Part 12

2K 305 116
                                    

Good morning Lovie Dovies.. ❤️❤️

Check if you've read the previous update.

_______________________

Sana looked at Sidharth who was lost in his thoughts.

Sana: Sidharth, ab mujhe bahut jyada bura lag raha hai ki maine aapko itne tension ke chalte pizza party pe bulaya. Main pizza pack karwa deti hoon. Aap baad mein khaa lena. Aap apne office chale jao.

Sidharth: Nahi Sana, office ki tension nahi hai. Sach mein. Sorry main aise hi kuch soch mein padh gaya tha.

Sana: Hmm.. Waise bina puche aapko mera address aur number dono mil gaye na. Ab dekhti hoon Sidharth Oberoi, the CEO of Oberoi Group kitna phone karte hai. (Giggles)

Sidharth: Tum chahti ho ki main phone karoon?

Sana: Main kuch nahi chahti. Aap itne baar puch rahe the mera number toh aise hi aapki taang kheech rahi thi. Main expectations nahi rakhti kisi se bhi jisse ki woh puri na hone par hurt nahi hota.

Sidharth: Toh agar without expectation main tumhe phone karunga to tum answer karogi?

Sana: Agar free hongi toh zarur karungi. Waise aapse jyada busy nahi ho sakti. Bas college aur ab naya office.

Sidharth: Kab join kar rahi ho?

Sana: Kal se.. Pehle college jaungi, phir Office, phir hostel.

Sidharth: Hmmm.. Main tumhe gate crash pe miss karunga.

Sana: (surprised) Ek baat puchu? (He nods) Aap gate crash kyu karte ho?

Sidharth: Kabhi aur bataunga, aaj nahi.

Last piece of pizza was left in the plate. Sidharth and Sana looked at it and then at each other.

Sidharth: Tum khaao.

Sana: Nahi mera pet full hai, aap khaa lo. Waise bhi aap lost the toh thik se enjoy bhi nahi kiya aapne. Wahi agar Adi, Ruhi aur JP ko bulaati toh shayad last piece ke liye maara maari aur khoon ho jaati. (Giggles)

Sidharth: (laughs) Ismein khoon karne jaisi kya baat hai? Ek aur order bhi toh kar sakte hai.

Sana: Arey haan.. yeh saare toh ameer gharane ke friends hai. Indore mein mere saare friends mere level ke the toh aise parties mein cheena jappti chal jaati thi aur maza bhi bahut aata tha.

Sidharth picks up the last piece and starts eating.

Sana: Yeh huyi na baat.

Sidharth smiles and looks at the time. It was 7:30.

Sana: Aapko jaana hoga na?

Sidharth: Nahi, long drive pe chalogi mere saath?

Sana: Pata hai aapke paas paise bahut hai par petrol kharch karna zaruri hai? Aise hi petrol barbaad karte hai log aur phir petrol rate badhne pe rote hai.

Sidharth: Par meri car toh diesel pe chalti hai. (Laughs)

Sana: Chahe paani pe hi chale, waste toh waste hi hoti hai. Saare hi valuable resouces.

Sidharth wonders:
Matlab iske saath aage jaake aise hi romance ka kabaada hone wala hai.. sach mein bhagwaan ne shayad ek hi piece banayi hai aisi. Aur isi liye yeh aur bhi zaruri hai ki yah ek exclusive aur extremely precious mere liye hi ho.

Sidharth: Achcha toh batau, agar kisi ko kisi ke saath jyaada time spend karna hai toh long drive se achcha option kaunsa hai?

Sana: Long walk. Isse health bhi achchi rehti hai aur petrol bhi bach jaati hai.

The Uninvited Lovers ✅Where stories live. Discover now