahat sajana mushkil na tha to phir aj kiun ......shahid Aaima ke uske ilfzon ko natak ka naam dena usse andar hi kahin takleef de gya tha.

"Thanks"

Bina kisi tasurat lae bula tha.....bhala ab usse kese batata ke kaha jane wala ak ak ilfaaz sach tha. Magar badkismati ye thi uski ,ke ye aetraf wo khud se bi nhi kar saka tha. Phir usse kese karta.

Kahi jane wali batain dil ki batain thien or aksar dil ki batain hi natak lagti hain mehbub ko...

Aaima muskurai thi.
Uski muskurahat....na jane kiun us pe ak sehar sa tari kar jati thi. Wo janta tha ke wo khubsurat he magar na jane kiun wo ussy kareeb se or khubsurat lagti thi.

"Wese aj ka mojza meri zindagi ke bhare mojzon main se ak ho ga."

Aaima apni hasi ko kabo karti boli thi.

"Zaruri nhi ke har wakiya mojza ho...kabi kabi kesi ki sazish bi ho sakti he."

"Sazish??"

Dil e Nashad Where stories live. Discover now