The First Mission

921 60 17
                                    

Karan has gone to meet his informers...

I: Sahab ekdum pakki khabar hai. Chirag Kashyap naam ka ek aadmi hai joki Deolali Cares naam ke sarkari aspatal ka malik hai aur voh uss aspatal mein gareeb logon ka muft mein ilaj karne ke bahane unki kidney nikal leta hai aur unki taskari karta hain.

K: Lekin uske alawa uske hospital se kaun kaun shamil hai iss mein koi idea hai?

I: Are sahab uske aspatal mein do building hai jismein se ek mein construction ka kaam chal raha hai. Usi building mein voh sare kale kaam karta hai. Iske alawa voh nakli dawaiyon ka dhandha bhi chalata hai. Uske paas bahut se hathiyaar (he said while spreading his hands) aur bahut sare hatte katte mushtande pehelvan (he raised both his hands in air showing off his muscles) jaise aadmi hai jinka sardar hai Mossa.

K: (rolled his eyes) Nahi yeh gundo ka discription deke tu mereko dara raha hai ya cheta raha hai?

I: (nervous smiles) sir ji sirji bhala bhala aapko kya darayenge hum aur chetate toh aap ho humari kahan itni aukat. 

K: Toh information deeennaaaa.

I: Haan toh un gundo ko das das ki toli mein wing ke alag alag hissse mein tainat kiya hua hai AK47 ke saath. Aur ek aur kamra hai jahan kuch ladkiyon ko band karke rakha gaya hai. Uske bahar aur andar bahut tight security hai.

K: Yeh women trafficking karta hai kya?

I: Nahi nahi. Voh inke kidney nikalne ke liye inko pakad rakha hai. Darasal ek hafte pehle ek muhim ke tehat bahut se aurton aur ladkiyon ko muft parikshit kiya gaya tha jiske liye kafi dur se kai ladikiyan aayi thi. Unhi mein se kuch ladikyon ko bandhak bana liya hai kyuki unka blood group rare hai. Unka khoon bhi bechta hai voh.

K: Toh yeh bata yeh Chirag se koi local police ka aadmi bhi mila hua hai kya?

I: Sahab uska chacha Sukhiram Kashyap Commissioner hai. Aur isliye usko koi kuch nahi karta.

K: Kya!

I: Jee..

K: Aur kuch pata hai?

I: Nahi sahab.

K: Theek hai jaa.

Informer was leaving when he again came to Karan...

I: Sahab ek aur baat...

K: Kya?

I: Vahan ek kamra hai jo hamesha band rehata hai uske piche kya hai kisiko nahi pata. Mere kuch sathi ka kehna hai ki uske piche joi chor darwaza hai.

K: theek hai ab tu ja. Aur agar kuch aur pata chale toh batana.

I: Ji

Then Karan came back to academy and informed Batra Sir about all this.

B: Yeh bahut serious matter hai. Shergill I want ki tum, Faizi, Sanjana aur Banta ko leke aaj raat hospital mein raid karo. I will send the back up team as and when required. Matter ki seriousness ko samajhte hue ham zyada der nahi kar sakte.

K: Sir, I have a plan. Kyun na hum teeno patient banke pehle hi vahan jaaye aur mauka milte hi hum vahan maujuud civilians ko rescue karle. Kyunki ek baar agar sabhi hostages ko rescue kar liya gaya toh unse ladna humare liye assan ho jayega. Aur Ustad ji hospital ke piche back up force ko handle karein.

B: Ok but be careful I don't want any collateral damage.

K: I assure you sir.

Then Karan went to Faizi and Sanju and told them the matter, after which they went to the hospital.

Near hospital gate in a van...

K: Sanju yaad hai na chui mui ladki hone ki acting karna jo free apne pet dard ka free ilaaj karvane ke liye aayi hai . Aur Faizi tu ek ameer sheik banke andar jayega jisko apne bete ke liye AB-ve blood group ki kidney chahiye. Koi overacting mat karna ki unko tujhpe shak ho samjha.

Phir Chali Ziddi Dillon ki Kahani (On Hold)Where stories live. Discover now