CHAPTER : 4

901 83 18
                                    

Virat: Chalo neeche chalte hai mom dad wait kar rhe honge or mai unhe or intezaar nahi karwana chahta.

They went downstairs.

Virat: Dad, aapne bulaya.

Ninad: Ha maine bulaya tha par tujhe aane mein itni der kyu lag gyi?

Before Virat could answer he proceeded further.

Ninad: khair chod mai tujhse yeh puch rha tha ki aaj shaam ka kya plan hai tera kuch plan kiya hai ya nahi kaha le jaa raha hai meri bahu ko ghumane.

Sairat looked at each other.

Ninad: Arrey tu uski taraf kya dekh rha hai mai tujhse baat kar rha hu.

Virat: Dad, shaam ka kya plan hoga kuch bhi nahi hai .

Ninad: Oye, aaj teri or Sai beti ki anniversary hai na toh uske liye kya plan kiya hai.

Virat: Dad, anniversary ke liye kya plan karna hai yeh bhi normal day ki tarah nikal jaayegi. Yeh kya baat hui pehle shadi karo or fir har saal uski anniversary manate raho faaltu kharcha karte raho.

Ninad: Ashwini Ji aaj mujhe ek baat bta hi do sacchi sacchi ki yeh mera hi beta hai na yaa.........

Ashwini: Ninad Ji aap bhi na .....

Ninad: Nahi ji mai toh bas confirm kar rha tha ki yeh mera hi hai ya nahi kyuki hum toh party karne ke bahane dhoondte hai or yeh hai ki mana kr rha hai party karne ke liye kaisa hai arrey isse jyada toh mai romantic hua karta tha humare time par yaad hai na Ashwini Ji.

Ashwini: Oye Ninad Ji kya aap bhi kabhi bhi kahi bhi shuru ho jaate hai yeh bhi nahi dekhte ki bacche samne hi khade hai. Or yaha Virat or Sai ki anniversary ki baat ho rhi hai humari nahi.

Ninad: Ha yeh baat bhi sahi hai. Toh oye sun bandmaster jitna dhyan tu apne tuntune par deta hai na utna hi Sai par bhi de liya kar oye biwi hai teri. Toh yeh taii raha ki aaj shaam ko Sai or Virat ki anniversary ki party hogi or yeh mera faisla iske aage kuch nahi sunna.

Virat went from there without saying anything further not being unnoticed by Sai and Ashwini.

Ninad: Mai abhi Kamal ko phone karke aata hu or usko shaam ke liye invite karke aata hu. Virat se keh dena ki unke saamne koi ulti seedhi harqat na kare. Chal Devi.

Ashwini: Mera bechara baccha kitna kuch sehta hai. Kya keh diya hai tumne mere bete ko aisa jo voh aisa ho gya hai tum ek achi bahu ho ek achi bhabhi ho bht achi beti ho par shyd tum ek achi patni nhi ho. Virat uski shadi ke baad toh jaise hasna hi bhul gya hai maine kabhi apne bete ko khulke dil se haste nahi dekha hai jabse uski tumse shadi hui hai uski. Dekho mujhe nahi pta ki tum dono ke beech me kya hai par kya karu ek maa hu na agr baache pareshan hai toh chahe voh kuch na kahe par ek maa ko toh pta chal hi jayega na tum meri baat ka bura na lagana mujhe jo mehsoos hua voh maine keh diya fir bhi agr meri baat ka bura laga ho toh mujhe maaf karna.

She said and went from there leaving a sad Sai behind as she was feeling guilty listening to this.

In the evening:-

CHAVAN NIWAS DECORATION

CHAVAN NIWAS DECORATION

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Khwabon ke darmiyaanWhere stories live. Discover now