chapter 6

121 24 109
                                    


Shahid kuch log nazron se to unchal ho jate hain magar jate jate dil main khain apna ghar bana jate hain.

Taimur apne ap ko aj phir kasurwar samja tha.wo aj phir kisi ke dhuk or takeef ki wajah bana tha . Usy aj phir sy apny ap sy nafraat hovi thi . Wo har bar kiun kisi ki takfeel ki waja banta hy .

---------------------------------

Zaviyar apni hi dhund main apny balon main haat pherta guest room sy nikla tha kuch hi fasla teh keya tha abi k jis haat ko wo apny balon main pheer raha usi bazo py lagy hove buttons kisi ke ballon main aare thy or us larki ke karhane ki awaz ai thi .

" AHHH "

Zara ny ak haat apny baloon par rhaka or aag barasti hovi ankhon sy apny akab main khare shaks ko dhekha .

" nazar nhi aata mister . Ya ankhein dhekne k leye hi di gain hain !!"

Zara Zaviyar ki ankhon main ankhein dale bol rahi thi . Jabke usky bal abi bi Zaviyar bazon ke buttons main phanse hove thy .

"Mujy to dhkne ke leye hi mili hain par lagta he apko khelne ke leye mili hain!!. Or wasy bi Aanhdah dhoonhd ap chali aa rahien thi ma nhi"

Wo bina kisi tasurat badle bolta gya .

" Intehai batameez or badlehaz hain ap . "

" badlehaz to nhi magar batameez ap bi puri hain juri achi bane gi humari ."

Zaviyar anhk marta ye kehta aggy bhar gya .or Zara bhara sa muh kholi usy jate dhk rahi thi usy ehsas bi nhi hova k kab Zaviyar ne buttons main aare baal nikale thy .

" Is leye nhi pasand mujy Aaima ki family
function attend karna .Na jane kahan sy uth uth kar aa jaty hain log . "

Wo apny ap main hi barbarati agy ko bhar gai .

------------

"Aaima beta "

Usman ke bulany par Aaima unki taraf gai sat ak or shahks takriban unhi ki umer ke khare thy nami ankhon main saaf zahir thi .

" beta Ao salam karo uncle ko !....ye apke baba ke dost hain. "

"Asalamu alikum."

Dill hi dill main socha ka phele o inke bary main nhi suna na kahin dheka or ab itni dair bad wo mily wo bi baba ki death ke bad.

Zia ny aaima ke sir par pyar deya.

" Walaikum asalam...kasi ho beta ??"

Aaima ko unke lehjy main apnaiyat saaf dhikhai de rehai thi.

"Allhumdulillah uncle theek hun."

"Bhabi kasi hain?"

" wo bi Allhumdulillah theek hain uncle."

" beta ma mazraat cha..."

"Aaimaaaa "

Zia ki baat aduri hi reh gai thi zara ke yun bula ny par .

Dil e Nashad Where stories live. Discover now