Chapter 12: Challenge Accepted

2K 278 27
                                    

Sana went inside her home with the trophy. She went straight to the kitchen and hugged her mother from behind.

Parminder Ji noticed the trophy and asked excitly, "Yeh trophy tujhe project ke liye mili hai nah?"

Sana nodded.

Parminder Ji became very happy and said, "Paata tha mujhe ki tu hi jeetegi."

"Accha main Papa ko dikha ke aati hoon." Sana said and went to her father.

Her father, Santokh Ji was sitting on the sofa and talking on phone. He was discussing about some case.

"Papa dekho nah mujhe kya mila hai....."

Sana suddenly stopped after Santokh Ji indicated her to stay quiet.

"Jab dekho phone pe baat karte rehte hai." Sana said in her mind.

"Papa abhi rakho na." Sana said in a slow voice.

Santokh Ji continued talking on phone. But Sana kept insisting him to cut the call.

"Accha thik hai main aap se baad mein baat karta hoon." Santokh Ji said finally and cut the call.

Sana immediately snatched away the mobile from his hand.

"Important call tha Puttar. Case ke baare mein discuss kar raha tha." Santokh Ji said.

"Case ke baare mein baad mein baat karna. Filhaal yeh dekho." Sana said sitting beside him and showed him the trophy.

"Trophy kis liye?" Santokh Ji asked.

"School mein humein best science project ka award mila hai." Sana said.

"Yeh kaunsi nayi baat hai? Meri Sana toh har chiz mein best hai. Aur kyu na ho? Itni mehnat jo karti hai."

"Waise yeh trophy mere akele ke mehnat se nahi aayi hai. Mere doston ne bhi bohut mehnat ki hai."

"Phir toh acchi baat hai. Waise ek baat baata, saamne tere exams aa rahe hai nah?"

"Ji Papa."

"Iss baar bhi tujhe hi top karna hai. Okay?"

"Definitely karungi."

Santokh Ji put his hand on Sana's head and Sana smiled. After that she stood and left from there.

She was going to her room. Suddenly Parminder Ji hold her hand and said in a slow voice, "Sun, Papa ki baaton ka pressure lene ki zaroorat nahi hai. Tu bas apna best dena. Baaki jo hoga dekha jaayega."

Sana smiled and said, "Papa mujhe pressure nahi de rahe. Yeh toh unki umeed hai ki main har baar ki tarah iss baar bhi top karungi. Aur main zaroor karungi."

Parminder Ji smiled.

Later the night...

Sana looked at her phone and said in her mind, "Hadh hai. Ek toh school se bina baataye na jaane kaha chala gaya, aur upar se call kar ke pucha bhi nahi ki main safely ghar pohuchi yaa nahi."

Suddenly her phone started ringing. It was Sid who called her.

"Ajeeb hai! Iss Mr. Problem ko mere dil ki baat sunai deti hai kya?" Sana said in her mind and received the call.

"Hel....." Sana coughed and said in a serious tone, "Hello!"

"Tu thik se ghar pohuchi?" Sid asked.

"Nahi abhi tak sadko par ghum rahi hoon."

"Kyu mazak kar rahi hai? Seedhe seedhe jawab de naa"

"Jaisa sawal tune pucha hai uska waisa hi jawab milega."

Dil Na Janeya (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें