💝Chapter 2 💝

580 58 9
                                    

New day new morning.

Baaz went to sana room to wake up her for job  as she is getting late.

Baaz - Sana yaar uth. Job pe bhi toh Jana hai.  Uff yaar yeh ladki na kabhi nahi sudhregi.

Sana - Bhai pls na yaar. Sone doh na.

Baaz - Mein late ho raha hoon yaar. Pls. Aaj meri duty hai pls yaar. Samajh.

Sana - uff Bhai kya yaar sone bhi nahi dete ho.

Sana wakes up and goes to washroom to get freshen up and start to leave for office. Baaz drops sana to her office and leaves to his office.

In hospital.

Shefu - Sana tu Roz roz kyun late uthti hai yaar. Abhi woh takla tujh par chillayga. Woh toh accha hua operation theatre mein surgery chal rahi hai. Warna tujh par bohut buri tarah baras padta.

Sana - Haan yaar mein kya karun itni weakness ho rahi hai aur sar bhi bohut dard kar Raha hai.

Shefu - Arey toh kyun aayi. Ghar pe hi aaram karti na. Bhagwaan jaane iss ladki ka kya hi hoga. Yaar Aisa kar bhaiya ke paas chali ja. Aur kuch dawai le le. Warna tabiyat kharab ho jayegi.

Sana - Chal theeke. Apna khayal rakhna. Mein chalti hun aur sir ko kehe Dena ke aaj meri chutti hai.

Shefu - Haan haan ja.

Sana leaves for her brother hospital by cab.

Shukla Hospital.

Baaz and Sid were coming back from ot theatre. As it is in third floor. While sana reached hospital and was waiting in Sid cabin unaware of it and was sleeping due to tiredness.  Sid and baaz entered while talking.

Baaz - Yaar Aaj kya Operation successful Raha.

Sid - Haan yaar.

Sid and baaz entered the cabin. Sid got shocked as he saw a girl sleeping and screamed.

Baaz - Kya hua bhai. Aap aise kyun cheekh rahe ho.

Sid - Tu khud aakar dekhle.

Baaz too enters and saw sana their sleeping.

Baaz - Sanu yeh yahan kya kar rahi hai.

Sid- Yeh bata yeh hai kaun.

Baaz - Arey yehi toh meri behen hai. Ek number ki nautanki and badmaash. Par yeh yahan kya kar rahi hai.

Sid - Yaar yeh toh bilkul masoom lagti hai.

Baaz - Haan yaar. Jaan hai yeh meri. Mummy papa ke baad yehi hai sabkuch mere liye.  Yeh lagti hai masoom par Hai nahi.

Sid was admiring her face and smiling.

Baaz - pehele isko uthata hoon. Phir pata chalega. Yeh natak kar rahi hai ya sachmuch kuch hua hai.

Baaz wakes up and gets shocked.

Baaz - Arey isse toh tez bukhaar hai. Sanu baccha uth.

Sid - oh my god.

Sana doesnt wake up due to high fever.

Baaz - Arey yeh toh behosh ho gayi hai. Sanu baccha uth.

Baaz sprinkles water on sana. Sana wakes up.

Sana - Bhai tum kab aaye.

Baaz - baccha mein toh kab ka aagaya aur dekha ke tuh bukhaar se tap rahi hai aur behosh bhi hogayi.

Sana - Haan Bhai mere sar pe dard ho raha hai aur weakness bohut ho rahi hai subah se.

Baaz - Arey pagal tab job pe kyun gayi. Yeh sab Teri laparwahi ke wajah se hai. Agar ice cream nahi khati toh theek hojati.

Tere naam Where stories live. Discover now