Part 1

7.1K 294 18
                                    

Kusum - jaisi tedhi medhi jali fuki roti banati hai vaise nahi... Gol gol.. Phuli hui.. Karari ya maluayam jaisi unhe pasand ho vaise roti unhe bana ke khilane padegi tughe.... Tere sasural me na to saans hai na sasur.. To tughe ghar ki saari zimmedariyan nibhani padegi... Phir chahe damad ji tere sath kaisa bhi susuk kare to vahi rahegi... Aur ha... Jaise apne bhaiyo se ladti rehti hai tu boondi ke laddu ke liye... Ab boondi ke laddu bana ke khilane bhi padenge tughe samjhi.. Bhot Accha ghar mila hai beta tughe....yu maan ke chal..... Devta jaisa pati hai tera... Sara jeevan pooja karni hai tughe uski... Ab sun.. Jaise din bhar khee khee karti rehti hai na, ye sab band karna padega... Samjhi....

Susheela - aur agar vo mughe maare to?

Kusum - haldi ka lep laga sikhaya hai na tughe? .... Phir chahe vo tughe maare ya puchkare.... Tere muh se ek shabd na nikle... Unse koi behes nahi karni hai tughe... Ab itna samjha diya hai....naak na kat jaye hamari.

She nodded and her nose ring feel down.

Susheela - are maa... Meri Nath phir se gir... Aur ye saari baar baar khul rahi hai...

Kusum - are ladki... Byah ho raha ha tera... Aur tughpe kapde bhi nahi sambhalte...

Susheela - khul rahi hai to kya karu... Itna bhaari hai... Paani bhi nahi piya maine varna susu ke liye jana padega...

Kusum - chupp!!! Besharam... Bilkul tameez nahi rahi tughe to.... Khabardar tere muh se kuch sun liya maine to. Baarat aa gayi hai... Jab tak tughe teri bhabhi lene na aa jaye... Chup chap baithe rahegi tu..

She left and Susheela sits back.

Susheela - subah se bhookh lagi hai mughe aur koi hai ki khana bhi nahi khilata... Are dulhan hu mai... Koi laddu hi khila do...

...........

She was taken to mandapa.

She was having a long veil and  she can look at him.

Susheela - papa ne kaisa ladka dhunda hai mere liye... Khambe jaisa hai ye... Itna lamba.. Aur mai... Iske samne cheeti jaise... Itne bade bade hath hai iske... He mata rani... Pair ulte hue to kahi rakshas se to nahi kara rahe meri shaadi... Kaha hai iske pair... Are iske pair to seedhe hai... Matlab ye rakshas nahi hai....par Phir bhi.. Kitna alag hai ye mughse.

They began the rituals...

After there wedding.

It was time for the vidai.

Kusum - beta apna khayal rakhna..

Susheela - mughe nahi jana maa...

She begin to cry like a baby.

Susheela - papa mughe nahi jana kahi bhi..

Dp - beta ro mat....Mai aa jaunga na tughe lene ke liye..

Susheela - nahi mughe nahi jana kisi aur ke sath. Maa bolo na papa ko...

Kusum - beta nahi rote itna..

Susheela - nahi!!..

Her brothers came and she hugged them.

Sumit - hum tughe lene aa jaenge chhutki... To ro mat... Her sister in law hugged her lastly and helped her to sit into the car.

Susheela cried worsly and the car began to run.

Susheela - maaaaa....

She looked back to her, she cried more & more.

Pramod - chup hoja .

She wiped her tears and closed her eyes sitting silently.

Pramod - ye le rumal aur aansoon poch apne chehre se...

Umar Se Pare Where stories live. Discover now