Chapter 74

606 121 14
                                    

Jasmin aur Aly ki arrange marriage hui but it turns to be a love marriage. Aly was all party person but now he has changed. The other hand Jasmin remains the same. She love caring and a family girl. Rishton ki hi tarah woh apni life ache se manage kar rahi thi.. cooperate with her Mayka.. as well as Sasuraal.. Managing her husband and also handling her Job too. Jasmin ghar ke rishton ke sath sath bahar bhi ek balance bana kar chal rahi thi. She has everything. A perfect Family, Best Husband and an amazing friends. Shadi ke baad life mein zyada change nahi aaya but they both were learning so much.
Aly ab apni life mein koi drama nahi chahta tha.. par jab se Rubina ke bare mein suna tha toh Aly ko chain sa nahi aa raha tha.

Office mein aaj Aly Aisha ke dad ko dekhta hai.. jo uske according chalayi jaa rahi company ko inspect hi kar rahe the. Aisha kafi dari huyi thi. Uske papa thode strict the. But everything goes well. Sab kuch normal tha. Jaisa ke Aly ne usse kaha tha ke our company is doing great so there is nothing to worry✌.
After lunch Aisha ke papa sabhi departments ke heads ke sath ek meeting rakhte hain. Finance department se Aly ko bulaya jata hai. It felt nice and professional. Aisha, Aly ki or smile karti hai.
Meeting ke dauraan pta chalta hai ke uske papa apna business aur expand karna chahte hain specially iss field mein. Iske liye woh sabka sath maangte hain. And all.
Aur End mein iss sab cheez ko manage karne ke liye woh Manager ka naam announce karte hain.. yes.. it's Rubina!!!!
Rubina ka naam sunte hi Aly ko samjh nahi aa raha tha ke yeh ho kya raha hai? Woh yahan kya karegi? Usse is field ke bare mein koi information nahi hai. Kuch galat bhi nahi tha. Baap apni property apne bachon ko hi deta hai. Beta toh tha nahi.. toh dono betiyan hi sahi. Aur qismat dekho.. Rubina.. iski beti hai.. half daughter.
Rubina kuch dino mein USA se aa jayegi aur tab tak sabko ek format tyar karna tha.

Meeting ke baad Aly seedha Aisha ke paas jata hai aur isse pehle woh kuch bolta, Aisha sad lag rahi thi "tumhe kya huya?? Life toh meri lagne wali hai..."

Aisha usse dekh kar smile karti hai "No... meri bhi lagne wali hai.."

"Kyu?? Tumahare aur Rubina ke beech toh sab theek hai!!!"

"Han.. par kuch khaas nahi.. I mean can you believe it.. Ruby yahan aayegi.. aur mere baraabar kaam karegi?? Aur Papa hum dono ko compare karenge phir se.. "

Yeh sun kar Aly samjh jata hai "tum chinta mat karo.. tumse behtar koi nahi kar sakta.. Main usse jaanta hoon.. Rubina ko fashion ke bina kuch nahi aata.. woh apne side wale business ki band baja degi.."

"Nahi Aly, aisa nahi hota.. aur vaise bhi mujhe uske sath competition nahi karna.."

Iss par Aly kuch nahi kehta.. Aisha toh khud hi preshaan thi. Woh wapis apne table par aa jata hai.
Nikki usse kuch files dene aati hai toh usse Aly ki shakal se hi pta chal jata hai ke kuch huya hai.. poochne par Aly thoda sochta hai.. phir Nikki ko sab kuch bata deta hai.
Nikki was shocked.
It seems like movie... "are you kidding right???"

'Am not..."

"Yeh toh ajeeb hai.. Rubina... matalb woh nak chadhi.. yahan aayegi.. aur woh tumahari girlfriend thi... why didn't you tell me before???"

"Mujhe laga ke woh meri life se chali gyi.. toh usse kyu yaad karna??"

"And your wife is okay with this???"

"Usse abhi nahi bataya, I don't know woh kaise react karegi!!!"

Nikki thoda pause leti hai "ek baat kahoon, bura mat maan-na..."

"Haan... bolo.."

"Tumhe itni jaldi shaadi nahi karni chahiye thi!!! I mean c'mon... you are 27... and it's too soon. Shaadi kar li.. jab ke Ex se peecha choota nahi.  Ooper se biwi ko pta chalega woh alag.."

"Jasmin aisi nahi hai..."

"I know.. par she is a wife, Aly!!! Don't you get it??"

Yeh sun kar Aly, Nikki ka point samjh gya tha "par ab kuch nahi ho sakta naa,I love her.. and I get married.  Isse Rubina ka koi lena dena nahi. "

"Lena dena hai... you cheat on her.. and you were aware she was totally into you, and still you get married in front of her eyes... Bro... Think!!!!
Tumne uske sath sahi se handle hi nahi kiya.. aur ooper se shadi kar li??? That was ridiculous choice. Pehle Rubina ke sath sab done karte.. phir shaadi karte!!!"

"Uske sath.. sab done ho gya tha.."

"Nahi huya tha.. agar hota toh woh tumahari shadi mein kyu aati?? Aur ab shaadi ke baad kyu wapis aa rahi hai??"

"Because she is a psychopath..." Aly replied.

"No..she is still into you. Tumne usse bhula diya.. but she is unable to let you go.."

"Tum aisa kaise keh sakti ho??"

"Main tumahari dost hoon, aur ek ladki bhi hoon. I know.. girl things..."

"Tum sab uljha rahi ho Nikki..."

"Nahi.. Aly, tumne sab uljha rakha hai. You should've helped her to get off from you."

"Haan.. woh jo mujhe preshaan kar rahi hai itne saalon se.. uska kya??? Meri government job chali gyi uski wajah se... aur pta nahi kya kya.."

Iske baad Nikki kuch nahi kehti.. kyon ke Aly samjhne ki koshish  nahi kar raha tha.. usne apne mann mein Rubina ke liye nafrat paal li thi.. so that can't be cured.
Woh thoda dimaag lagaati hai "I have an idea."

"Kya?? Main usse maafi maangu???" Aly ignoring way mein bolta hai.

"Nahi.. kyu naa hum, usse kisi aur ke pyar mein daalien???"

"Yeh sun kar Aly attentive ho jata hai "matalb??"

"Woh yahan aayegi.. we can make her fall in somebody else.. toh woh tumhe bhool jayegi.."

"Aisa ho sakta hai??" Aly assures.

"100%... pyar vyar kuch nahi hota.. just ek attraction hoti hai..  agar kisi se vibe mil jaye toh khushiyan.. naa mile toh gham... hum kisi ladke ko.. tumse bhi better portray karenge.. so she can relate.. and get attractive.."

"Good idea.. par ladka kaun hoga??" Aly agree kar deta hai.

"Rahul?? He is good in this.." Nikki suggests.

"No way.. woh meri wife ka Ex hai.. am not comfortable. "

"Haan.. tumahari zindgi mein duniya bhar ke Ex hain... well, I have someone else."

"Kaun?????"

"Shardul Pandit..."

"Yeh kaun hai????" Aly asked.

"Manufacturing department ko handle karta hai.. 5th floor"

Yeh sun kar Aly smile karta hai.. in a hope ke yeh plan kaam kar jaaye... aur yeh nya ladka.. Shardul agree kar jaye.✌

Rishtey (Jasly)Where stories live. Discover now