chapter 11... ✨💥🔥

129 37 30
                                    

Here is the new chapter...... enjoy everyone......


(singh family and purvi look eachother with wide eyes... .but three persons are casual... .as they know that it would be happened)

Purvi : (try to avoid eyes contact) namastey... .(all join their hands while looking her ..) thank u... aap sabhi ne mere bete ka itna khyaal rakkha... (then she look mann) aur aap... aapne kyun nahi bataya aap kahaan jaa rhe hain...

Mann : (smile) maa... ye plan to sudden hi ban gya tha... wo kyaa hai... ki dad ki ek business deal sign hone waali hai mukhiji ke saath... .isi wajah se dad ko wahaan jaakar zameen aur baaki sab cheezein dekhni thein... aur mujhe bhi kuch kaam tha... to dad se poochkar mein hi wahana chala gya... aur sab kuch check kr lia... .(happy) waise maa... ye sab bahut acche hain... khaaskar mukhiji ... (purvi look vir)

Purvi : (try to control herself) mein abhi... abhi... bahar se aayi hoon... fresh hokar milti hoon aap sabhi se... .(she left towards her room hurriedly)

Tara : (confused) ye purvi ko kya hua... itna hadbadaahat mein kyun chali gayi...

Abhi : (casual) aap bhi zyada hi soch rahien hain tara... .abhi abhi aayi hai bacchi... .fresh ho jaae... . comfortable ho jaae... .aa jaaegi neeche... aap tb tk khana lagwaaiye... tb tk (to all) aaiye... hum sab drawing room mein baithte hain... (all nodded... but singh family still in shock... and left from there)

(All sit on their seats... mann is also sit with abhimanyun... . everyone looking him ...)

Anjali : (emotional.. to yogi) suniye .. shayad ab samajh aa rha hai... ki kyun mann mujhe purvi aur aapko jeithji jaisa lag rha tha...

Yogi : (see mann) ye to sach mein mera junior hi hai... .bhaisahab aur bhabhi ki carbon copy...

Mamaji : (teary) jaisa meine socha tha... mera pota.. bilkul waisa hi hai...

Pd : (see mann) ye humara krish hai... .mera pota...tbhi mein soch rhi thi ...ki ye bilkul virendra jaisa kaise dikhta hai...

Veer : (to sudha in low tone) sudha... ye mera bhai hai... .(sudha nodded)

Vaani : (hatered) ye purvi abhi tak mari nahi... aur (see mann) ye sapooa bhi zinda hai... (see whole family) lekin ab mein kyaa karoon... agar vir aur purvi ki baat hui... to mera sara kiya dhara mitti mein mil jaaega... .kahien purvi vir ko sach naa bataa de ... nahi...mein vir ko nahi kho skti... aisa nahi ho sakta...

Vir : (think) aakhir wo pal aa hi gya... jiska intezaar tha... aakhi hum dono aaj aamne saamne hain... (see mann) mera beta mere saath hai..... itne dino se iska pyaar mil rha tha... (see upward) hay ram ji... kuch aisi kripa karo... ki mera beta... mera mann mere saath rahe ... mujhe baba kahe .. (then again see mann)

Mann : (to vir) mukhiji... (vir cameout from his world) mein aapko mere bhaiyon se milata hoon... (sign towards boys...first one is 18 years old) ye mere sabse bade bhai karan... karan singh rathore... .(to another boy....who is 15 years old) ye aman bhaiya hain .. (see another one...who is same as his age...) ye sanju hai... aur (to younger one) ye mera sabse chota bhai vikram hai... .(stand with them) aur hum ek taqat hain... (vir saw them... but veer and manas feels sad... )

Karan : (join his hands infront of vir) aapne humaare bhai ka jhyaal rkkha uske liye dhanyawad....hum aapse wada karte hain... jab bhi aapko humaari zaroorat padegi... aap hume apne saath paaenge...

Vaani : (attitude) waah... ab aise din bhi aa gye hain... ki bacchon ki zaroorat hume padegi... (all look her... she give them a look) kya .. sach hi kahaa... .aap sabko kya lagta hai... .ki hum itne gaye guzare hain... ki bacchon ki zaroorat padne lagi...

Mann : (serious) aapse meine ek baar nahi... har baar kahaa hai ... mujhe jo kehna hai .. keh lijiye... lekin mere pariwar pr kabhi ungali bhi mat uthaaiyega ... (freaking eyes) aur haan... .ab agar aapko dekhna hai naa ki karan bhai kyaa hain... to kal subah 5 baje garden mein aa jaaiyega... aapko khud pataa chal jaaega... ki aap jinke baare mein baat kr rhein hain... wo kyaa hain... .(vaani nodded... .they are about to say something but all see purvi came downstairs... .she is in blue tracksuit... .vir just looking her... )

Yogi : (see her) bhaa...

Vir : (cut him immediately) aaiye purviji... .bahut suna hai aapke baare mein...

Purvi : (try to be normal) thank u... .humne bhi aapke baare mein kaafi suna hai...

Abhimanyun : (appreciate) aur sunna bhi chahiye..,. Humaari behan sabse best hain...

Shaurya : (see purvi) ajaa choti baith... (purvi sit with them) aur bataa aaj ka din kaisa rha...

Purvi : (casual) theek rha bhaiya... bas ab kuch dino baad america nikalna hai... ek project ke silsile mein...

Garv : (see purvi) agar sab theek rha... .to tu itni udaas kyun lag rhi hai... .itna low sound kyun kr rhi hai... aur jab tere office mein tujhse baat hui thi... tb bhi tu alag sound kr rhi thi baccha... kyaa baat hai bataa...

Purvi : (try to be normal) kuch nahi bhai... .everything is fine... (getup) mein kitchen mein bhadi maa ki help kr deti hoon... (she ran from there)

Shaurya : (sigh) meine kahaa tha naa ye nahi bataaegi ... .(see karan) kahaan hai wo...

Karan : (normal) muktar ko bheja hai...

Garv : (to singh family) aaiye hum sab khana khaate hain...

Abhi : (serious) wo sab theek hai... .lekin hua kya hai .. kyaa tum logon ko pataa hai ki purvi udaas kyun hai...

Abhimayun : (nodded) bas kuch der aur bade papa... aapko sab pataa chal jaega... .aaiye hum sab khana khaate hain... (abhi nodded and all move towards dining... .it is a big dining hall... .all sit on their chairs... . coincidentally... purvi sit beside vir .. she is about to getup... but all chairs occupied by everyone)

Purvi : (getup) bade papa... aaiye mein aap sabko serve krti hoon...

Abhi : (sigh) haan zaroor... phir bas hum sab nahi khaa paaenge...

Anjali : (confuse) aisa kyun...

Tara : (smile) kyunki... .jab tk ye teeno behne nahi khaatein ... tb tk inke bhaiyon ke gale se niwala nahi utarta...

Yogi : (confuse) teen... lekin ye to do hi hain...

Mann : (to yogi) isiliye to abhi tak khana serve nahi hua hai... .. teesri bas aa hi rahien hain... .(meanwhile a lady came there with a little girl in her arms... mann smiel and ran towards her) maasi maa... (lady gives baby to karan and hug him)

Lady : (hug him tightly) kaisa hai mera baccha... (to all) aur ye aa gya hai... kisi ne mujhe batana bhi zaroori nahi samjha...

Arjun : (nodded in no) aisa nahi hai ami....wo jab ye ayaa... tum aur princess so rhe the .. aur doctor ne tumhein araam krne ko kahaa hai....

Ami : (narrow her eyes) aap sabko pataa hai naa... ki (touch mann's head) isse badkr mere liye kuch nahi hai... phir bhi .. (meanwhile a man came... and give her side hug) Lo aa gye aapki party ke ek aur member... .ab ye aapki side lenge...

Man : (smile) aree biwi....mein to bas ye keh rha tha....ki inki galati nahi hai ... sbne bas tumhaare bhale ka hi socha... .waise bhi .. kahien nahien gya tumhara ye laadla...

Ami : (touch mann's cheek) koi chaahe kuch bhi kahe... .lekin ise dekhkr mujhe sukoon milta hai... .(hold her ear) aur ye hai... ki poore ek saal baad hi ghar aataa hai... .

Mann : (loud) aaa... .maasi maa... kaan chhod dijiye... dard ho rha hai... please... sach mein dard ho rha hai...

Ami : (release his ear) zyada dard hua... (mann nodded in no with smile) chal aajaa khana khaate hain... (mann make her sit on his chair... sanju bring a chair for mann... so he sat on it..) chal ab khana khaa ke .. (forward a bite) le ..

Shaurya : (stop) ek min... .mein badaa hoon... pehle ise mein khilaaunga ...

Garv : (take stand) haan... to mein kaunsa chota hoon... bas kuch minutes ka fark hai hum dono mein samjha... .mein khilaaunga...

Abhimanyun : (see them) aree bhai... aise kaise... .mera beta hai... mein pehle khilaaunga...

Saanjh : (loudK aur mein aap sabki choti behan hoon... to meri baat maani jaaegi... mein pehle khilaaungi...

Mann : (loud) ek min... .mein decide kr loon ... .(all nodded... mann see them then eat a bite from ami's hand... all see him with smile) mujhe pataa hai... maasi maa har din mera niwala apni thaali mein alag rakhti hain ... to ab un sabhi niwaalon aur inke intezaar ki bharpaai to mujhe krni hi hogi naa... (ami nodded with tears) chaliye khilaaiye... babut bhookh lagi hai... (she make him eat... all admire their relation... singh family see their son and his aura... ... they all are eating .. meanwhile... purvi start coughing... vir immediately gives her water .. she is about to take... but as she see him... she recalls her past... then she herself take water and drink... .vir became disappointed... singh family see her with questioning eyes... .and others feels different... but one person is happy... that is none other than vaani... .soon they finish their dinner and move towards hall)

Abhi : (to singh family) aap sabhi thak gye honge... .kaafi lamba safar tha... aap sab jaakr araam kr lijiye... (to purvi) purvi jaao beta tum bhi so jaao... kl subah meeting ke liye jana hai naa .. (purvi nodded she look whole family... then vir ... but ignore him and left... as she left... singh family also about to left... but stop hearing karan)

Karan : (to shaurya) maamu ...
muktar use le ayaa hai...

Shaurya : (to a servant) check kro... purvi ka room band hai naa... .agar nahi hai... to band kr dena .. aur room sound proof kr dena... .(she nodded and move... as she check purvi's room is locked .. and she on a switch... to make her room sound proof... she came downstairs and signals all that she done her work... .also a servant is standing outside purvi's room... .) Andar laao use... (singh family is confused and standing there... )

Mann : (to shaurya) maamu ek min... (to vikram... sanju and vansh) aap teeno room mein jaaiye... (trio nodded and left... ..then turn to ami) maasi maa aap bhi pari ko lekr jaaiye please...(so ami ans saanjh also left with tara and anika...as they left... muktar came there with a man... as man enters... shaurya take him from muktar and hold his color)

Shaurya : (angry) teri himmat kaise hui... humaari behan ko dukh pahunchaane ki .. (he badly punch on his face)

Garv : (hold his hand and twist it) humaari behno mein jaan basati hai humaari... .aur tune use pareshaan kia... kya kahaa tha bol... .. (he push him so he falls on floor... as he falls... abhimanyun kick him)

Abhimanyun : (angry) aaj teri wajah se meri behan royi thi...

Man : (pleading) sir maaf kr dijiye please... .mein purvi ji se bhi maafi maang lunga... aur aainda kabhi unke raaste mein nahi aaunga .. kabhi unse kuch bhi nahi kahinga ..

Mann : (sits near him) kahoge to tb naa... jab hum kuch kehne laayak tumhein rehne denge .. (all look him with confused expressions) karan bhai... kaam ho gya... (karan nodded) so mr. Kapoor bahut shauk hai naa tumhein... meri maa ke character pr ungli uthaane ka... .ab tum aona character bachaao .. (he get up... shaurya about to hold his color but mann stop him) rukiye maamu... ise jaane dijiye...

Man : (join his hands) please sir... .mujhe jaane dijiye... aainda koi galati nahi hogi... .mein wada krta hoon...

Shaurya : (see mann) pr mann...

Mann : (normal) jaane dijiye maamu... .(shaurya left him... .and he ran from there)

Aman : (to mann) waise to agr maasi maa se koi unchi awaaz mein bhi baat kre... to tujhe pasand nahi hai chote... to yahan usne unhein naa janae kya kya kahaa... yahaan tk ki board meeting mein characterless... (he stop... then see him) aur tu chup rha... jaane dia use...

Mann : (he see him) agar use maarte to ghaav bhar jaate... mujhe use tootate hue dekhna tha... (and he left towards his room... all see him... singh family also shocked after seeing this face of mann and others)

Shaurya : (confused) kehna kyaa chahta hai ye... usne purvi ko itna kuch keh dia aur ye... .ye bina kuch kahe chala gya...

Abhimanyun : (nodded in no) nahi bhai... .purvi dii ko jitna hum maante hain... jitna pyaar hum sab krte hain... .use kai zyada pyaar mann krta hai.,.. bhagwaan hian dii uske liye ... agar wo shaant hai... to zaroor kuch to kr chuka hai ye... (see karan) kyaa kia hai isne...

Karan : (smile) zyada kuch nahi .. wo uska sara business khatam kr chuka hai... .(all look him with confused face) usne mr. Kapoor ke liye raw material ki supply band kraa di hai. .. unke jitne bhi illegal businesses the sab govt. ko bataakr raid krwaa di... (sigh) ab to bas mr. Kapoor ko jail hi milegi...aur mujhe bed ..good night everyone bahut neend aa rahi hai.... (and he also left from there with a smile... everyone look him with shocked faces)

Abhi : (laugh) jise... (see all males of his family) tum sab baccha kehte ho... wo tum sabse 100 kadam aage ki sochta hai ... tum sabne kapoor ko chot pahuchana chaha .. lekin usne use tabaah krke rakh dia... (proud) bhale hi wo chota hai... lekin dimaag mein tum sabse kai guna aage hai ... (he also left)

Abhimanyun : (to shaurya and garv) bhai lagta hai... bachpan se dii ne jo ise geeta ka gyaan dia hai ... wo isne kuch zyada hi acche se samajh lia...

Shaurya : (smile) purvi ka geeta gyaan... aur tera business gyaan... .bhai humara bhanja humse bhi badkar hai... ab to lagta hai ki isse bachkar rehna padega... kahien kisi din huamari hi pol naa khol de...

Garv : (laugh) jo bhi ho... .wo best hai .. (all nodded and left... but singh family is standing there with shocked expressions they are looking eachother)

Mamaji : (shocked) maane lagaa tha yo paani hai purvi ki tarah...

Pd : (nodded in no) naa bhaiji... .ye to aag nikla virendra ki tarah...

Yogi : (nodded in no) nahi maa... .ye bhaiji se bhi aage niklaa...

Anjali : (see him) tabhi to... wo jethji aur purvi dono ka dimaag lekar bhi unse aage hai...

Veer : (smile) par khushi hai .. humaara bhai humse bhi aage hai...

Sudha : (serious) wo sab to theek hai... .lekin purvi zinda hai ye baat usne humse chipaai kyun... .itne saal marne ka naatak kyun kia...

Nandini : (sigh) yhai to samajh nahi aa rha... aisa kyaa hua tha... jo purvi...ne humaare saath baba ke saath aisa kia... .apne aur krish ke marne ka naatak...

Vir : (serious) iss baare mein usse yaa yahaan kisi se bhi koi baat nahi krega... .(all look him) yo mera faisla hai... ebb sab apne apne kamron mein jaao... (all nodded nad left... he also left)

In purvi'room :

(Purvi is sitting on her study table... she has file in her hand ... but lost in her thoughts)

Purvi : (think) aaj poora pariwaar mere saamne hai... lekin mein haq se unhein apna nahien keh skti... .sabse unhein apna pariwar kehkr nahi milwaa skti... .naa hi mukhiji se mil skti... .(nodded in no) nahi... unhein to mein dekhna bhi nahi chahti... jo unhone aur baaki sbne mere bacche ke saath kia... mein use naa bhool skti... aur naa hi maaf kr skti... (fear) mujhe mann ko un sabse door rakhna hogaa... .kahien wo un sabse attach naa ho jaae... nahi ye nahi ho skta... kahien un sabne phir mere bacche ko nuksaan pahunchaane ki koshish ki to... .(she get up) mein aisa kuch nahi hone dungi .. jald se jadl unehin yahaan se wapas rewaari bhejna hoga .. isse pehle mann yaa kisi aur ko sacchai pataa chale... (with this she laid on bed... and soon droft into sleep)

In vir's room :

(He is laid on bed... and thinking about purvi)

Vir : (think) bawari... (nodded in no) nahi... ab wo meri bawari kahaan rahi... purvi ban chuki hai... meri bawari ko to usne kabka maar dia... lekin usne ye sab kyun ki .. ab use btaana hoga... .kyun diya mujhe dhokha.,. Barson se is sawaal ka jawaab dhoondh rha hoon... lekin ab... ab wo mere saamne hai... ab use mere har sawaal ka jawaab dena hoga... use batana hoga... kyun usne mujhse mera pyaar meri zindagi... (teary) mera baccha cheena... .(turn his side) batana hoga .. tujhe purvi... dena hoga mere har sawaal ka jawaab... (he also slept... with these thoughts)

Chaliye chapter khatam... kaisa lagaa zaroor bataaiyega ... .aage aur bhi twists aap sabka intezaar kr rhe hain... tb tk aap sochiye .. ki kyaa kyaa raaz khulenge... milte hain agke chapter ke saath... tb tk... tata... bye... bye...

Thank u...

Signing off


NIK.



Tujhse Naraz Nahi Zindagi...💞💞 (Two Broken Soul)..💔Where stories live. Discover now