Plot

658 36 6
                                    

Yeh story start karne se pahale ki story batati hu. Isku jarur padna kyuki mene aapku description me hi bataya tha ki story changed hai :-

So jab bondita london se barristery complete kar aati hai tu tulispur aa kar voh dekhti hai ki kis tarha yaha ke aur krishnanagar ke log ek dusre se aur yaha tak ki bondita se bhi nafart karte hai. Voh samajh nahi pati hai ki aisa Kyu hu raha hai. But tulsipur ke teen log hai joh bondita se milna chahate hai aur voh hai binoy , sampoorna , aur batuk. In teeno ku jab pata chalta hai bondita london se vapas aa gayi hai tu ussi wakt yeh teeno usse milne ke liye utavle hu uthte hai. Par is dushmani ke karan ye nahi hu sakta tha. Bondita har koshish kar leti hai anirudh se milne ki par kuyi koshish kaam nahi karti. Yaha tak ki samoy aur batuk bhi koshish karte hai anirudh ku samjhane ki par uski dushmani aur kaka aur somnath ki wajah se unki koshish kamyab nahi hu paati hai. Binoy kaka aur somnath ke bich isi dushmani ku lekar jhagara bhi rahta tha. Aur dusri tarf chandarchur bondita ke kaka aur thakuma ke kaan bharne me kuyi kami nahi churta tha ki kis tarha se anirudh aur uske parivaar ne un logo ku dokha diya. Isse thakuma aur kaka ke dil me rcs ke liye nafrat aur baadti ja rahi thi aur in aath saalo me dono parivaar aur gao wale ek dusre ki shakal dekhna bhi nahi chahte tha. Aur ha is story me tupur ka face bilkul thik hai. Tu ek din kaka ke dost ki beti vaijanti padne ke liye tulsipur ana hota hai kyuki vaijanti se shadi karne wale ladke ki sharat hoti hai ki voh padi likhi hu isliye uske aapa usse tulsipur me anirudh se use padna likhna shikhane ke liye bhejne wale hote hai par usi bich uske tabyat kharab hu jati hai aur yeh batane ke liye uske aapa ek letter kaka ku likhkar bhi bhejte hai par letter bondita ku mil bata hai aur voh decide karti hai ki voh vaijanti bankar tulsipur jaegi dushmani khatam karne. Issi tarha voh tulsipur vaijanti ban jati rahi lekin batuk aur samoy ku us par shak uta raha ki is ladki ki harkte tu bilkul unki bondita ki tarha hai. Ek din chandarchur ku bondita ka sach pata chalta hai par voh ek mukke ki talash me rahta hai aur mukka hota hai mukabale wala din.

Din bitate rahe aur fir varshik talvaarbajhi ka mukabala aata hai. Sabh kuch thik ja raha hota hai. Anirudh mukabala bhi thik chalraha hota hai par chandarchur chupke se anirudh saman me poison mila deta hai jo use bondita yani vaijanti ne diya hota hai. Bache aur bihari ghar akele hote hai aur sabhi mikabale me.   
Achanak se Chandrachur ke gunde haveli par hamla kar dete aur yeh bondita ku pata chal jata isliye bacho aur bihari ku bachakar woh unhe krishnanagar ki ur lekar jane lagti hai par unfortunately woh mukable ke medan me pahunch jati hai aur sarre bache darre hote hai. Yeh sab dekh sabhi shocked rahe jate hai. Chandarch dokhe se mikabala bhi jit jata hai. Wahi par kaka ke dost bhi aa jate hai aur sarra sach bhi batate hai. Yeh Sun sabhi shocked rahe jaate hai aur teen log khush hote hai aur woh hai sampoorna , binoy aur batuk woh bhi bondita ku dekhkar. Par sabhi tulsipur ke log bondita par bhaharupiya hone ka ilzaam lagate hai. Anirudh bhi chup kara hota hai. Samoy aur batuk bhi kuch nahi kar pate. Agle din panchayat me bondita ku sanyasini banane ki saza milti hai.

Par meri story me muh jalane wala process nahi hai. Saza milne ke baad bondita ku kaashi bhej diya jata hai.

2 mahine hu jaate hai us ghatana ku par ek din kuch aisa hota hai joh kissine bhi nahi socha hota hai.

But what ?

What is happening in the next ?

Did u like the plot

Precap :- the letter 💌   

TWO BROKEN HEARTS ( EMONTIONAL TALE OF ANIDITA)♡◇Where stories live. Discover now