Chapter 39: I Don't Deserve Him

2.6K 288 21
                                    

Next Day In The Morning...

Shehnaaz went to her parents room. Shehnaaz's father was getting ready for office and her mother was also busy in work.

"Mummy, Papa, mujhe aap dono se kuch kehna hai."

Pammi Ji looked at Shehnaaz and said, "Shehnaaz pehle tu baata, teri baat hui Sidharth se? Kaal ghar aane ke baad kisi se kuch baat nahi ki, seedha apne kamre mein chali gayi. Sab kuch thik toh hai nah?"

"Haan main apko wahi baatane aayi thi. Actually maine....maine shaadi t..tod di Sidharth se." Shehnaaz said hesitantly.

Her parents became shocked.

"Aur maine yeh bhi faisla kiya hai ki main Rohit se shaadi karungi." She added further.

Pammi Ji came near her and slapped her tightly.

Shehnaaz left stunned at her sudden action.

"Yeh kya kiya tumne?" Santosh Ji said.

"Bas. Aaj aap kuch nahi kahenge. Jo maine kiya yeh mujhe bohut pehle hi karna chahiye tha." Pammi Ji said angrily.

"Mummy..."

"Mujhe uss naam se mat pukar. Sharam aa rahi hai tujhe apni beti kehte hue. Mazak samajh ke rakha hai tune? Jab mann hua dulhan ban kar mandap mein baith gayi, jab mann hua shaadi tod di, ek baar pucha tak nahi humse. Aaj tak humesha hum tujhe support karte aaye hai. Sidharth ki shaadi mein jab sab log tere character ke upar bol rahe the, humne tujhe kuch nahi kaha. Kyu ki humein paata tha humari beti kabhi kuch galat nahi kar sakti. Lekin iss baar hum khaas kar ki main tujhe support nahi kar sakti." Pammi Ji said.

Pammi Ji paused for a while and again said, "Tune ek baar Sidharth ke baare mein nahi socha? Jis ladke ne tera itna saath diya, tere liye itna kuch kiya, tune uska hi dil tod diya? Agar yeh sab hi karna tha toh uss din Sidharth aur Sonia ki shaadi rokne ki kya zaroorat thi? Tab toh tune kaha tha ki tu uss se bohut pyaar karti hai. Pyaar karna asaan hota hai Shehnaaz lekin usse nibhana utna hi mushkil. Aur tu apna pyaar nibha nahi payi."

"Paata hai mujhe. Lekin main aur kya karti? Apne Rohit ki halat dekhi thi nah? Usse abhi meri zaroorat hai. Isliye nah chahte hue bhi main uss se shaadi kar rahi hoon." Shehnaaz said.

"Toh kar. Humesha se toh tune sirf khud ki hi kari hai. Iss baar bhi wahi hoga. Waise accha hai tune Sidharth ko chhod diya. Because you don't deserve him. Jitna pyaar woh tujhse karta hai, tu kabhi nahi kar sakti. Jaa, tujhe jis se shaadi karni hai kar. Hum kaun hote hai tujhe rokne wale?" Pammi Ji said and left from there angrily.

Shehnaaz sat on the bed and started crying. Santosh Ji sat beside her and started consoling her.

"Papa, kya main itni buri ho? I know maine Sidharth ke saath bohut galat kiya lekin main majboor thi. Main Rohit se sirf aur sirf isliye shaadi kar rahi hoon taa ki usse dukh na pohuche. Usne already bohut kuch saha hai life mein, isliye main usse sirf khushiyan dena chahti hoon. Kya mera yeh sochna galat hai?" Shehnaaz said while crying.

"Mujhe paata hai tu apni taraf se bilkool sahi hai. Lekin kabhi kabhi apne baare mein bhi soch liya kar. Kyu ki tu kya chahti hai woh sabse zyada matter karta hai. Agar tu khud khush nahi rahegi, toh kisi ko khush nahi rakh payegi." Santosh Ji said.

Shehnaaz looked at him with watery eyes and started thinking about what he said.

"Aur haan Mummy ki baaton ka bura mat maan. Sidharth humare bete jaisa ban chuka tha. Hum usse dukhi nahi dekh sakte. Isliye teri Mummy thodi naraz hai." Santosh Ji added further.

"But ek baat unhone sahi kahi. I don't deserve him. I really don't deserve him. Sabko even Sidharth ko bhi lagta hai ki maine kabhi uss se pyaar hi nahi kiya. Agar aisa hi hai toh mera uski zindagi se dur chale jaana hi thik hai." Shehnaaz said.

First Love Or True Love (Completed)Where stories live. Discover now