pending bonding

4.4K 172 20
                                    

This one is mainly about kairav and Abhi.






After the hustle bustle had gone down after the sagai function . Most of the people arrived had gone back to Thier homes.
And the family mainly wrapping up the left over things.
Akshu was spending some time with Manjari. The love she had received from her was very precious for her and she was soaking this as much as she could. Manjari too loved akshu just like her own. She had liked her from the first meeting itself. She had bonded with her more than she had bonded with Arohi . And knowing how much her son loved this little girl infront of her she was happy.

While Abhi was admiring this from afar not wanting to disturb them. They were the 2 person he loves the most and them getting along together was just perfect.
Kairav approached Abhimanyu and asked if they could talk outside for a moment. Not giving it much thought Abhi agreed and they went outside.

Kairav - vo Abhimanyu mujhe tumse kuch kehna thaa.

Abhi - bolo na kya hua. Itna pareshan kyu dikh rahe ho sab thik toh h na ?

Kairav - sab thik h. Vo Hume tumhe thankyou bolna tha.

Listening to this Abhi was confused thanking him ? For what. ?
Abhi- thankyou ? Kisliye. ?

Kairav - vo akshu Ko itna khush karne ke liye.

Abhi - ohh toh isme thankyou wali kaunsi baat h.

Kairav- hai Abhi. Akshu ke chehre pe esi hassi bhot lambe aarse ke Baad dekh Raha hu m. Vo Hasti muskurati jaroor thi par khush bhot time se nhi thi . Par aab hai Aur iss Khushi ke peeche ki wajah tum ho toh thankyou kehna toh Banta h na

A- aab tum.mujhe sharimda kar rahe ho kairav .

K - esi baat nhi h abhimanyu. Akshu m meri Jaan basti h. Sabse pyaari h vo mujhe. Jitna pyaar usse h mujhe utna kisi se bhi nhi h.

A - me Janta hu kairav. Akshu h hi esi. Sabko usse pyaar Ho hi jata h. Aur usko khush rakhna uska khayal rakhna mera farz Banta h toh isme thankyou wali koi baat uthi hi nhi h.

K - sirf usse khush rakhne ke liye nhi Abhi. Uska sath na chodne ke liye bhi. Jab jab usne Apne kadam peeche haataye tab tab khud 2 kadam aage bhadane ke liye bhi thankyou.

A - me pyaar karta hu akshu se. Itni jaldi toh uska peecha nhi chodne wala me. Tum tension Mt lo.

K - tension hi toh nhi h na abhi. Bilkul bhi nhi h. Mujhe pata h tum uske sath ho toh usse kuch ho hi nhi Sakta. Tum hone nhi doge. Phele din se leke aab tak usse tumne hi bachya h . Jab se mile ho tab se bachate hi aarahe ho. Chahe Kuch bhi ho tum usse samne dhaal banke khade ho hi jaate ho.

A - kairav kya hua h . Kuch baat h kya . Tum aab mujhe tension de rahe ho.

K - nhi nhi tension wali baat nhi h bass vo aaj akshu Ko leke na thoda emotional ho Gaya hu.

A - yeh toh hoga hi na kairav . Akshu choti bhen h tumhari. Aur jiski akshu Jaisi bhen hogi vo toh emotional hoga hi na.

K - akshu sirf bhen nhi h meri sab kuch h. Usske liye bhot jid ki thi maine. Tum soch bhi nhi sakte kitna pareshan Kara tha maine ek choti bhen ke liye. Mamma ke jaane ke Baad ek akshu hi thi jiski wajah se me aur papa Sambhale hue the . Agar vo na Hoti na toh pata nhi mera ,papa ka, mammu ka aur baki sab ghar walo ka kya hota.
Sab kehte h ki ghar me Sabse ladla na Sabse chota bacha hota h par hamare ghar me sabki Sabse zyada ladli hamesha akshu hi Rahi h. Jab se paida hui h se leke aaj tak.

A - me samaj Raha hu kairav. .

K - tumhe pata h sab na akshu Ko leke bhot protective the bachpan se. Me vansh bhai, Krish bhai. Sab. Yaha tak Vatsal bhi. 3 mahine bada tha bass usse par hamesha uske bodyguard ki tarah uske aage peeche hi ghumta rehta tha. Har jagah ussi ke peeche peeche.

ABHIRA - OsWhere stories live. Discover now