Part 22

1.8K 326 25
                                    

Susheela - par mujhe to ghar jana hai... Kitne din ho gaye... Mai kisi se nahi mili.... Mujhe bhot Yaad aa rahi sabki.

Pramod - lekin...

Susheela - phir koi zidd nahi karungi mai.... Bas ek din ke liye... Phir aaj sham tak aa jaungi vapas. Maan jaiye na.

Pramod - theek hai.... Tu ja... Aur ye mat samajh mai tujhe bhejna nahi chahta...bas tere bina sab kuch soona sa lagta hai isliye bola.... Tu taiyaar ho ja... Chhod aata hu tujhe.

..................

Kusum opened the door and Susheela hugged her immediately.

Kusum - are damad ji...

She quickly backed off from the hug and covered her head with her the pallu.

Pramod comes and touches her foot.

Kusum - tu kitni behaya ho gayi hai... Sar par palla nahi hai tera...

Susheela - mai nahi karti palla... Inhone mana kiya.

Kusum - chup kar besharam!

Pramod - maine hi mana kiya tha...

Kusum - kyo?

Dp - kaun aaya hai Kusum?

Susheela - papa mai aai hu... She ran towards her father and hugged him.

Kusum - aaiye damad ji Ander aaiye...

Pramod - are nahi... Mujhe to dafter jane ke liye der ho rahi hai... Vo to iska man tha aap sab se milne ka.... To le aaya...

Kusum - magar aae hai to chai nashta to kar ke jaiye...

Pramod - nahi... Phir kabhi mai chalta hu...

He left after leaving her to her parents.

At afternoon.

Her brothers came to home for the lunch and they were so overjoyed to find there sister.

After a very long time the she sat with her family to have a meal.

Her bhabhi made everything she likes to eat and her father fed her by her hand. That was so lovely.

After lunch everyone went to there room to rest and the siblings sat to talk.

Susheela - bhaiya.... Mujhe aapse ek baat karni thi....

Sachin - bol na beta...

Susheela - vo kal mera janamdin tha aap ghar aae... Mujhe bhot aacha laga... Lekin aapne jo unke baare me kaha na... Vo mujhe pasand nahi aaya.

Sumit - kya Matlab?

Susheela - bhaiya.. Mai maanti hu... Ki unhone pehle jo kiya so kiya lekin ab vo aise nahi hai...

Sachin - are... Beta tujhe nahi pata... Tu bhot seedhi hai... Duniyadaari nahi samajhti tu... Are vo aadmi bharose ke bhi layak nahi hai...

Susheela - bhaiya... Agar Pyaar se nahi bol sakte to naam le lijiye... Vo aadmi bolne ki kya zarurat hai.

Sumit - tujhe hua kya hai beta... Tu unki itni tarafdaari kyo kar rahi hai... Are vo to tere layak bhi nahi hai.

Susheela - bas bhot hua!! Aur nahi sun ne wali mai!! Aap unke khilaaf kuch nahi bol sakte!

The family members came inside the room as they heard her loud voice.

Kusum - kya hua?

Susheela - maa, bhaiya se keh dijiye ki agar vo mere pati ki izzat na kar sake to mere Sasural aakar unke samne kuch galat na kahe.

Dp - baat kya hai Sachin?

Susheela - mai batati hu papa... Kal meta janamdin tha.. Lekin unko maine bataya hi nahi tha.. Aur mai khud hi bhool gayi thi... Aur bhaiya jab mujhe milne aae to unhone na jaise kaise kaise taane unko sunae.... Papa mujhe ye bilkul pasand nahi aaya aur unka bhi dil dukha..

Sachin - chhutki to Pagal ho chuki hai... Bas bhot hua... Vo Gira hua insan... Usko to jail honi chaiye. Aawara jaisa....

Susheela - chup rahiye!!!! Hote kaun hai aap unke baare me kuch bolne wale!!! Are aap to khud ko unki tulna karne layak bhi nahi ho!!!

Sumit - papa dekho ye kya bakwas kar rahi hai.

Susheela - sach keh rahi hu.... Aapne to mere hath peele karke mujhe byah diya tha...

Sachin - aur phir jo tere pati ne tujhe mara peeta.. To kaun tha jisne tujhe sehlaya... Tujhe Pyaar kiya...

Susheela - maanti hu mai... Mara unhone.. Pareshan bhi kiya... Lekin phir... Unhone apni galati sudhari bhi.. Are unhone jo kiya hai aap aur Sumit bhaiya to kya... Papa bhi nahi kar sakte...

Sumit- aisa kya anokha karta hai tera pati...

Her eyes were filled with tears that she once felt an ashame to speak in front of her her father. But then she have to admit to prove that her husband is a real gentleman.

Susheela looked towards her Suman.

Susheela - bhabhi... Jab aapko mahina hota hai... To kya bhaiya aapko hath lagate hai?

She looked at Aarti.

Susheela - kya bhaiya ek baar bhi aapko bistar par baithne ke liye Kehte Hai???

Kusum - ye kya baar bol rahi hai sabke saamne?! Laaj sharam na rahi tujhe?

Susheela - yahi to farak hai maa...

She turned and tears slipped from her eyes.

Susheela - aapko pata hai... Pichle mahine mujhe ye hua tha... Pehli baar. Mai to kuch bhi nahi janti thi... Aur Dard ki wajah se mai behosh ho gayi thi... Vo sab kuch chhod kar mera khayal rakhne me lag gaye... Bhabhi.... Aap to mahine me kamre se bhi bahar nahi aati... Unhone to sar aankho par rakha tha mujhe waha ... Mujhe zyada Dard to nahi hai.. Agar hai to mujhe dawa laakar di.. Ghar ka kaam karne ke liye kaam wali lagadi... Apne hatho se Khana khilaya.. Subah ko uthte hi mujhse meri tabiyat poochi.. Mujhe kapda tak istemal nahi karne diya... Pata hai ek Raat ko mera meetha khane ka man kar gaya.. To halwai ki dukan khulwa kar mere liye jalebi banwai... Mai jab khana khati hu na bhaiya... To vo bhale ek roti kam Khaye par mujhe ek roti zyada zaroor khilate hai... Jo keh deti hu lakar dete hai... Khud pareshan hote rehenge par mujhe ek baat nahi bataenge... Aap me se koi karta hai apni patni ke sath aisa?? Karte hai aap? Chahe Aarti bhi ko kitna bhi Dard ho lekin Sumit bhaiya ek baar nahi poochte ki unki tabiyat kaisi hai.. Suman bhabhi thand me zameen par so jati hai magar majaal hai jo Sachin bhaiya maa ki Marzi ke khilaf jakar unhe bistar par aaram karne ko keh de....

Aarti and Suman looked towards there husband with a shame on them.

Susheela - vo mera bhot khayal rakhte hai... Raaj karti hu mai us ghar me.... Dikhawa nahi karte mere pati rishte ka..  Aur aise kisi insan ko haq nahi hai ki burai ke liye zuban se ek shabd bhi bole!!! Kyoki aap uski barabari to khud se kar hi nahi sakte....

Her eyes were red because of anger and she spoke the truth showings the mirror that they do not have a even stand around her husband's level.

Thankyou 😊

Umar Se Pare Where stories live. Discover now