Part 14

6K 351 69
                                    

Next morning.

Susheela woke up very late as Pramod didn't woke her up.

Pramod - uth ja....

Susheela - are..... Aaah.... Dard ho raha hai...

Pramod - baith to ja pehle...

She sits on the bed and he handed her a cup of tea.

Pramod - ye chai pee le...

Susheela - gyareh baj gaye aap kaam pe nahi gaye...

Pramod - are.... Kaise jata.... Aaj kaam wali nahi aa payi....

Susheela - hain!!! To chai kisne banai.... Aapne nashta kaise kiya?

Pramod - kyo.... Mai khana nahi bana sakta kya?

Susheela - aap?.... Aapko khana banana aata hai?

Pramod - vo baad ki baat hai... Pehle chai pee le... Dard kam ho jaega... Phir nahane chali ja...

She nodded and sipped the tea.

It was so refreshing.

Susheela - aap itni acchi chai banate ho.... Mughe to pata hi nahi tha.......

Pramod - tu chai pee.... Aur naha le... Mai khana lekar aata hu...

Susheela - aap pareshan ho gaye na meri wajah se....

Pramod - nahi.... Chai pee.... Mai abhi aaya....

She nodded and sipped the tea... He makes such  good tea, she never knew her husband is also good at cooking. She smiled thinking about this.

At night.

She came to the kitchen and found him making rotis. She was extremely shocked to see that he can make rotis and a perfect round rotis.

Susheela - aapko roti bhi banani aati hai, mughe to pata hi nahi tha..

Pramod - hm.. Aaj pata chal gaya na to chup baith.

She came inside the kitchen and smells the fresh aroma from the kadhai.

Susheela - gatte ki sabzi bhi bhi bana lete ho aap.... Aur mai Pagal aaj tak sara khana khud banati rahi........

Pramod glared on her.

Susheela - m... Mera matlab tha ki... Aap thoda sa kaam kara dete mere sath... Dekhiye na roti sekte sekte mere hath jal jate hai... Aur sabzi kaat te kaat te mera hath kat jate hai... Kitna Dard hota hai...

Pramod - ye dekh mera hath... Mai bhi to banai hai roti... Maine bhi to kaati sabzi.... Kaha chot lagi mughe.... Tera dimag kaha rehta hai ek jagah...

Susheela - aapka hath kaise nahi jala?

Pramod - ise kehte hai tajurba... Jabse hosh sambhala hai... Khud ke liye khana banana seekh gaya tha mai...

Susheela - kyo? Maa nahi khilati thi bana kar...

Pramod - khilati thi par...... Jab tak hosh sambhala maa nahi rahi.... To kaun baitha tha mughe thaal me paros ke dene ke liye...

Susheela - koi nahi tha kya?

Pramod - maa ke hone tak Hi laad Pyaar hota hai... Maa ke jane ke baad to sabse pehle baap paraya hota hai.... Koi nahi tha mere liye.

Susheela - aisa kya?... Phir to maa ke jane ke baad mughe koi nahi poocega ghar se... Sab bhool jaenge mughe....

Pramod - badi jaldi hai hai maike walo ko Yaad karke ki tughe.... Sala pati to Pagal Hai na jo laga hua hai teri khatir me....

Susheela - aise nahi hai.... Aap to rahoge na mere sath...kaunsa aap mughe bhool jaoge... Mai to aapki biwi hu par.... Ghar par vaha.... Aise kaise sab bhool sakte hai mughe.... Aap bhi bhool jaoge kya?

Umar Se Pare Where stories live. Discover now