Part 37

468 38 20
                                    

Scene continues........
Suddenly they heard sounds of clapping. As soon as they turned back...they were shocked to see the person there.

He was none other than Krrish.
Dhara: Krrish.....tu aise taali kyun baja raha hain?
Krrish: Bhabi aap thak nahi jaati? Yeh bhole pann ka natak karke aur apne iss dewar ko bhole pann ka natak sikhate sikhate?
Shiva: Krrish yeh kya tareeka hain bhabi se baat karne ka?
Krrish: Tujhse toh baat kar hi nahi raha hoon main Shiva.....toh chup rahe.
Shiva: Kyun? Kyun nahi karni hain mujhse baat tujhe?
Krrish: Kyunki I hate you. Nafrat karta hoon main tujhse. Jo kuch bhi tu ne Raavi ke saath kiya uske baad bhi tu kaise expect kar sakta hain ki Raavi tera pyaar ek na ek din accept kar legi?
Shiva: Main aisa kuch bhi expect nahi kar raha hoon Krrish.
Krrish: Nahi nahi....tu kar raha hain...bas tu dikha nahi raha hain and I am very much sure ki bohotttt jald tu yeh expect karna shuru kar dega ki Raavi tujhse pyaar karne lage. Uss insaan se pyaar karne lage jisne usse uska poora bachpan cheen liya aur use aaj tak dard ke alawa aur kuch nahi diya. Kaise itna besharam ho sakta hain tu Shiva? Sharam aati hain mujhe tujhe apna bhai kehne mein. Khabar daar jo Raavi ko emotional blackmail karne ki kosish ki toh. Main tujhe toh kuch nahi karunga lekin Raavi ke liye zaroor kuch aisa karunga jisse vo tujh jaise insaan se hamesha ke liye durr ho jaaye.
Shiva didn't said anything for his defence and left without any words. However, his eyes showed how much the words seeped through his heart.

Scene shifts to the kitchen,
Raavi was preparing food for the day and Rishita was speaking with Raavi about their college life.

Rishita: Aur fir tujhe yaad hain Raavi.....vo ladki sach mooch mein gir gayi apne bed se.....aur uska vo reel viral ho gaya.
Rishita broke down into laughter but Raavi didn't even smiled.
Rishita: Raavi......aisa kab tak chalega? Kisi ke chale jaane se duniya nahi thamti hain yaar.
Raavi: Par agar wahi insaan aapki poori duniya ho toh aapki poori duniya ek pal mein bikhar jaati hain.
Rishita: Raavi...main samajhti hoon ki jo kuch bhi hua vo bohot galat hua lekin.....inn 2 mahino mein Shiva ne jaise teri care ki...bina tujhse kuch bhi expect karke vo bhi toh dekh.
Raavi: Kya dekhu? Yahi ki vo kitna mahaan hain? Yeh sab na vo apne image ke liye kar raha hain.
Rishita: Accha chal maan liya ki vo yeh sab apne image ke liye kar raha hain lekin kya Shivam ke jaane ke baad ek baar bhi usne tujhse rudely baat ki hain ya fir tujhe dukh pohochaya hain?
Raavi: Shivam ko mujhse cheen lene se zyada bada dukh aur kya pohocha sakta hain Shiva mujhe? Meri shaadi waale din usne mujhse mera sab kuch cheen liya Rishita....ab sirf meri jaan bachi hain Rishita. Agar use mujhe aur bhi zyada chot pohochani hain.....toh use meri jaan leni paregi.
Rishita: Raavi......tu bhi aisa hi sochti hain ki Shiva ne hi Shivam ko maara hain kyunki vo uss wakt uss jagah par tha? Vo co incidence bhi toh ho sakta hain na?
Raavi: Itna bhi bada co-incidence nahi ho sakta ki saare saboot Shiva ke khilaaf ho Rishita.
Rishita(sighing): Raavi.....mujhe sach mein lagta hain ki tu Shiva ko galat samajh rahi hain. Main maanti hoon ki tere saath bohot kuch galat hua hain aur Shivam ke saath toh aur bhi galat lekin.......Shivam ke saath jo kuch bhi hua vo Shiva ne nahi kiya.....kisi aur ne kiya jo fasa raha hain use.
Raavi: Mujhe farak nahi parta. Bas ek baar yeh saabit ho jaaye ki Shiva ne hi Shivam ka murder kiya tha....uske baad meri zindagi mein chaen aayega.
Rishita: Raavi.....thande dimaag se soch yaar. Shiva ko mujhse zyada tu jaanti hain and vo aisa nahi kar sakta yeh baat tu bhi jaanti hain...tera dil jaanta hain lekin tera dimaag maan ne ke liye taiyaar nahi hain iss baat ko. Bas ek baar......bas ek baar Raavi....apne dil se soch kar dekhna. Ho sakta hain Raavi ki tu jo soch rahi hain uska ulta ho. Acche se sochna Raavi.....aur fir faisla lena.
Saying this Rishita left.

Scene shifts to Gaumbi's office,
Gaumbi was sitting in his office with the lawyer.
The lawyer: Sir....Raavi ke naam par jo bhi property hain....vo aapko agar chahiye toh aap bas iss agreement par Raavi ki sign le lijiye.
Gaumbi: Yeh toh mere liye baye haath ka khel hain.
The lawyer: Par haan sir....yeh sign aapko agle 2 din mein karwana parega.
Gaumbi: Kyun?
The lawyer: Kyunki parson according to the will.....Raavi ke naam uski property ho jaaegi....uske birthday waale din.
Gaumbi: Theek hain.....
The lawyer: Main chalta hoon sir.....
The lawyer left.

Saat Vachan (Completed)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora