TDS... 💯❣️

109 35 30
                                    

Here is the new chapter....enjoy everyone....


(after sometime party got over...all left from the haweli and now only family members are there...all are sitting on couch...having fun...meanwhile Mann cross the way...)

Vir : (call Mann) ek min ruk...(Mann turn towards him) kahaa Jaa that hai.....

Mann : (smile) apne room mein...

Vir : (soft) humaare saath thoda baith let...aur baatein hi krle...much hum sabke baare mein jaanle...aur kuch apne baare mein bataade....(Mann see muktar...) ajaa...(signals beside him) aa mere paas baith...(Mann nodded and came near him...he sit there)

Gauri : (excitedly) bhaiji...aide baithne mein mazaa nahi aa rha...kuch game khelein...

Vir : (smile) ab pariwar ke saath baithe hain... to jo pariwar kahe... bataao bhai kyaa khelna hai...

Anjali : (think then said) ab agar hume ek doosre ke baare mein janna hi hai... to kyun naa truth and dare khelein...

Gauri : (immediately) sirf truth and dare nahi bhabhi... aaj hum sab TDS kheleinge...

Yogi : (confused) ye TDS kyaa hai...

Gauri : (smile) yogi bhaiya... TDS ka matlab hai... truth, dare and situation..... baaki sab same hai... bas situation mein...

Vir : (lostly) hume kisi bhi baat pr kuch sawaal pooche jaaeinge... to bas unhi ka jawaab dena hai... .(ms see vir with sad smile)

Gauri : (see vir) wow aapko to pta hai bhaiji... aapne kabhi ye game khela hai...

Vir : (take a deep breath) haan... (before any other question) chalo khel shuru kro... .(gauri nodded and spins the bottle... as she spins it stop on anjali)

Anjali : (see everyone) mein to truth lungi...

Ansh : (smile) to aapse sawaal mein puchunga maa... .(anjali nodded) sach bataao... aap mujhse zyada pyaar krte ho yaa papa se... .(anjali's eyes became wide and others give mischievous smile) bataaiye...

Gauri : (tease her) bataaiye... bataaiye bhabhi...

Anjali : (shy) dono se....

Ansh : (nodded in no) nahi maa .. dono nahi koi ek bataaiye...

Anjali : (pull her cheek) hum dono ko hi bahut pyaar krte hain... .. jis tarah ek gaadi ko chalaane ke liye do pahiyon ki zaroorat hoti hai... .usi tarah humaari zindagi ke liye aap dono zaroori hain... samjhe... (ansh nodded and hug her... she looked towards yogi and he smiles)

Gauri : (smile) chalo aage badte hain... (now it stops on gauri) lo mera hi turn aa gya... so mein to dare lene waali hoon... bataaiye kya krna hai...

Yogi : (see her) uchal kr dikhaade... waise bhi tere liye to asaan hi hai bandariya jo thehari...

Gauri : (see vir) bhaiyaa... .(vir glares yogi... so he became silent) Kii aur bataao kyaa kare...

Vaani : (think then said) accha theek hai... .tum bas ek kaam kr do...(gauri see her) aapne phone pr aakhri baar kisse baat ki yahi dekha do...

Gauri : (unlock her phone and show) ye lijiye... akhri baar meine pooja se baat ki thi... .. (see her) ab ye bhi baatun ki kyun ki thi...

Vaani : (rudely) whatever... .(as conversation heats up... vir said)


Vir : (loud) chalo aage khelte hain... (gauri nodded and spins... now it's comes on ms)

Ms : (sigh) lo manne hi fasna tha... (see vir) aur wo bhi iske saamne... jb bhi mein yo jhel khelta hoon... yo manne fasaa deta hai . (Inflow) pehle to pu...

Vir : (immediately) mein aapse poochta hoon... (mamaji stops and nodded) chalo bataao... .aaj apne kitne rasgulle khaaye the party mein...

Mamaji : (narrow his eyes) ebb... tu mere khaane ka bhi hisaab lagaaega...

Vir : (nodded in no) naa naa mama sarkar... mein to aapki sehat ka khyaal rakh rha hoon... ebb jb ptaa chalega .. ki aapne kitne rasgulle khaae... kl utni hi kasrat karwaaunga naa...

Mamaji : (see everyone) dekh rhe ho tum sb... kaise baat krta hai ye apne mama se... bataao jo pyaar kia ise... ise palaa badaa kia... uska ye silaa de rha hai yo mann...

Vir : (sigh) aree o mama sarkar... nauta ki band krke bataao... warna bulaaun saare naukaron ko...

Mamaji : (immediately) 8... (all saw him with shocked expressions) ebb aise ke dekh rhe ho sab... 8 hi to khaae the... (see vir) wo ro teri nazar this mujh pr... to aur naa mile manne...

Yogi : (shocked) mamaji... .aapko to sach mein bahut kasrat ki zaroorat hai... .kyunki agar aise hi chala to kahien aap...(look upward)

Mamaji : (furious) ke matlb hai tera... .aree itni jldi naa jaane wala mein... .samjhe tum sb... aur chalo ab khel aage badaao...

Vir : (see ms) haan haan... aage badaao... inse to mein subah sulajh lunga... .(gauri nodded and spins... now it's come on muktar)

Gauri : (see muktar) accha muktar kyaa lenge aap...

Muktar : (smile) jii kuch nahi shukriya... waise bhi party mein shayad over eating ho gyi hai... (gauri became expressionless... and others laughed)

Gauri : (serious) muktaar...

Muktar : (normal) truth lunga mam...

Gauri : (smile) good... to chaliye bataaiye... .aap kaun hain... aur kahaan se aaye hain... (muktaar became serious and see mann... .he nodded in yes... muktaar also nodded)

Muktar : (normal) mein mumbai se ayaa hoon... .aur mein (see mann) ek protector hoon...

Gauri : (confused) protector...

Muktar : (politely).sorry mam... but one question for one chance... (gauri nodded and spins the bottle... now it stops on vir)

Vir : (see everyone) mein to truth lunga...

Muktar : (immediately) sir with all due respect... .ek ques. Pooch skta hoon... (vir nodded) aapki family mein mujhe sab dikhte hain... but ur wife... (as all heared that... they see vir and became quite)

Vir : (close his eyes and then open) wo mere dil mein rehti hai... .(muktar about to say something else) ek baar mein ek hi sawaal muktar... .(gauri spins the bottle... and it stops on juhi)

Juhi : (normal) dare...

Manas : (cunning) didi... .aap naa... do choti banaao... aur apne status pr pic upload kro... (juhi about to say) dare hai didi... (juhi nodded and do it... .then bottle again spins and stop on yogi)

Yogi : (see them) dare...

Juhi : (normal) chachu... aap apni anniversary ki date bataa do...


Yogi : (laugh) anniversary... .(then try to remember) wo... wo... (anjali glares) haan... 10 november... haan yahi hai...

Anjali : (narrow her eyes) accha... agar humaari shaadi 10 november ko hui thi... to 8 april ko kya hua tha...


Yogi : (gulp his saliva) 8april hai... .(everyone nodded) sorry anjali... wo kaam ki wajah se dimaag se nikal gya...

Anjali : (murmers) aapko to mein baad mein bataati hoon... (but all heared that and try to control their laughs)

Gauri : (see everyone) koi mujhe pareshaan kr rha tha... .ab nazaare dekho .. sach kahaa hai kisi ne... bhagwaan ke ghar der hai .. (see yogi) pr andher nahi ...

Yogi : (gritting his teeth) tuu...

Gauri : (spins the bottle) game aage badaate hain... .(it stops on mann)


Mann : (take a deep breath) situation...

Vir : (see him) tu apni maa se is duniyaan mein sbse zyada pyaar krta hai naa... .aur uska kahaa humesha sahi maanta hai... (mann nodded) to ab ye bataa... agar ka hi ye lage ki teri maa kahien galat hai to kyaa karega tu...

Mann : (serious) aisa kabhi nahi ho skta... meri maa kabhi galat nahi ho skti... unhine humesha jo kia hai... jo kahaa hai... meri bhalaai ke liye kahaa hai ... kabhi jo bhagwaan bhi aakar mujhse kahe naa... ki meri maa galat hai... to mein unki bhi naa maanu... .kyun mere liye bhagwan se bhi pehle aati hain meri maa... (all see him... vir just look him and smile... .) Chaliye... ab mein chalta hoon... bahut der ho gyi hai mujhe sona hai... gud night everyone... (ans he left... all see him.. they play some more time then they all also left... .)

Next morning :

(All wake up and comes on dining table... muktar also came... ..anjali serving them)

Vir : (see everywhere) ye mann kahaan reh gya... ayaa nhai abhi tak... .(to muktar) kahana gya hai...

Muktar : (normal) wo walk pr gye the....aate hi honge... mein unke saath jaa rha tha... pr unhone kahaa ki kuch der akele hi rehna hai... to mein yahaan aa gya... .

Vir : (nodded) theek hai... (they start eating... as they are eating they see a man came inside)

Vaani : (rudely) kaun ho tum... aur ye ansar kaise ghuse chale aa rhe ho... .bheekh maangne ka ye kaunsa tareeka hai...

Vir : (see her) aur baat krne ka ye kaunsa tareeka hai... .(to man) ke hua... aise daudte hue kyun aa rha tha... ke baat hai...

Man : (breathing heavily) mukhiji... wo... wo... jo aapke yahaan baccha ayaa hai naa...

Muktar : (immediately) kyaa hua unhein... kahaan hain wo...

Vir : (loudly) bolega bhi ebb ke naa... bataa kahana hai wo...

Man : (scared) use kuch log gaadi mein uthaakr le gye...

Vir : (shocked) ke bakwaas kr rha hai...

Man : (nodded in no) bakwaas nahi kr rha mukhiji... .. wo tehal rhe the .. phir gaanv ke aakhiri hisse ki taraf kheton se hote hue jaa rhe the... tb ek aadmi ki madad krne ruke... lekin us aadmi ko kuch nahi hua tha... aur usne pta nahi kyaa kia ki wo behosh ho gya... aur kuch log gaadi mein aaye aur use uthaakr le gye...

Yogi : (see him) aur tum dekhte rhe...

Man : (nodded in no) nahi... .hum gye the madad krne... lekin jb tk hum pahunche... wo log use le jaa chuke the... .(after listening this all became shocked...)

Chaliye bhai chapter over... lijiye ho gya mann ka kidnap... ab kyaa krenge virendra aur muktar... aur kyaa SP ki baar sach ho jaaegi .. kya ye agaaz hai kisi nayi jung ka... yaa khatra... .sochiye aap sabhi...milte hain hum naye chapter ke saath... tb tk tata... bye... bye...


Thank u...

Signing off...


NIK.


Tujhse Naraz Nahi Zindagi...💞💞 (Two Broken Soul)..💔Kde žijí příběhy. Začni objevovat