Chapter 40: Chapter Closed

2.1K 262 28
                                    

Next Day...

Sana was leaving for school.

"Mummy, Papa, main school jaa rahi hoon. Aap log bhi dhyan se jaana." Sana said before leaving.

"Puttar ruk jaa." Parminder stopped her and said, "Ghar ki chabi hum log pados wali Aunty ke paas rakh ke jaayenge. School se laut ne ke baad tu unse chabi le lena."

Sana nodded. She was about to leave, suddenly she turned and hugged her mother tightly.

"Mere birthday pe aap dono ko bohut miss karungi." She said to which Parminder Ji smiled and patted her back.

Suddenly Santokh Ji came there. Sana went and hugged him as well.

"Humara toh jaane ka bilkool mann nahi tha. Lekin kya kare? Teri nani ki achanak se tabiyat kharab ho gayi toh humein jaana hi pad raha hai." Parminder Ji said.

"Haan. Warna tera 18th birthday hum har baar ki tarah dhoom dham se maanate." Santokh Ji said.

"It's ok. Abhi nani ko aap logo ki zyada zaroorat hai. Birthday toh har saal aata hai." Sana said.

Then she looked at her watch and said, "Accha main abhi chalti hoon. School ke liye late ho raha hai."

Saying that She left her home.

"Kitni samajhdar hai nah humari bacchi? Hum uske birthday par nahi rahenge, pura din usse akele rehna padega, phir bhi usne bura nahi maana. Upar se situation ko samjha." Santokh Ji said to Parminder Ji.

"Bilkool sahi kaha aap ne. Waise mujhe nahi lagta Sana apne birthday par akeli rahegi. Uske dost hai nah? Dekhna woh log usse humein miss tak nahi karne denge." Parminder Ji said.

In The School....

It was their off period. Sana was busy talking with Ayush and Medha in the school ground. Shivangi took the chance and went to the classroom to meet Sid.

As soon as Shivangi entered the classroom, Sid asked, "Aa gayi tu? Kahi Sana ne tujhe yaaha aate hue dekha toh nahi?"

"Arrey nahi yaar. Woh Ayush aur Medha ke saath ground pe hai. Idhar humara plan toh set hai nah?" Shivangi said.

"Haan haan sab kuch set hai. Mera jitna kaam tha maine almost pura kar liya. Baki tere haath mein hai."

"Don't worry main sambhal lungi."

"Accha sun, birthday party mein kis kis ko invite karna hai? I mean jin jin se Sana ki acchi dosti hai sab hi ko invite karna chahta hoon. Usse accha lagega."

"Sana ki toh pure class ke saath hi acchi dosti hai."

"Pure class ko kaise invite karu? Usse paata chal jayega."

"Ek kaam kar, humare friends group mein jitne bhi hai unhe invite kar de. Bas uss Rashmi aur Devoleena ko chhor ke. Main nahi chahti woh dono aa kar uska birthday kharab kar de."

"Unko invite karne ka sawal hi paida nahi hota."

Sid paused for a while and said, "Toh phir decide hogaya kis kis ko invite karna hai. Ab bas baki ka plan successful ho jaaye."

"Ho jayega. Woh sab tu mujh par chhor de." Shivangi said giving assurance.

Sid smiled.

But they both didn't know that Asim was overhearing their conversation.

"Excellent! Toh Sid ab sab kuch chhor ke Shivangi ke saath Sana ki birthday party ki planning kar raha hai. Aur idhar ek main hoon, jiske paas haath pe haath rakh ke baithe rehne ke alawa koi option hi nahi hai. Yeh sab Sid ki galti hai. Jab se uske dil mein Sana ke liye yeh feelings and all paida hui hai, tab se sab kuch gadbad ho raha hai. Aise toh dono ek ho jayenge aur main kuch nahi kar paunga. No, I have to think something." Asim said in his mind and left from there.

Dil Na Janeya (Completed)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें