Chapter 13

703 184 27
                                    

Raat ho sab log dinner kar rahe the.. Aly khud mein hi uljha huya tha..
Aly ke papa uski shakal dekh rahe the "kya baat hai???"

Aly unki or dekhta hai aur phir se plate mein ghus jata hai "papa.... ek baat poochoon???"

Aly ke papa bina kisi sankoch "han..."

Aly boht himmat juta kar bolta hai "agar aapkr according kuch bhi naa ho raha ho, toh aap kya karoge???"

Aly ke papa ko uska sawaal toh samjh aa gya tha, par peeche ka maqsad nahi.. "toh beta.. main sochoonga.. ke uss cheez ko apne according chalaane ke liye main kya kar sakta hoon?? Aur poori koshish karoonga!!!"

Yeh Aly karna hi nahi chahta tha "maan lo.. main usko apne according karne ke liye kuch naa karoon.. aur mere bina kuch kiye.. vo mere according ni ho sakta kya???"

Aly ke papa ko yeh Aly ki moorakhta aur mazzak laga "han.. toh kuch mat karo, go with a flow... if it meant to be right... It'll be."

Aur yeh sunte hi Aly relax ho jata hai.. ab bhaad mein jaye Rubina!!!!
Bhaad mein jaaye Jasmin!!!
Ab jo hoga bas dekha jayega!!!!

Aly ke papa adhik jaankari ke liye poochte hain "koi baat hai kya???"

Aly sochte huye "han.. baat toh hai.. par aap log mere according nahi chalenge!!!"

Tabhi Aly ki maa unko roti parosne aati hai "kya baat hai????"

Aly aakhir kaar unko bol hi deta hai "papa mujhe shaadi ni karni!!! Yeh cheez mere according nahi ho rahi!!!"

Yeh sunte hi Aly ke mummy papa ek-doosre ko dekhte hain... ke ab kaise samjhayein isko?? Uski mummy uske paas hi baith jati hai aur uske baalon mein hath ferti hai "kyu nahi karni??"

Aly chidte huye 'aap logon ko pta toh hai.. ke mera shadi mein interest nahi hai.. main starting se aap logon ke according chal raha hoon... atleast mujhe toh chance dijiye na.. ke main apne liye bhi jee loon!!!
Abhi job lagi thi toh socha tha ke ab apna dekhoonga!!!
Par aap logon ne shaadi ke chakkar mein daal diya!!!!
Mujhe ni karni yaar shaadi.... mujhe bandh kar nahi rehna!!!!
Jasmin, aapki copy hai.. kitchen!!!!! Khana!!!! That's it.
Main ussi ki bhalayi ke liye bol raha hoon..."

Aly ke papa ko iss baat par boht gussa aa raha tha ke mann kare thappad dhar dete!!!
Vo poori zindagi mar gye... usko apne pairon par khda karwane ke liye... aur isko apni zindagi ki padi hai????
Ek baar bhi apni mummy ke liye nahi socha... ke usne kya-kya face kiya hai.. ab jab usko thoda boht araam milne ka time aaya... isse apni zindagi ki pad gyi???
Agar yeh vo sochte... toh aaj yeh ghar, family... reputation naa ban paati...
Isse pehle vo chillate..
Aly ki mummy unko ishara kar deti hai.. shaant rehne ke liye aur apni baat jaari rakhti hai "acha.. theek hai...
Maan le.. nahi ho rahi teri shaadi!!!!
Toh kya karega tu apni life ka??? Kaise jeeyega??"

Aly bina palak jhapkaye jawab deta hai "Mujhe ghoomna hai maa, apbe doston ke sath mazze karne hain!!! Main ghar ka keeda ban kar nahi reh sakta!!!"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aly bina palak jhapkaye jawab deta hai "Mujhe ghoomna hai maa, apbe doston ke sath mazze karne hain!!! Main ghar ka keeda ban kar nahi reh sakta!!!"

Aly ki maa apni baat phir se jaari rakhti hai "hmm, toh maan le kal se tu azad hai.. toh ghoomne jayega.. apne doston ke sath fun karega..
Uske baad kya????"

Aly chup ho jata hai aur sochta hai "mtlb??"

Aly ki maa apni baat saamne rakhti hai "tu phir jab azad hoga toh yeh job chod dega?? Aur kahin nikal jayega?? Yahi na??"

Aly haan mein sir hilaata hai...

"Boht badhiya!!!
Jis din tere paise khatam ho gye.. tab kya??"

"Tab... main koi part time job karoonga.. aur jab paise jud jayenge.. phir se ghoomoonga!!!"

"Sahi hai...
Toh jaa phir...
Kal se chala ja.... naukri chod de... ghar chod de... apne doston ko le... aur jaa... duniya ghoom!!!!!"

Aly apni maa ki or hairaani se dekh raha tha this was unbelievable!!! "Seriously???"

"Han.... jaa....
Par bas ek baat yaad rakhna Aly...
Jab tu yeh jagah jagah ghoomega, toh hotels ka khana khayega... mujhe yaad mat karna!!!
Aur jab kabhi paise khatam ho jayenge.. kaam se chid ho gyi... toh apne papa ko yaad mat karna, jo tumhe paise de dete the!!!

Jab kabhi sone ke liye dhang ki jagah nahi milegi toh yeh raat ko yaad mat karna.. ke kaash naa jata... ghar pe rehta...
Jab vo ladkiyon ke sath, tum log... kya... vo hook karte ho...at the end koi nahi mili.... jo tujhe samjhe... toh Jasmin ko mat yaad karna... ke kash usse shadi kar leta.. toh atleast ghar pe hota, khud se khana na banana padta, raat ko sakoon ki neend aati, koi sath ghoomne wala, kheyaal rakhne wala hota!!!
Aur.... jab.... ek din toot jaoge... dost naa rahe, duniya poori dekh li... mount Everest tak ho liye..... phir koi maqsad naa raha... toh wapis ghar mat aana!!!
Humne tumhe iske liye nahi pala tha.. ke din hamein chod kar chale jao!!!!
Ab jab tum jaoge.. toh phir mat aana!!!!"

Yeh sari baatein sun kar Aly ka andar tak sab hil jata hai... "yeh kya bol rahe ho aap??"

"Han... jo bhi tune suna sab sahi suna!!!
Hum tumhe ghoomne se nahi rok rahe.... humne kab kaha ke mat ghoomo?? Mat doston ke sath raho??
Hum toh bas yeh bol rahe hain... shadi kar lo... shaadi ka kya rishta tumahare ghoomne.. naa ghoomne se??? Ghoomna!!! Jasmin ko sath lekar ghoomna...
Job bhi karo... paise kamao... kuch maa baap ko sukh do!!!
Hamein dekh kar khushi hogi ke tum zindagi mein stable ho.. tumahare paas koi hai... toh hamein chinta nahi hogi..
...
Han... ek baat...
Tum samjhoge ke hum selfish hain..
Toh bilkul hain!!! Ismein koi jhooth nahi!!!
Hum selfish hain, ke tera bhala chahte hain..
Main selfish hoon, ke agar kal mujhe kuch ho gya.. toh tere paas koi hoga.. jo tera kheyaal rakhega!!!
....
Warna hamara kya???
Tere papa retire bhi jayenge toh pension aati rahegi hamein... hum dono ka chal jayega!!!
Par tera nahi dekha jayega... aur naa main dekhna chahti hoon!!!
....
Han... tu vo Yeh jawani hai deewani wale Bunny ki trah bnna chahta hai.. toh ban..
Par bhool mat 8 saal baad bhi usse wahin aana pda... jahan se nikla tha!!!
Han... vo fiction tha.. toh Naina wait kar liya.. Jasmin nahi karegi!!!
Aur rahi baat teri vo awara girlfriend Ruby ki.. vo toh nihayati besharam ladki hai!!!
Usse apna kheyaal toh rakha ni jata... tera kya khaak rakhegi???
Rishte mein equality honi zaroori hai Aly... vo toh tujhe poori umar apni jutti neeche rakhegi!!!

Rishtey (Jasly)Where stories live. Discover now